Shayari
tu apne paanv ki mehndi chhuDaa ke de ai mahr
falak ko chaahiye ghaaza rukh-e-qamar ke liye
dil mein ik dard uThaa aankhon mein aansu bhar aae
baiThe baiThe hamein kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa
دل میں اک درد اٹھا آنکھوں میں آنسو بھر آئے
بیٹھے بیٹھے ہمیں کیا جانئے کیا یاد آیا
दिल में इक दर्द उठा आँखों में आँसू भर आए
बैठे बैठे हमें क्या जानिए क्या याद आया

tu apne paanv ki mehndi chhuDaa ke de ai mahr
falak ko chaahiye ghaaza rukh-e-qamar ke liye
na paDhaa yaar ne ahvaal-e-shikasta meraa
khat ke purze kiye baazu-e-kabutar toDaa
khaak mein mujh ko milaa ke vo sanam kahtaa hai
apne allaah se jaa kar miri fariyaad karo
paayaa hai is qadar sukhan-e-sakht ne rivaaj
punjabi baat karte hain pashtu zabaan mein
kyaa banaayaa hai buton ne mujh ko
naam rakkhaa hai musalmaan meraa
ham rind-e-pareshaan hain maah-e-ramazaan hai
chamki hui in rozon mein vaaiz ki dukaan hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin