SHAWORDS

apne ahbaab ko ashaar sunaane niklaa — Arif Ansari

HomeArif AnsariGhazal
"apne ahbaab ko ashaar sunaane niklaa main bhi kin logon mein sar apnaa khapaane niklaa baad-e-koshish bhi na didaar ki surat nikli chaand badli se kisi aur bahaane niklaa is ko taalim o mohabbat ki zarurat hai abhi kam-sini mein ye jo be-chaara kamaane niklaa chaand ko dekh ke taara bhi badal kar poshaak bazm-e-ahbaab mein rang apnaa jamaane niklaa meri shohrat kaa diyaa shams na ban jaae kahin koi is vaaste tauqir ghaTaane niklaa"
Urdu

اپنے احباب کو اشعار سنانے نکلا میں بھی کن لوگوں میں سر اپنا کھپانے نکلا بعد کوشش بھی نہ دیدار کی صورت نکلی چاند بدلی سے کسی اور بہانے نکلا اس کو تعلیم و محبت کی ضرورت ہے ابھی کم سنی میں یہ جو بے چارہ کمانے نکلا چاند کو دیکھ کے تارہ بھی بدل کر پوشاک بزم احباب میں رنگ اپنا جمانے نکلا میری شہرت کا دیا شمس نہ بن جائے کہیں کوئی اس واسطے توقیر گھٹانے نکلا

Hindi

अपने अहबाब को अशआ'र सुनाने निकला मैं भी किन लोगों में सर अपना खपाने निकला बअ'द-ए-कोशिश भी न दीदार की सूरत निकली चाँद बदली से किसी और बहाने निकला इस को ता'लीम ओ मोहब्बत की ज़रूरत है अभी कम-सिनी में ये जो बे-चारा कमाने निकला चाँद को देख के तारा भी बदल कर पोशाक बज़्म-ए-अहबाब में रंग अपना जमाने निकला मेरी शोहरत का दिया शम्स न बन जाए कहीं कोई इस वास्ते तौक़ीर घटाने निकला

apne ahbāb ko ash.ār sunāne niklā
A
Arif Ansari
Arif Ansari
poet9 quotes

More by Arif Ansari

View all →
Quote
"daastaan bhi mukhtalif lahja bhi yaaron se judaa paanchvaan darvesh to hai pahle chaaron se judaa zahr naa-pukhta mizaajon mein bharaa karte hain ye aap rahiyegaa zaraa in hoshyaaron se judaa shor barpaa ho gayaa har gosha-e-gulzaar mein jab ubhar aayaa nayaa manzar bahaaron se judaa chaaT jaati hirs ki dimak faqiron ke bhi tan siratein un ki thiin lekin shahryaaron se judaa bas gham-e-jaanaan nahin lekin gham-e-duniyaa to hai aap kaise ho gae phir dil-figaaron se judaa 'naasir' o 'baani' saa tujh ko bhi saraahaa jaaegaa jab tiraa rang-e-sukhan hogaa hazaaron se judaa"
A
Arif Ansari
Quote
"rahti hai sabaa jaise khushbu ke taaaqub mein kuchh yuun hi zamaana hai urdu ke taaaqub mein lauTe nahin ab tak vo barson hue nikle the paazeb ki chaahat mein ghungru ke taaaqub mein ik jaadu ki Dibiyaa hai jo un kaa khilaunaa hai bachche nahin rahte ab jugnu ke taaaqub mein maasum si aankhon se ik buund hi Tapki thi baadal umaD aae hain aansu ke taaaqub mein naqqaalon ke pichhe kyuun phirte ho hunar vaalo dekhaa hai kyaa saagar ko sarju ke taaaqub mein afkaar ke phulon ki vaadi hai hadaf 'aarif' har shaair-e-urdu hai khushbu ke taaaqub mein"
A
Arif Ansari
Quote
"alfaaz ke patthar kyaa pheinke gae paani mein tufaan saa barpaa hai dariyaa-e-maaani mein khushiyon ke fasaane hi dohraae nahin jaate hain ranj ke chhinTe bhi ghar ghar ki kahaani mein jaadu hi ghazab kaa thaa aks-e-rukh-e-zebaa kaa kyuun aag na lag jaati bahte hue paani mein donon hi qabilon ne paimaan-e-vafaa baandhe lauT aai vafaa phir se har dushman-e-jaani mein tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise akhlaaq na hotaa gar tahzib ke baani mein misre pe tire 'aarif' misraa jo huaa chaspaan khushbu si utar aai har ulaa-o-saani mein"
A
Arif Ansari
Quote
"dil kyaa kisi ki baat se andar se kaT gayaa titli kaa raabta kyuun gul-e-tar se kaT gayaa do-chaar gaam kaa hi safar rah gayaa thaa bas is vaqt meraa qaafila rahbar se kaT gayaa mausam ke sard-o-garm kaa jal par asar na thaa vo sang-dil bhi sher-e-sukhnavar se kaT gayaa saf mein mukhaalifon ki main samjhaa thaa ghair hain dekhaa jo apne logon ko andar se kaT gayaa khairaat khuub kartaa hai jab log saath hon tanhaa hai vo abhi to gadaagar se kaT gayaa jab tak uruuj thaa to zamaane mein dhuum thi juun hi zavaal aayaa vo manzar se kaT gayaa"
A
Arif Ansari
Quote
"zahraab-e-tishnagi kaa maza ham se puchhiye guzri hui sadi kaa maza ham se puchhiye ik pal khayaal-e-yaar mein ham munhamik rahe ik pal mein ik sadi kaa maza ham se puchhiye shohrat ki be-khudi kaa maza aap jaaniye izzat ki zindagi kaa maza ham se puchhiye kaif-o-nashaat jis se milaa ham ko baarhaa is karb-e-aagahi kaa maza ham se puchhiye fikr-e-jahaan hai aur na luTne kaa khauf hai qallaash zindagi kaa maza ham se puchhiye fikr-e-sukhan mein ham ne zamaane ki sair ki 'aarif' sukhanvari kaa maza ham se puchhiye"
A
Arif Ansari
Quote
"baaghbaan ki be-rukhi se nile-pile ho gae khaar ki maanind ab gul bhi nukile ho gae bahte dariyaa se sabhi sairaab hain lekin mujhe sirf ik qatra milaa bas honT giile ho gae mai-kashon ne bas qadam rakkhaa thaa sehn-e-baagh mein phul-patte bel-buTe sab nashile ho gae ek hi aadam se hain lekin siyaasat ke nisaar kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae mere bachpan kaa zamaana phuul kaa ambaar thaa jaise hi bachpan gayaa ambaar Tiile ho gae ik nazar tanqid ki paDne ki 'aarif' der thi sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae"
A
Arif Ansari

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat