SHAWORDS

bhiiD bahut thi thoDi nain — Gourav Kumar

HomeGourav KumarGhazal
"bhiiD bahut thi thoDi nain ham ne tavaqqo' chhoDi nain chikh rahaa thaa saaraa ghar laash ne chuppi toDi nain ziist ne khinchaa laakh hamein maut ki ungli chhoDi nain TuuT gaiin to TuuT gaiin ham ne chizein joDi nain jaam nazar ke jam ke chakh is mein thoDi thoDi nain"
Urdu

بھیڑ بہت تھی تھوڑی نئیں ہم نے توقع چھوڑی نئیں چیخ رہا تھا سارا گھر لاش نے چپی توڑی نئیں زیست نے کھینچا لاکھ ہمیں موت کی انگلی چھوڑی نئیں ٹوٹ گئیں تو ٹوٹ گئیں ہم نے چیزیں جوڑی نئیں جام نظر کے جم کے چخ اس میں تھوڑی تھوڑی نئیں

Hindi

भीड़ बहुत थी थोड़ी नइं हम ने तवक़्क़ो' छोड़ी नइं चीख़ रहा था सारा घर लाश ने चुप्पी तोड़ी नइं ज़ीस्त ने खींचा लाख हमें मौत की उंगली छोड़ी नइं टूट गईं तो टूट गईं हम ने चीज़ें जोड़ी नइं जाम नज़र के जम के चख़ इस में थोड़ी थोड़ी नइं

bhiiḌ bahut thī thoḌī na.iñ
Gourav Kumar
Gourav Kumar
Gourav Kumar
poet14 quotes

More by Gourav Kumar

View all →

More on Maut

View all →
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aap ki jab se mehrbaani hai dil ke har zakhm par javaani hai aap se duur rah ke zinda hain ye bhi kyaa koi zindagaani hai baad muddat ke us ko dekhaa hai jo mohabbat kaa meri baani hai puchhte kyaa ho mere dil kaa haal is ki to lambi ik kahaani hai saath jiinaa hai saath marnaa hai ye qasam aap ko bhi khaani hai jis ki khaatir ye ho gai hai ghazal vo khayaalon ki mere raani hai khauf mein us ke ham nahin rahte maut to ek roz aani hai kitnaa be-dard ho gayaa vo 'salim' duur rahne ki jis ne Thaani hai"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"khushk us ki zaat kaa saaton samundar ho gayaa dhuup kuchh aisi paDi vo shakhs banjar ho gayaa aangan aangan zahr barsaaegi us ki chaandni vo agar mahtaab ki surat ujaagar ho gayaa mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-du'aa kal khabar aa jaaegi vo shakhs patthar ho gayaa kis ne apne haath se khud maut kaa katba likhaa kaun apni qabr par 'ibrat kaa patthar ho gayaa qurb jab had se baDhaa duuri muqaddar ho gai us kaa milnaa bhi na milne ke baraabar ho gayaa main ki baahar ki fazaa mein qaid thaa jis ke sabab aaj vo khud jins ke pinjre ke andar ho gayaa muft mein taqsim ki 'saajid' mataa-e-shaaeri jis ne apnaa qurb apnaayaa vo shaa'ir ho gayaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"yaad aa ke tiri hijr mein samjhaaegi kis ko dil hi nahin siine mein to bahlaaegi kis ko dam khinchtaa hai kyuun aaj ye rag rag se hamaaraa kyaa jaane idhar dil ki kashish laaegi kis ko uThne hi nahin deti hai jab yaas biThaa kar phir shauq ki himmat kahin le jaaegi kis ko jab maar hi Daalaa hamein be-taabi-e-dil ne karvaT shab-e-furqat mein badalvaaegi kis ko mar jaaeinge be-maut gham-e-hijr ke maare aaegi to ab zinda ajal paaegi kis ko achchhaa rahe tasvir kisi ki mire dil par kam-bakht na Thahregaa to Thahraaegi kis ko kuchh baiTh gayaa dil hi yahaan baiTh ke apnaa ghairat tiri mahfil se ab uThvaaegi kis ko is vaada-khilaafi ne agar jaan hi le li phir jhuTi tasalli tiri taDpaaegi kis ko kyuun leinge 'jalaal' aa ke mire dil mein vo chuTki jhapkegi palak kaahe ko niind aaegi kis ko"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi