Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
marne ki aarzu mujhe muddat se thi zarur
lekin ye kaam ho nahin saktaa jiye baghair
مرنے کی آرزو مجھے مدت سے تھی ضرور
لیکن یہ کام ہو نہیں سکتا جیے بغیر
मरने की आरज़ू मुझे मुद्दत से थी ज़रूर
लेकिन ये काम हो नहीं सकता जिए बग़ैर

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ye tamannaa nahin ab daad-e-hunar de koi
aa ke mujh ko mire hone ki khabar de koi
aur maashuq se milne ki tamannaa kyuun ho
aap kyaa kam hain miri jaan ke dushman mujh ko
chuTkiyon mein tum uDaa doge havaa par ho savaar
tum se kyaa khaak kahe dil ki tamannaa koi
darvaaza go khulaa hai ijaabat kaa par 'hasan'
ham kis kis aarzu ko khudaa se talab karein
ye teri aarzu mein baDhi vusat-e-nazar
duniyaa hai sab miri nigah-e-intizaar mein