Shayari
teri gali se chhuT ke na jaa-e-amaan mili
ab ke to meraa ghar bhi miraa ghar na ho sakaa
ye tamannaa nahin ab daad-e-hunar de koi
aa ke mujh ko mire hone ki khabar de koi
یہ تمنا نہیں اب داد ہنر دے کوئی
آ کے مجھ کو مرے ہونے کی خبر دے کوئی
ये तमन्ना नहीं अब दाद-ए-हुनर दे कोई
आ के मुझ को मिरे होने की ख़बर दे कोई

teri gali se chhuT ke na jaa-e-amaan mili
ab ke to meraa ghar bhi miraa ghar na ho sakaa
jaane kyuun ik khayaal saa aayaa
main na hungaa to kyaa kami hogi
tiri vafaa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
azal se thaa vo hamaare vajud kaa hissa
vo ek shakhs ki jo ham pe mehrbaan huaa
tere na ho sake to kisi ke na ho sake
ye kaarobaar-e-shauq mukarrar na ho sakaa
tamaam yaadein mahak rahi hain har ek ghuncha khilaa huaa hai
zamaana biitaa magar gumaan hai ki aaj hi vo judaa huaa hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
aarzu ki ye sazaa hai ki zamaana hai khilaaf
un se milne ki khudaa jaane sazaa kyaa hogi
hamein baada-kash-e-dard-e-tamannaa
hamin par band hai mai-khaana dil kaa
shaayad niyaaz-mand ko haasil niyaaz ho
hasrat se tak rahaa huun tiri rahguzar ko main
zavaal-e-umr mein kaa'be ki aarzu kaisi
'aqil' raat gae kyaa kisi ke ghar jaanaa