"phaandti phirti hain ehsaas ke jangal ruhein kab sakun paaeingi bhaTki hui be-kal ruhein paa-shikasta hain shab-o-roz ke viraane mein DhunDti hain kise is dasht mein paagal ruhein jab bhi uThte hain nigaahon se gham-e-jaan ke hijaab dekh leti hain kisi shokh kaa aanchal ruhein runumaa ho chaman-e-dahr mein ai abr-e-nashaat dard ki dhuup mein sanvlaai hain komal ruhein dil ke ujDe hue mandir ko basaane ke liye le ke aai thiin kisi yaad ki mashal ruhein raat sapnon ki sabhaa mein mire hamraah rahin jab khuli aankh huiin aankh se ojhal ruhein"
aarzu ki hamaa-hami aur main — Hasan Akhtar Jaleel
"aarzu ki hamaa-hami aur main dard-e-dil dard-e-zindagi aur main mauja-e-qulzum-e-abad aur tu chand bundon ki tishnagi aur main raat-bhar teri raah takte rahe tere kuche ki raushni aur main chhup ke milte hain teri yaadon se shab ki tanhaai chaandni aur main ek hi raah ke musaafir hain be-karaan raat khaamushi aur main raat us paikar-e-khayaal ke paas chand phulon ki boss thi aur main ye bhi ik manzil-e-junun thi 'jalil' varna zindaan-e-aagahi aur main"
آرزو کی ہما ہمی اور میں درد دل درد زندگی اور میں موجۂ قلزم ابد اور تو چند بوندوں کی تشنگی اور میں رات بھر تیری راہ تکتے رہے تیرے کوچے کی روشنی اور میں چھپ کے ملتے ہیں تیری یادوں سے شب کی تنہائی چاندنی اور میں ایک ہی راہ کے مسافر ہیں بے کراں رات خامشی اور میں رات اس پیکر خیال کے پاس چند پھولوں کی باس تھی اور میں یہ بھی اک منزل جنوں تھی جلیلؔ ورنہ زندان آگہی اور میں
आरज़ू की हमा-हामी और मैं दर्द-ए-दिल दर्द-ए-ज़िंदगी और मैं मौजा-ए-क़ुलज़ुम-ए-अबद और तू चंद बूंदों की तिश्नगी और मैं रात-भर तेरी राह तकते रहे तेरे कूचे की रौशनी और मैं छुप के मिलते हैं तेरी यादों से शब की तन्हाई चाँदनी और मैं एक ही राह के मुसाफ़िर हैं बे-कराँ रात ख़ामुशी और मैं रात उस पैकर-ए-ख़याल के पास चंद फूलों की बॉस थी और मैं ये भी इक मंज़िल-ए-जुनूँ थी 'जलील' वर्ना ज़िंदान-ए-आगही और मैं

More by Hasan Akhtar Jaleel
View all →"barson tiri talab mein safina ravaan rahaa ai mere mehrbaan bhanvar tu kahaan rahaa un se mili nazar to palaT kar na aa saki vo rishta-e-nigaah bhi kab darmiyaan rahaa kab umr-e-khizr khanda-e-gul kaa javaab hai yaan do ghaDi mein umr-e-abad kaa samaan rahaa main bhi tire baghair na aaraam paa sakaa tu bhi miri talaash mein be-khaanamaan rahaa mujh ko gila hai tab-e-muravvat-shiaar se saaghar-ba-dast ho ke bhi tishna vahaan rahaa ai daur-e-charkh ab koi tadbir aur kar teri sitamgari pe to main shaadmaan rahaa mujh ko 'jalil' kaun kahegaa shikasta-dil khaayaa thaa ek zakhm so vo be-nishaan rahaa"
"dil ko aamaada-e-vafaa rakhiye aandhiyaan hain diyaa jalaa rakhiye kitni sadiyon ki barf pighli hai sail kaa raasta khulaa rakhiye ban ke laavaa bahegaa josh-e-numu ab na is aag ko dabaa rakhiye khuun ahl-e-nazar se gulgun hai khaak kaa naam kimiyaa rakhiye jo sahar ki kiran se phuTe hain un andheron kaa naam kyaa rakhiye jalti shaamon ki is chitaa pe 'jalil' ik nai subh ki binaa rakhiye"
"khalaa ke dasht mein ye turfa maajraa bhi hai vo aasmaan jo sar par thaa zer-e-paa bhi hai havaa ke dosh pe ik surmai lakir ke saath miri talaash mein shaayad miri sadaa bhi hai Daraa huun yuun kabhi tanhaaiyon ki aahaT se ki jaise mujh mein koi shai mire sivaa bhi hai bahut aziiz hai mujh ko ye barg-e-nau jis mein zamin kaa husn bhi hai shokhi-e-sabaa bhi hai miri jafaa-talabi kaa khayaal hai us ko vagarna pyaar kaa andaaz dusraa bhi hai rag-e-hayaat mein raqsaan miri tavaanaai main kaise maan luun mere liye fanaa bhi hai"
"dil ki taraf nigaah-e-taghaaful rahaa kare is khaak-e-raah ko bhi koi kimiyaa kare hiire ki kaan dekh ke aataa hai ye khayaal kaash is zamin se daana-e-gandum ugaa kare TuuTe kisi tarah to dhuein kaa siyah tilism har shaam is dayaar mein aandhi chalaa kare dhime dukhon ki raakh badan par mili to hai vo Daal de nazar to mujhe aainaa kare khushbu mire ghamon ki bikhar jaae duur duur yuun chup rahun ki ek zamaana sunaa kare bujhne lagi hai shaam ke aangan mein raushni ab mauj-e-khun-e-dil hi koi moajiza kare"
"jalti hui ruton ke kharidaar kaun hain ai paikar-e-ghazal tire bimaar kaun hain khushbu ki saaaton ke talabgaar kaun hain is zulf-e-mushk-bu ke giraftaar kaun hain kab tak chhupe raheinge azal khaamushi ke bhed shahr-e-sadaa ke mahram-e-asraar kaun hain kirnon ki rahguzaar pe uDti hai dhuul si jo us taraf gae hain vo ji-daar kaun hain sinon mein le ke valvala-e-zindagi ki aag asr-e-ravaan se bar-sar-e-paikaar kaun hain sadiyon se muntazir hain sulagti masaafatein aasaaish-e-junun ke talabgaar kaun hain sarmast kar gai jinhein apne lahu ki lai vo arsa-e-nabard ke fankaar kaun hain mein to gharib-e-shahr-e-sukhan huun magar 'jalil' farmaan-ravaa-e-kishvar-e-izhaar kaun hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"