SHAWORDS

'aql-o-daanish ko yaqinan maat honi chaahiye — Arman Khan Arman

"'aql-o-daanish ko yaqinan maat honi chaahiye 'ishq-e-vaahid mein yahi khairaat honi chaahiye sar qalam kar de sitamgar dast-o-baazu kaaT de be-takalluf haq-ba-jaanib baat honi chaahiye paDh sakein naa-aafrida gulshanon ke 'andalib bebasi safhaat-dar-safhaat honi chaahiye chaar-su maqtal hi maqtal dasht-o-sahraa karbalaa gar yahi din hai to phir ab raat honi chaahiye"
Urdu

عقل و دانش کو یقیناً مات ہونی چاہئے عشق واحد میں یہی خیرات ہونی چاہئے سر قلم کر دے ستم گر دست و بازو کاٹ دے بے تکلف حق بہ جانب بات ہونی چاہئے پڑھ سکیں نا آفریدہ گلشنوں کے عندلیب بے بسی صفحات در صفحات ہونی چاہئے چار سو مقتل ہی مقتل دشت و صحرا کربلا گر یہی دن ہے تو پھر اب رات ہونی چاہئے

Hindi

'अक़्ल-ओ-दानिश को यक़ीनन मात होनी चाहिए 'इश्क़-ए-वाहिद में यही ख़ैरात होनी चाहिए सर क़लम कर दे सितमगर दस्त-ओ-बाज़ू काट दे बे-तकल्लुफ़ हक़-ब-जानिब बात होनी चाहिए पढ़ सकें ना-आफ़्रीदा गुलशनों के 'अंदलीब बेबसी सफ़्हात-दर-सफ़्हात होनी चाहिए चार-सू मक़्तल ही मक़्तल दश्त-ओ-सहरा कर्बला गर यही दिन है तो फिर अब रात होनी चाहिए

'aql-o-dānish ko yaqīnan maat honī chāhiye
Arman Khan Arman
Arman Khan Arman
Arman Khan Arman
poet20 quotes

More by Arman Khan Arman

View all →
Quote
"pahle vo parindon ko ham-zabaan banaataa hai baa'd jaal bunne ko rassiyaan banaataa hai aaj ik samundar ne jis se dushmani kar li vo to sirf saahil par kashtiyaan banaataa hai jis pe dars-e-hasti kaa imtihaan guzraa ho vo qalam se kaaghaz par talkhiyaan banaataa hai subh hone se pahle shor phail jaataa hai kaun raat bhar itni siskiyaan banaataa hai dil to khair dil Thahraa bebasi mein kis kis par raaz khol detaa hai raaz-daan banaataa hai khaak-e-dasht-e-imkaan se ik diyaa banaa kar ke vahshat-o-tazabzub ki aandhiyaan banaataa hai"
Arman Khan ArmanArman Khan Arman
Quote
"'ghaalib' ke kabhi 'mir' ke divaan se chehre mushkil se samajh aate hain aasaan se chehre dil shahr-e-tamannaa hai muhaafiz hain nigaahein rahte hain yahaan be-sar-o-saamaan se chehre parchhaaiyon ki qaid mein dam toD rahe hain saahir ki kisi nazm ke 'unvaan se chehre haalaat se laDne kaa hunar siikh rahe hain muskaan lapeTe hue sunsaan se chehre har samt andheraa hai tamaashaa-e-kuhan hai maayus hain insaan se insaan se chehre kyon haath mein arjun ke dhanush kaanp rahaa hai lashkar mein hain dushman ke dil-o-jaan se chehre"
Arman Khan ArmanArman Khan Arman

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud