Shayari
tu apne paanv ki mehndi chhuDaa ke de ai mahr
falak ko chaahiye ghaaza rukh-e-qamar ke liye
ulfat-e-kucha-e-jaanaan ne kiyaa khaana-kharaab
barhaman dair se kaabe se musalmaan niklaa
الفت کوچہ جاناں نے کیا خانہ خراب
برہمن دیر سے کعبے سے مسلماں نکلا
उल्फ़त-ए-कूचा-ए-जानाँ ने किया ख़ाना-ख़राब
बरहमन दैर से का'बे से मुसलमाँ निकला

tu apne paanv ki mehndi chhuDaa ke de ai mahr
falak ko chaahiye ghaaza rukh-e-qamar ke liye
na paDhaa yaar ne ahvaal-e-shikasta meraa
khat ke purze kiye baazu-e-kabutar toDaa
khaak mein mujh ko milaa ke vo sanam kahtaa hai
apne allaah se jaa kar miri fariyaad karo
paayaa hai is qadar sukhan-e-sakht ne rivaaj
punjabi baat karte hain pashtu zabaan mein
kyaa banaayaa hai buton ne mujh ko
naam rakkhaa hai musalmaan meraa
ham rind-e-pareshaan hain maah-e-ramazaan hai
chamki hui in rozon mein vaaiz ki dukaan hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
janaab-e-khizr raah-e-ishq mein laDne se kyaa haasil
main apnaa raasta le luun tum apnaa raasta le lo
vo kahte hain ye saari bevafaai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-vafaa main huun na 'muztar' be-vafaa tum ho
mohabbat kaa asar phir dekhnaa marne to do mujh ko
vo mere saath zinda dafn ho jaaein ajab kyaa hai