Shayari
kyaa khabar thi aaegaa ik roz aisaa vaqt bhi
meri goyaai tiraa munh dekhti rah jaaegi
us zaaviye se dekhiye aaina-e-hayaat
jis zaaviye se main ne lagaayaa hai dhuup mein
اس زاویے سے دیکھیے آئینۂ حیات
جس زاویے سے میں نے لگایا ہے دھوپ میں
उस ज़ाविए से देखिए आईना-ए-हयात
जिस ज़ाविए से मैं ने लगाया है धूप में

kyaa khabar thi aaegaa ik roz aisaa vaqt bhi
meri goyaai tiraa munh dekhti rah jaaegi
jab bhi TuuTaa mire khvaabon kaa hasin taaj-mahal
main ne ghabraa ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal
kaise maanun ki zamaane ki khabar rakhti hai
gardish-e-vaqt to bas mujh pe nazar rakhti hai
kaash aisaa koi manzar hotaa
mere kaandhe pe tiraa sar hotaa
taarikiyon ne khud ko milaayaa hai dhuup mein
saaya jo shaam kaa nazar aaya hai dhuup mein
aadmi huun vasf-e-paighambar na maang
mujh se mere dost meraa sar na maang
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa
vo mere baa'd miri zindagi mein aaegaa