Shayari
be-sadaa kyuun guzarte ho aavaaz do
ab bhi kuchh log andar makaanon mein hain
dekhaa to zindagi mein bahut kaamyaab the
sochaa to jiit aai nazar maat ki tarah
دیکھا تو زندگی میں بہت کامیاب تھے
سوچا تو جیت آئی نظر مات کی طرح
देखा तो ज़िंदगी में बहुत कामयाब थे
सोचा तो जीत आई नज़र मात की तरह

be-sadaa kyuun guzarte ho aavaaz do
ab bhi kuchh log andar makaanon mein hain
aao puraani yaad ke shoalon mein taap lein
kitne hain haath sard mulaaqaat ki tarah
ai paDosi tu bataa ham ko to kuchh hosh nahin
thaa hamaaraa bhi koi ghar tire ghar se pahle
shab palang par haanpte saae rahe
khvaab darvaaze khaDaa taktaa rahaa
khaansti maddham si ik aavaaz jab se kho gai
ghairiyat ki bu se mahkaa mujh ko apnaa ghar milaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
lai na TuuTe zindagi ke saaz ki
zindagi aavaaz hi aavaaz hai
chheDiye saaz-e-zindagi naghma-navaaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz mein saaz ho na ho
judaa jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein vo daane piro nahin saktaa