Shayari
navaazaa hai mujhe patthar se jis ne
use main phuul de kar dekhtaa huun

Ram Awtar Gupta Muztar
Ram Awtar Gupta Muztar
navaazaa hai mujhe patthar se jis ne
use main phuul de kar dekhtaa huun
naamus-e-zindagi gham-e-insaan mein Dhaal kar
suuti hai raat jaam se suraj nikaal kar
shaam-e-avadh ne zulf mein gundhe nahin hain phuul
tere baghair subh-e-banaras udaas hai
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraari hai
ruke hue hain musaafir safar bhi jaari hai
be-din hue imaan diyaa ham ishq mein sab kuchh kho baiThe
aur jin ko samajhte the apnaa vo aur kisi ke ho baiThe
teraa honaa na maan kar goyaa
tujh ko taslim kar rahaa huun main
dil kaa sukun rizq ke hangaame khaa gae
sukh aadmi kaa chand nivaalon ne Das liyaa
duniyaa tere naam se mujh ko pahchaane
ishq mein aisaa rusvaa kar de yaa-allaah
lamha lamha bikhar rahaa huun main
apni takmil kar rahaa huun main
safar kaa rukh badal kar dekhtaa huun
kuchh apni samt chal kar dekhtaa huun
na aae mere honTon tak jo paimaana nahin aataa
miri khuddaariyon ko haath phailaanaa nahin aataa
dekh liyaa kyaa jaane shaam ki suuni aankhon mein
jhiil mein suraj apni saari laali Daal gayaa