"izhaar-e-sadaaqat mein asar kyon nahin hotaa ab meri taraf un kaa guzar kyon nahin hotaa khushbu kaa ye bikhraav bhi tauhin-e-chaman hai ehsaas tujhe baad-e-sahar kyon nahin hotaa kyon fikr se mahrum hain is daur ki naslein pahlaa saa zabaanon mein asar kyon nahin hotaa jo baat idhar hai vo udhar kyon nahin jaati jo karb idhar hai vo udhar kyon nahin hotaa is shahr-e-zabun-haal mein takhrib kaa ehsaas honaa to zaruri hai magar kyon nahin hotaa fankaar isi kashmakash-e-vaqt mein gum hain baazaar kharidaar-e-hunar kyon nahin hotaa allaah ko karte hain musibat mein sabhi yaad ye vird magar shaam-o-sahar kyon nahin hotaa khud-bin hain sabhi aur ye bataane se hain maa’zur aaine se nuqsaan-e-nazar kyon nahin hotaa peshaani-e-kohsaar pe suraj kaa hai milaad vaadi mein magar shor-e-sahar kyon nahin hotaa ho jis ke payambar kaa guzar ‘arsh-e-barin par ummat kaa sitaaron mein safar kyon nahin hotaa hairaan huun ki 'iqbaal' ki taa'lim kaa 'daanish' is shahr ke logon pe asar kyon nahin hotaa"
ab kaho kaarvaan kidhar ko chale — Ehsan Danish Kandhlvi
"ab kaho kaarvaan kidhar ko chale raaste kho gae charaag jale aansuon mein nahaa gaiin khushiyaan ruuTh kar jab vo aa lage hain gale ishq gham ko ubuur kar na sakaa raaste kaarvaan ke saath chale ham pe guzri hain hijr ki raatein ham jahannam mein the magar na jale the mohabbat ki ibtidaa ke qusur vo tabassum jo aansuon mein Dhale khaak se sainkaDon uge khurshid hai andheraa magar charaag-tale chaand saakit hai ruk gae taare ab vo aaein to gham ki raat Dhale mai-kade kaa to zikr bhi hai gunaah ab hayaat-e-haram paDi hai gale pursish-e-haal kaa javaab thaa kyaa hans paDe ham ki jald baat Tale"
اب کہو کارواں کدھر کو چلے راستے کھو گئے چراغ جلے آنسوؤں میں نہا گئیں خوشیاں روٹھ کر جب وہ آ لگے ہیں گلے عشق غم کو عبور کر نہ سکا راستے کارواں کے ساتھ چلے ہم پہ گزری ہیں ہجر کی راتیں ہم جہنم میں تھے مگر نہ جلے تھے محبت کی ابتدا کے قصور وہ تبسم جو آنسوؤں میں ڈھلے خاک سے سینکڑوں اگے خورشید ہے اندھیرا مگر چراغ تلے چاند ساکت ہے رک گئے تارے اب وہ آئیں تو غم کی رات ڈھلے مے کدے کا تو ذکر بھی ہے گناہ اب حیات حرم پڑی ہے گلے پرسش حال کا جواب تھا کیا ہنس پڑے ہم کہ جلد بات ٹلے
अब कहो कारवाँ किधर को चले रास्ते खो गए चराग़ जले आँसुओं में नहा गईं ख़ुशियाँ रूठ कर जब वो आ लगे हैं गले इश्क़ ग़म को उबूर कर न सका रास्ते कारवाँ के साथ चले हम पे गुज़री हैं हिज्र की रातें हम जहन्नम में थे मगर न जले थे मोहब्बत की इब्तिदा के क़ुसूर वो तबस्सुम जो आँसुओं में ढले ख़ाक से सैंकड़ों उगे ख़ुर्शीद है अंधेरा मगर चराग़-तले चाँद साकित है रुक गए तारे अब वो आएँ तो ग़म की रात ढले मय-कदे का तो ज़िक्र भी है गुनाह अब हयात-ए-हरम पड़ी है गले पुर्सिश-ए-हाल का जवाब था क्या हँस पड़े हम कि जल्द बात टले

More by Ehsan Danish Kandhlvi
View all →"hausle maayus zauq-e-justuju naakaam hai ye dil-e-naa-mahram-e-anjaam kaa anjaam hai aankh kyaa hai husn ki ranginiyon kaa aaina dil hai kyaa khun-e-tamannaa kaa chhalaktaa jaam hai dijiye bimaar-e-ulfat ki jigar-daari ki daad nazaa kaa aalam hai honTon par tumhaaraa naam hai phir vo yaad aae hui madhosh dil ki kaaenaat phir uThaa dard-e-jigar phir kuchh mujhe aaraam hai khaak-daan-e-dahr mein taskin kaa juuyaa na ho aah jab tak dil dhaDaktaa hai kahaan aaraam hai vo to dil mein dard ki duniyaa basaa kar chal diye mujh ko har taar-e-nafas ik maut kaa paighaam hai vaasil-e-mizraab-e-khaamoshi hai har taar-e-nafas us se kah do ab tire bimaar ko aaraam hai kar rahaa huun doston ke zoam par tark-e-vatan shaayad ab aaghaaz-e-daur-e-gardish-e-ayyaam hai"
"tiraa jamaal tiraa husn kaamgaar rahe vo kyaa kare na jise dil pe ikhtiyaar rahe hazaar kasrat-e-raaanaa ne chilmanein Daalin ba-har-hijaab-e-taayyun vo aashkaar rahe miri nazar kaa to kyaa zikr khud bahaar ke phuul fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar rahe kisi maqaam pe dil ko sukun ho kyaa maani jo be-qaraar-e-azal hai vo be-qaraar rahe usi navaah mein ahl-e-nazar bhi mumkin hain kuchh aur der sar-e-tur intizaar rahe tamaam phuul the aur zarf-e-daaman-e-gulchin jo bach gae vo charaagh-e-shab-bahaar rahe miri nigaah mein hai vo harim-e-zebaai kaniz ban ke jahaan mariyam-e-bahaar rahe khizaan khizaan ho to daur-e-bahaar kyaa maani bahaar ho to khizaan kyuun bane bahaar rahe jahaan-e-husn ke asraar paa nahin saktaa jo ishq apni hadon tak hi be-qaraar rahe miri nazar se vo jalve na rah sake mastur jo zer-e-parda-e-pairaahan-e-bahaar rahe chhuDaa chukaa huun main dast-e-majaaz se daaman haqiqat apne hijaabon se hoshiyaar rahe main moDtaa huun isi rukh se kaarvaan apnaa kuchh aur der ufuq par abhi ghubaar rahe junun-e-shauq mein tahqiq-e-rang-o-bu kaisi rahe chaman mein to divaana-e-bahaar rahe hain is tarah ke zavaabit bhi be-qaraari mein ki tere saath zamaana bhi be-qaraar rahe vo sirf mere hain 'ehsaan' main faqat un kaa hai naagavaar kisi ko to naagavaar rahe"
"yuun us pe miri arz-e-tamannaa kaa asar thaa jaise koi suraj ki tapish mein gul-e-tar thaa uThti thiin darichon pe hamaari bhi nigaahein apnaa bhi kabhi shahr-e-nigaaraan mein guzar thaa ham jis ke taghaaful ki shikaayat ko gae the aankh us ne uThaai to jahaan zer-o-zabar thaa shaanon pe kabhi the tire bhige hue rukhsaar aankhon pe kabhi meri tarah daaman-e-tar thaa khushbu se moattar hai abhi tak vo guzargaah sadiyon se yahaan jaise bahaaron kaa nagar thaa hai un ke saraapaa ki tarah khush-qad o khush-rang vo sarv kaa paudaa jo sar-e-raahguzar thaa qatre ki taraai mein the tufaan ke nasheman zarre ke ahaate mein bagulon kaa bhanvar thaa is aadam-e-khaaki pe sitaaron ki nazar thi is khaak pe kuchh jalva-e-yazdaan kaa asar thaa main royaa to hansne ki sadaa aai kai yaar vo jaan-e-tamannaa pas-e-divaar-e-nazar thaa 'daanish' thaa ikahraa miraa pairaahan-e-hasti be-parda zamaane pe miraa aib-o-hunar thaa"
"jabin ki dhuul jigar ki jalan chhupaaegaa shuru-e-ishq hai vo fitratan chhupaaegaa damak rahaa hai jo nas nas ki tishnagi se badan is aag ko na tiraa pairahan chhupaaegaa tiraa ilaaj shifaa-gaah-e-asr-e-nau mein nahin khirad ke ghaav tu divaana-pan chhupaaegaa hisaar-e-zabt hai abr-e-ravaan ki parchhaain malaal-e-ruh ko kab tak badan chhupaaegaa nazar kaa fard-e-amal se hai silsila darkaar yaqin na kar ye siyaahi kafan chhupaaegaa kise khabar thi ki ye daur-e-khud-gharaz ik din junun se qimat-e-daar-o-rasan chhupaaegaa tiraa ghubaar zamin par utarne vaalaa hai kahaan tak ab ye bagula thakan chhupaaegaa khulegaa baad-e-nafas se jo rukh pe nil-kanval use kahaan tiraa ujlaa badan chhupaaegaa tire kamaal ke dhabbe tire uruuj ke daagh chhupaaegaa to koi ahl-e-fan chhupaaegaa jise hai faiz miri khaanqaah se 'daanish' vo kis tarah miraa rang-e-sukhan chhupaaegaa"
"ishq har-chand masaaib se pareshaan na huaa na huaa husn magar taaba-e-farmaan na huaa laakh duniyaa ne ye chaahaa ki pareshaan ho magar main tire gham ki hifaazat mein pareshaan na huaa dil ki aavaaz ho mahrum-e-asar kyaa maani ishq kaafir hai agar husn musalmaan na huaa darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar lekin ik khaak ke zarre kaa bhi irfaan na huaa dil mein har khuun kaa qatra hai talaatum ba-kanaar jo magar aankh se Tapkaa vahi tufaan na huaa to vo aazaad ki be-vajh hai mujh se bhi gurez main vo majbur ki dushman se bhi naalaan na huaa apni paighaam-navaai ke nataaej mein mujhe fikr-e-zindaan to rahaa hai gham-e-zindaan na huaa jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat kaa javaab meri taqdir mein aisaa koi insaan na huaa ek hi jalve se 'ehsaan' nazar haT na saki mujh se kuchh us ke sivaa kaar-e-numaayaan na huaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"