Shayari
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
Z
Zakariya ShazchhoD aayaa huun pichhe sab aavaazon ko
khaamoshi mein daakhil hone vaalaa huun
چھوڑ آیا ہوں پیچھے سب آوازوں کو
خاموشی میں داخل ہونے والا ہوں
छोड़ आया हूँ पीछे सब आवाज़ों को
ख़ामोशी में दाख़िल होने वाला हूँ
kuchh bhi dekhaa nahin thaa main ne jab
har nazaara thaa meri aankhon mein
ai gardish-e-ayyaam hamein ranj bahut hai
kuchh khvaab the aaise ki bikharne ke nahin the
taalluq hi nahin hai jin se meraa
main un khadshaat mein rakkhaa huaa huun
dukh na sahne ki sazaaon mein ghiraa rahtaa hai
shahr kaa shahr duaaon mein ghiraa rahtaa hai
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
varna dekhaa hi nahin teri talab se aage
jab bhi ghar ke andar dekhne lagtaa huun
khiDki khol ke baahar dekhne lagtaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chaman se kaun chalaa hai khamoshiyaan le kar
kali kali taDap uTThi hai siskiyaan le kar
apni aankhon kaa samundar bah ke to khaamosh hai
dil ke andar ki sulagti aag ko ham kyaa karein
khamoshi meri lai mein gungunaanaa chaahti hai
kisi se baat karne kaa bahaanaa chaahti hai
so yuun huaa ki lagaa qufl nutq-o-lab pe mire
main tum se mil ke bahut der tak rahaa khaamosh
bahut dubli bahut patli hayaati hoti jaati hai
chapaati rafta rafta kaaghzaati hoti jaati hai