SHAWORDS

bin tire zindagi hogi na basar lagtaa hai — Mohsin Sahil

HomeMohsin SahilGhazal
"bin tire zindagi hogi na basar lagtaa hai tujh se ik pal bhi bichhaD jaaun to Dar lagtaa hai tum jo rahte ho mire saath to ye khasta makaan TuuTaa phuTaa huaa jaisaa bhi hai ghar lagtaa hai ye kabhi ashraf-e-makhluq huaa kartaa thaa ab to ye aadmi kahne ko bashar lagtaa hai ye jo aangan hai ye baazaar tak aa pahunchaa hai ab miraa ghar bhi to ik raahguzar lagtaa hai jis ki buniyaad mein ikhlaas-o-mohabbat ho ravaan phir usi peD pe khushiyon kaa samar lagtaa hai meri har baat pe tum ko jo yaqin hai 'saahil' is qadar saada-mizaaji se bhi Dar lagtaa hai"
Urdu

بن ترے زندگی ہوگی نہ بسر لگتا ہے تجھ سے اک پل بھی بچھڑ جاؤں تو ڈر لگتا ہے تم جو رہتے ہو مرے ساتھ تو یہ خستہ مکاں ٹوٹا پھوٹا ہوا جیسا بھی ہے گھر لگتا ہے یہ کبھی اشرف مخلوق ہوا کرتا تھا اب تو یہ آدمی کہنے کو بشر لگتا ہے یہ جو آنگن ہے یہ بازار تک آ پہنچا ہے اب مرا گھر بھی تو اک راہ گزر لگتا ہے جس کی بنیاد میں اخلاص و محبت ہو رواں پھر اسی پیڑ پہ خوشیوں کا ثمر لگتا ہے میری ہر بات پہ تم کو جو یقیں ہے ساحلؔ اس قدر سادہ مزاجی سے بھی ڈر لگتا ہے

Hindi

बिन तिरे ज़िंदगी होगी न बसर लगता है तुझ से इक पल भी बिछड़ जाऊँ तो डर लगता है तुम जो रहते हो मिरे साथ तो ये ख़स्ता मकाँ टूटा फूटा हुआ जैसा भी है घर लगता है ये कभी अशरफ़-ए-मख़्लूक़ हुआ करता था अब तो ये आदमी कहने को बशर लगता है ये जो आँगन है ये बाज़ार तक आ पहुँचा है अब मिरा घर भी तो इक राहगुज़र लगता है जिस की बुनियाद में इख़्लास-ओ-मोहब्बत हो रवाँ फिर उसी पेड़ पे ख़ुशियों का समर लगता है मेरी हर बात पे तुम को जो यक़ीं है 'साहिल' इस क़दर सादा-मिज़ाजी से भी डर लगता है

bin tire zindagī hogī na basar lagtā hai
Mohsin Sahil
Mohsin Sahil
Mohsin Sahil
poet20 quotes

More by Mohsin Sahil

View all →
Quote
"us ne ham se yahi shikaayat ki is qadar ham se kyon mohabbat ki aashiqon ki namaaz hone lagi aur miyaan qais ne imaamat ki laae tashrif mere khvaabon mein khvaah-makhvaah aap ne ye zahmat ki vo the tazin-e-husn mein masruf ham ne milne mein thoDi ujlat ki us ne dekhaa magar na pahchaanaa khair jo bhi kiyaa inaayat ki phir sukun dil kaa ho gayaa barbaad teri yaadon ne kyaa qayaamat ki rishte aksar hain jhuuT par qaaem koi qimat nahin sadaaqat ki ishq ke naam par hue barbaad par na mahbub se shikaayat ki chand aansu hain us ki yaadein hain baat kuchh pochhiye na khalvat ki"
Mohsin SahilMohsin Sahil
Quote
"log jo gardish-e-ayyaam se Dar jaate hain maut se pahle hi samjho ki vo mar jaate hain ye jo kuchh log ki tufaan se Daraate hain hamein sarsaraahaT se ye patton ki bhi Dar jaate hain jis ko dekho vo haraasaan hai yahaan apnon se shukr hai shaam ko sab apne hi ghar jaate hain ab ke karnaa hai hamein tark-e-taalluq mein pahal ham ye kahte hain faqat aap to kar jaate hain ik tiraa gham thaa jise ham ne sanbhaalaa har dam varna tufaan se tinke to bikhar jaate hain un kaa daavaa hai ki suraj ko kareinge taskhir jo yahaan shaam ke jugnun se bhi Dar jaate hain"
Mohsin SahilMohsin Sahil

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi