SHAWORDS

ab mujhe aur kyaa khabar degaa — Naseem Ajmal

HomeNaseem AjmalGhazal
"ab mujhe aur kyaa khabar degaa vo andheron ko raat kar degaa muskuraahaT vo degaa aahaT bhar aur udaasi vo chaand bhar degaa khaak bikhraa ke meri chaaron taraf vo mujhe aakhiri khabar degaa sabz ko surkh kab karegaa karim zard haathon mein kab samar degaa phir sunaa hai vo aane vaalaa hai phir udaasi vo raat-bhar degaa dhuul rakh kar vo meri palkon par raunaq-e-chashm mo'atabar degaa mohlat-e-shauq-e-baal-o-par kaisi vo karaan-taa-karaan safar degaa sar-e-tahrir-e-lauh-e-shaam-o-shafaq ramz mujh ko bayaan kar degaa jaan samjhe nahin ho 'ajmal' ko jaan maango to apnaa sar degaa"
Urdu

اب مجھے اور کیا خبر دے گا وہ اندھیروں کو رات کر دے گا مسکراہٹ وہ دے گا آہٹ بھر اور اداسی وہ چاند بھر دے گا خاک بکھرا کے میری چاروں طرف وہ مجھے آخری خبر دے گا سبز کو سرخ کب کرے گا کریم زرد ہاتھوں میں کب ثمر دے گا پھر سنا ہے وہ آنے والا ہے پھر اداسی وہ رات بھر دے گا دھول رکھ کر وہ میری پلکوں پر رونق چشم معتبر دے گا مہلت شوق بال و پر کیسی وہ کراں تا کراں سفر دے گا سر تحریر لوح شام و شفق رمز مجھ کو بیان کر دے گا جان سمجھے نہیں ہو اجملؔ کو جان مانگو تو اپنا سر دے گا

Hindi

अब मुझे और क्या ख़बर देगा वो अँधेरों को रात कर देगा मुस्कुराहट वो देगा आहट भर और उदासी वो चाँद भर देगा ख़ाक बिखरा के मेरी चारों तरफ़ वो मुझे आख़िरी ख़बर देगा सब्ज़ को सुर्ख़ कब करेगा करीम ज़र्द हाथों में कब समर देगा फिर सुना है वो आने वाला है फिर उदासी वो रात-भर देगा धूल रख कर वो मेरी पलकों पर रौनक़-ए-चश्म मो'तबर देगा मोहलत-ए-शौक़-ए-बाल-ओ-पर कैसी वो कराँ-ता-कराँ सफ़र देगा सर-ए-तहरीर-ए-लौह-ए-शाम-ओ-शफ़क़ रम्ज़ मुझ को बयान कर देगा जान समझे नहीं हो 'अजमल' को जान माँगो तो अपना सर देगा

ab mujhe aur kyā ḳhabar degā
Naseem Ajmal
Naseem Ajmal
Naseem Ajmal
poet43 quotes

More by Naseem Ajmal

View all →
Quote
"dard siine mein sulaa detaa hai harf honTon se haTaa detaa hai khud banaataa hai miraa manzar-e-shauq phir tah-e-khaak chhupaa detaa hai DhunDh laataa hai kabhi mujh se mujhe phir mujhi mein vo milaa detaa hai mere hone ki numaaish kar ke apne hone kaa pata detaa hai saare aalam mein andheraa kar ke dil mein shamein vo jalaa detaa hai ghaur se dekh zaraa shaam ke vaqt rukh se parda vo haTaa detaa hai mujh ko kar detaa hai mujh se hi judaa phir vo dariyaa mein milaa detaa hai kaise har raat kaa rone vaalaa mujh ko jiine ki duaa detaa hai vo jo chaahe to tire shaair ki hamd mashhur banaa detaa hai"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"nazar sarshaar us ki fazaa bedaar us ki bahut baatein suni hain sar-e-baazaar us ki kahaan kaTtaa miraa sar magar talvaar us ki main chhoTaa saa nagina baDi baazaar us ki havaa us kaa takallum shafaq dastaar us ki suni hai main ne aahaT hazaaron baar us ki kahaani kah rahi hai nigaah-e-yaar us ki nazar aai vo surat giri divaar us ki fazaa ik shabnami si badan ke paar us ki yahaan kyaa main nahin huun ye sab paikaar us ki ajab hamd-o-sanaa hai sukhan ke paar us ki dikhaa de koi 'ajmal' jhalak ik baar us ki"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"kahaan-kahaan tujhe DhunDun kahaan duhaai duun kisi kaa jurm ho apni to main safaai duun ye kusht-o-khun kaa manzar nafas-nafas lekin asir-e-jaan ko bhalaa kis tarah rihaai duun main ik sadaa huun to taDpun tiri zabaan ke biich huun ik khayaal to parvaaz mein dikhaai duun kabhi to phailun in aankhon mein daastaan ban kar kahaan talak lab-e-khaamosh se duhaai duun badan mein chikhtaa phirtaa huun tire raat gae nahin yaqin ki tujh ko na main sunaai duun tiri vafaa ke bahut tazkire kiye ab to ye ji mein hai tujhe ilzaam-e-bevafaai duun tujhe shafaq mein bharun chaand chaand chamkaaun sahar mein duur talak rang-aazmaai duun bas ek baar nazar aa miyaan-e-shoala-o-shaam phir is ke baad na main umr bhar dikhaai duun kahaan talak tere laulaak par main chhaayaa rahun kahaan talak tiri palkon pe main dikhaai duun ghazal nahin na sahi marsiya likhun 'ajmal' qalam hai sard ise dil ki raushnaai duun"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"naghma thaa yaa ki giit sunaai nahin diyaa aisaa thaa gahraa rang dikhaai nahin diyaa ubhri thi ek shakl fasil-e-nigaah par phir us kaa koi naqsh dikhaai nahin diyaa main kheltaa rahaa unhin tughyaaniyon ke biich tufaan kaa shor kuchh bhi sunaai nahin diyaa jab dil mein aa gayaa mire ghar-baar chhoD kar phir aisaa kyaa huaa ki dikhaai nahin diyaa taaron ki dhuup chhaanv mein soyaa tamaam raat jo khvaab dekhnaa thaa dikhaai nahin diyaa aahistagi se vo miri jaan mein utar gayaa hangaama aisaa thaa ki sunaai nahin diyaa Takraa ke khud se rah gai meri nigaah-e-shauq maujon ke aar-paar dikhaai nahin diyaa har nok-e-khaar ko main dikhaataa lahu kaa rang sahraa ne izn-e-aabla-paai nahin diyaa halchal machaa di us ne miri zaat mein magar kuchh hausla-e-sang-kushaai nahin diyaa us ki sadaa navaah-e-dil-e-yaasman ki thi yaani ki dars-e-shoala-navaai nahin diyaa baiThaa huaa hai gham ki tarah dil ki raah mein us ne bichhaD ke dard-e-judaai nahin diyaa vo chaand jis ko chaand kahein kaaenaat kaa aisaa to koi chaand dikhaai nahin diyaa kyaa naqsh-e-paa-e-gul hain jo taktaa hai ghaur se mujh ko to kuchh zamin pe dikhaai nahin diyaa 'ajmal' jamaal-e-yaar ki raanaai kuchh na puchh aks-e-rukh-e-khayaal dikhaai nahin diyaa"
Naseem AjmalNaseem Ajmal
Quote
"koi aahaT na koi Dagar saamne ek aks-e-safar sar-basar saamne aasmaan par lahu gul bikhartaa huaa aur ubhartaa huaa meraa sar saamne vo akelaa hazaaron se laDtaa rahaa jang hoti rahi raat bhar saamne nannhi-munni duaaon kaa haasil hai kyaa luT gayaa saaraa rakht-e-safar saamne TuuT kar saare manzar bikharne lage be-tahaashaa aDe baam-o-dar saamne kashtiyaan TuuT kar sab kinaare lagin kaise aaseb kaa hai safar saamne koi autaar to is zamin par mile aae koi to paighaambar saamne faasla mere qadmon mein manzil kaa thaa varna rahtaa kahaan ye safar saamne TukDe TukDe badan raqs kartaa huaa ik zaraa saa udhar baam par saamne ik jhalak sabz miTTi ki aankhon mein bas shoala shoala shafaq lamha bhar saamne sar pe buDhaa gagan kab se rakkhaa huaa raqs-e-shams-o-qamar aankh bhar saamne koi mujh mein mujhe qaid kartaa huaa pheink kar kitne laal-o-guhar saamne kyaa karun meraa man thaa khalaaon mein gum vo dikhaataa rahaa sab hunar saamne siina siina safar ye tilism-e-hunar dekh 'ajmal' hai raftaar bhar saamne"
Naseem AjmalNaseem Ajmal

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb