SHAWORDS

charaagh-e-anjuman ko ye khabar kyaa — Athar Ziai

HomeAthar ZiaiGhazal
"charaagh-e-anjuman ko ye khabar kyaa ki manzil kyaa hai aur rasm-e-safar kyaa safar mein fikr-e-raahat is qadar kyaa sajaae hain ye tum ne baam-o-dar kyaa nahin gardish mein ab shams-o-qamar kyaa na badleinge mire shaam-o-sahar kyaa khulus-e-ijz hai ik shart-e-sajda kisi kaa naqsh-e-paa kyaa sang-e-dar kyaa mashiyyat kaar-farmaa-e-do-aalam to phir ye nek bad kyaa khair-o-shar kyaa baDhi hai vaqt ki raftaar kaisi hui hai zindagaani mukhtasar kyaa adaa-e-shukr bhi laazim hai 'athar' rahegaa shikva-bar-lab umr bhar kyaa"
Urdu

چراغ انجمن کو یہ خبر کیا کہ منزل کیا ہے اور رسم سفر کیا سفر میں فکر راحت اس قدر کیا سجائے ہیں یہ تم نے بام و در کیا نہیں گردش میں اب شمس و قمر کیا نہ بدلیں گے مرے شام و سحر کیا خلوص عجز ہے اک شرط سجدہ کسی کا نقش پا کیا سنگ در کیا مشیت کارفرمائے دو عالم تو پھر یہ نیک بد کیا خیر و شر کیا بڑھی ہے وقت کی رفتار کیسی ہوئی ہے زندگانی مختصر کیا ادائے شکر بھی لازم ہے اطہرؔ رہے گا شکوہ بر لب عمر بھر کیا

Hindi

चराग़-ए-अंजुमन को ये ख़बर क्या कि मंज़िल क्या है और रस्म-ए-सफ़र क्या सफ़र में फ़िक्र-ए-राहत इस क़दर क्या सजाए हैं ये तुम ने बाम-ओ-दर क्या नहीं गर्दिश में अब शम्स-ओ-क़मर क्या न बदलेंगे मिरे शाम-ओ-सहर क्या ख़ुलूस-ए-इज्ज़ है इक शर्त-ए-सज्दा किसी का नक़्श-ए-पा क्या संग-ए-दर क्या मशिय्यत कार-फ़रमा-ए-दो-आलम तो फिर ये नेक बद क्या ख़ैर-ओ-शर क्या बढ़ी है वक़्त की रफ़्तार कैसी हुई है ज़िंदगानी मुख़्तसर क्या अदा-ए-शुक्र भी लाज़िम है 'अतहर' रहेगा शिकवा-बर-लब उम्र भर क्या

charāġh-e-anjuman ko ye ḳhabar kyā
A
Athar Ziai
Athar Ziai
poet34 quotes

More by Athar Ziai

View all →
Quote
"yahi nahin ki faqat baam-o-dar se bach ke chalun talaash-e-yaar mein shams-o-qamar se bach ke chalun ye rang-o-nur hain daaman-kash-e-hayaat magar hai maslahat kaa taqaazaa udhar se bach ke chalun ye pech-o-kham ye nasheb-o-faraaz-e-raah-e-hayaat kahaan se ho ke chalun aur kidhar se bach ke chalun jo saath de na sake taa-harim-e-jalva-e-naaz main chaahtaa huun har us rahguzar se bach ke chalun jahaan jabin ko na haasil ho rifat-e-aflaak us aastaane se us sang-e-dar se bach ke chalun main mutmain nahin raftaar-e-kaarvaan se hanuz khataa muaaf agar raahbar se bach ke chalun main rang-e-gardish-e-dauraan ko dekh kar 'athar' ye sochtaa huun ki shaam-o-sahar se bach ke chalun"
A
Athar Ziai
Quote
"chaman hai kaisaa ye kaisi bahaar hai saaqi lahu se sehn-e-chaman laala-zaar hai saaqi ye chira-dasti-e-ahl-e-junun maaaz-allaah qabaa-e-laala-o-gul taar taar hai saaqi hai zad mein aatish-o-aahan ki shahr-e-raamish-o-rang udaas shaam sahar sogvaar hai saaqi ye zakhm zakhm badan aur ye sokhta laashein ajiib marhala-e-gir-o-daar hai saaqi ye kyaa sitam hai ki qaatil hai surakh-ru lekin huaa jo qatl vahi sharmsaar hai saaqi na jaane mausam-e-gul kaa shabaab kyaa hogaa agar ye aamad-e-fasl-e-bahaar hai saaqi bajaa ki vaqt taghayyur-pazir hai har dam magar hayaat kaa kab e'tibaar hai saaqi"
A
Athar Ziai

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb