"na jaane kyaa miri vahshat ne khvaab dekhaa hai tamaam shahr pe raaton kaa sakht pahraa hai khud aaj apni lakiron mein DhunDhtaa hai panaah vo ek haath jo taqdir ko badaltaa hai ma’ishaton ke jahannum mein jal rahe hain badan jahaan mein ruuh ki aasudgi kaa charchaa hai kisi ko sirf shagufe kisi ko sirf sharar na jaane ab ke bahaaron kaa faiz kaisaa hai nahin hai ham mein sulaimaan koi magar ham se zamaana qaaf ki pariyon ki baat kartaa hai kuchh ab ke aur bhi zakhmon ki aag tez hui 'uruj' un ke tabassum mein zahr kaisaa hai"
chaand kaa 'aks tah-e-aab chamaktaa dekho — Abdur Rauf Urooj
"chaand kaa 'aks tah-e-aab chamaktaa dekho yuun bhi dard-e-dil-e-betaab chamaktaa dekho jaane kis raah pe raaton ke musaafir niklein koi khurshid dam-e-khvaab chamaktaa dekho jahl ne toD diye ahl-e-tadabbur ke subu saaghar-e-‘asr mein zahraab chamaktaa dekho kal mile yaa na mile fikr-e-ma’ishat se najaat aaj ki raat to mahtaab chamaktaa dekho par kisi shahr-e-tarab-naak ko jaataa hai khayaal phir koi gul-kada-e-khvaab chamaktaa dekho hai pare nargha-e-zulmat se zamaana apnaa ufuq-e-fikr-e-jahaan-taab chamaktaa dekho shahr-e-ehsaas ke har moD pe raatein hain 'uruj' shahr-e-ehsaas kaa har baab chamaktaa dekho"
چاند کا عکس تہہ آب چمکتا دیکھو یوں بھی درد دل بیتاب چمکتا دیکھو جانے کس راہ پہ راتوں کے مسافر نکلیں کوئی خورشید دم خواب چمکتا دیکھو جہل نے توڑ دئے اہل تدبر کے سبو ساغر عصر میں زہراب چمکتا دیکھو کل ملے یا نہ ملے فکر معیشت سے نجات آج کی رات تو مہتاب چمکتا دیکھو پر کسی شہر طرب ناک کو جاتا ہے خیال پھر کوئی گل کدۂ خواب چمکتا دیکھو ہے پرے نرغۂ ظلمت سے زمانہ اپنا افق فکر جہاں تاب چمکتا دیکھو شہر احساس کے ہر موڑ پہ راتیں ہیں عروجؔ شہر احساس کا ہر باب چمکتا دیکھو
चाँद का 'अक्स तह-ए-आब चमकता देखो यूँ भी दर्द-ए-दिल-ए-बेताब चमकता देखो जाने किस राह पे रातों के मुसाफ़िर निकलें कोई ख़ुर्शीद दम-ए-ख़्वाब चमकता देखो जहल ने तोड़ दिए अहल-ए-तदब्बुर के सुबू साग़र-ए-‘अस्र में ज़हराब चमकता देखो कल मिले या न मिले फ़िक्र-ए-म’ईशत से नजात आज की रात तो महताब चमकता देखो पर किसी शहर-ए-तरब-नाक को जाता है ख़याल फिर कोई गुल-कदा-ए-ख़्वाब चमकता देखो है परे नर्ग़ा-ए-ज़ुल्मत से ज़माना अपना उफ़ुक़-ए-फ़िक्र-ए-जहाँ-ताब चमकता देखो शहर-ए-एहसास के हर मोड़ पे रातें हैं 'उरूज' शहर-ए-एहसास का हर बाब चमकता देखो

More by Abdur Rauf Urooj
View all →"chaand se pyaar sitaaron se shanaasaai bhi ham ne dekhi hai gham-e-dost ki rusvaai bhi jalva-e-shahr-e-nigaar aur nikhar aur sanvar ham mein divaane bhi maujud hain saudaai bhi jalva-e-shahr-e-nigaar aur nikhar aur sanvar ham mein divaane bhi maujud hain saudaai bhi zehn mein yuun tiri yaadon ke nashe lahraae ban gayaa giit sukut-e-shab-e-tanhaai bhi aao phir lahja-e-gul mein koi afsaana kahein salb hoti hai kahin quvvat-e-goyaai bhi ai gham-e-dost tiraa kaise buraa chaaheinge jin se dekhi na gai ghair ki rusvaai bhi hai vahi qaafila-e-fikr-o-nazar aur 'uruj' zindagi shaah-nashinon se utar aai bhi"
"khun-e-dil hai nikhaar kaanTon par dekhtaa jaa bahaar kaanTon par inqilaab-e-chaman ki baat karo ham ne dekhi bahaar kaanTon par meri divaangi bhi dekh chuki daaman-e-taar-taar kaanTon par fasl-e-gul bhi guzaar di ham ne ai gham-e-rozgaar kaanTon par dil ki be-khvaabiyaan na jaaeingi niind aae hazaar kaanTon par baat kyaa hai ki us ke gham ki tarah lauTti hai bahaar kaanTon par haae vo chand husn-e-kaar 'uruj' jin ko aataa hai pyaar kaanTon par"
"ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charaagh miri nigaah farozaan hui hai ban ke charaagh hazaar baad-e-havaadis hazaar sarsar-e-gham jalaa rahaa huun magar azmat-e-chaman ke charaagh nuqush-e-shahr-e-nigaaraan ubhaarte hi rahe mire junun ke ujaale tiri lagan ke charaagh savaad-e-asr mein fardaa ki taabnaaki hai bujhaa diye gae andesha-e-kuhan ke charaagh hujum-e-gham mein huaa thaa ye kaun naghma-saraa jali hai tirgi-e-shaam dard ban ke charaagh na baad-e-dasht-o-bayaabaan na shaam-e-ranj-o-balaa lahu se apne jalaate hain ham-vatan ke charaagh jilau mein taabish-e-qindil-e-aagahi le kar bujhaa diye hain mohabbat ne ahrman ke charaagh zamaana shaam-e-balaa se savaal kartaa hai kidhar gae vo tire daur-e-pur-fitan ke charaagh sharaar-e-nutq huaa sarf-e-har-khayaal 'uruj' jale to bujh na sake shokhi-e-sukhan ke charaagh"
"chand paaband-e-salaasil hue aazaad ab ke jaane divaanon pe kyaa aaegi uftaad ab ke jin ki yak-jehti-e-ehsaas thi aain-e-junun hain vahi log to majmua-e-azdaad ab ke yuun uDaayaa gayaa arbaab-e-mohabbat kaa mazaaq ho gae ham havas-e-naam mein barbaad ab ke ham ne bedaari-e-tahrik-e-masarrat ke liye har rag-e-jaan pe rakhaa dashna-e-fariyaad ab ke in fazaaon mein bujhe saikDon khurshid magar khair se chup hain shab-e-marg ke naqqaad ab ke aur to kuchh na rahaa ahl-e-vafaa ke bas mein nazr ko laae hain bhuli hui ik yaad ab ke der se soch mein hai ishrat-e-parvez 'uruj' jaane kis tarh uThe tesha-e-farhaad ab ke"
"nazar mein loch na haijaan manzaron mein hai 'urus-e-subh abhi shab ki chaadaron mein hai na soch taajvaron kaa maaal kyaa hogaa ye dekh tesha-ba-kaf kaun pattharon mein hai bhaDak rahi hain kinaaron ki bastiyaan ab tak balaa ki aag hamaare samundaron mein hai nigaar-khaana-e-maa'ni se sarsari na guzar lahu kaa rang bhi do-chaar manzaron mein hai sukut-e-sang ko aasaaish-e-bayaan de de 'ajab kamaal-e-hunar aaina-garon mein hai gali ke moD pe kis ne diyaa jalaayaa thaa usi ki raushni taarik se gharon mein hai nigal na jaaein use bhi ye kaj-kulaah 'uruj' zaraa si aan jo baaqi sukhanvaron mein hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"