SHAWORDS

chhoD de maangne ki adaa chhoD de — Aziz Nehtauri

HomeAziz NehtauriGhazal
"chhoD de maangne ki adaa chhoD de apnaa haq chhin le iltijaa chhoD de chhoD de ab miraa tazkira chhoD de kuchh dinon ko mujhe laapata chhoD de naa-khudaaon kaa ab aasraa chhoD de apni kashti ba-naam-e-khudaa chhoD de ishq mein qurb hi ishq ki maut hai qurbaton mein bhi kuchh faasla chhoD de ye bhi mumkin nahin vo bhi mumkin nahin main vafaa chhoD duun tu jafaa chhoD de apnaa daaman bachaa fikr meri na kar tu mire ghar ko jaltaa huaa chhoD de bevafaa zindagi kaa bharosaa hi kyaa ye na jaane kahaan kis jagah chhoDe de koi rah rah ke aavaaz de hai mujhe zindagi ab miraa raasta chhoD de ai 'aziz' ab kisi ko bharosaa nahin jaane kab kaun shosha nayaa chhoD de"
Urdu

چھوڑ دے مانگنے کی ادا چھوڑ دے اپنا حق چھین لے التجا چھوڑ دے چھوڑ دے اب مرا تذکرہ چھوڑ دے کچھ دنوں کو مجھے لاپتہ چھوڑ دے ناخداؤں کا اب آسرا چھوڑ دے اپنی کشتی بہ نام خدا چھوڑ دے عشق میں قرب ہی عشق کی موت ہے قربتوں میں بھی کچھ فاصلہ چھوڑ دے یہ بھی ممکن نہیں وہ بھی ممکن نہیں میں وفا چھوڑ دوں تو جفا چھوڑ دے اپنا دامن بچا فکر میری نہ کر تو مرے گھر کو جلتا ہوا چھوڑ دے بے وفا زندگی کا بھروسا ہی کیا یہ نہ جانے کہاں کس جگہ چھوڑے دے کوئی رہ رہ کے آواز دے ہے مجھے زندگی اب مرا راستہ چھوڑ دے اے عزیزؔ اب کسی کو بھروسا نہیں جانے کب کون شوشہ نیا چھوڑ دے

Hindi

छोड़ दे माँगने की अदा छोड़ दे अपना हक़ छीन ले इल्तिजा छोड़ दे छोड़ दे अब मिरा तज़्किरा छोड़ दे कुछ दिनों को मुझे लापता छोड़ दे ना-ख़ुदाओं का अब आसरा छोड़ दे अपनी कश्ती ब-नाम-ए-ख़ुदा छोड़ दे इश्क़ में क़ुर्ब ही इश्क़ की मौत है क़ुर्बतों में भी कुछ फ़ासला छोड़ दे ये भी मुमकिन नहीं वो भी मुमकिन नहीं मैं वफ़ा छोड़ दूँ तू जफ़ा छोड़ दे अपना दामन बचा फ़िक्र मेरी न कर तू मिरे घर को जलता हुआ छोड़ दे बेवफ़ा ज़िंदगी का भरोसा ही क्या ये न जाने कहाँ किस जगह छोड़े दे कोई रह रह के आवाज़ दे है मुझे ज़िंदगी अब मिरा रास्ता छोड़ दे ऐ 'अज़ीज़' अब किसी को भरोसा नहीं जाने कब कौन शोशा नया छोड़ दे

chhoḌ de māñgne kī adā chhoḌ de
Aziz Nehtauri
Aziz Nehtauri
Aziz Nehtauri
poet4 quotes

More by Aziz Nehtauri

View all →
Quote
"aag bhaDki kahaan thi kidhar lag gai thi khataa kis ki aur kis ke sar lag gai dil dhaDakne lagaa muskuraate hue meri khushiyon ko kis ki nazar lag gai is chaman ke muqaddar mein hi aag hai aaj idhar lag gai kal udhar lag gai baat to aap ke aur mire biich thi phir zamaane ko kaise khabar lag gai aap ab jo bhi chaahein vo unvaan dein meri tasvir divaar par lag gai mere daaman pe chashm-e-karam ai khudaa main musaafir thaa gard-e-safar lag gai aag to aag hai aag ki baat kyaa laakh daaman bachaayaa magar lag gai jeb-o-daaman se mahrum ho jaaoge choT agar mere ehsaas par lag gai ai 'aziz' un ko ehsaas hotaa nahin aur miri zindagi daao par lag gai"
Aziz NehtauriAziz Nehtauri
Quote
"kachche dhaage pe na jaa is kaa bharosaa kyaa hai naasehaa rind-e-balaa-nosh ki tauba kyaa hai chain lene nahin deti tu kisi bhi surat zindagi kuchh to bataa de tiraa manshaa kyaa hai haal teraa bhi yahi hogaa sun ai ghuncha-e-nau dekh kar phuul ke anjaam ko hanstaa kyaa hai aur honge gham-o-aalaam se Darne vaale tu ne ai gardish-e-dauraan hamein samjhaa kyaa hai main tiri mast nigaahon ke tasadduq saaqi jaam rahne de tire jaam mein rakhaa kyaa hai jaane kis aas pe aTkaa hai ye dam aankhon mein varna ab aap ke bimaar mein rakhaa kyaa hai zindagi di hai to allaah ye taufiq bhi de main samajh luun miri takhliq kaa manshaa kyaa hai ai 'aziz' us kaa har ik shai se hai jalva zaahir phir samajh mein nahin aataa ki ye parda kyaa hai"
Aziz NehtauriAziz Nehtauri
Quote
"nazar jab ham pe koi baar baar Daalegaa ye iltifaat to be-maut maar Daalegaa mire liye kisi khanjar ki kyaa zarurat hai mujhe to khud miraa ehsaas maar Daalegaa nahin hai vaqt sadaaqat ki baat mat kijiye zamaana daar-o-rasan se guzaar Daalegaa jo asliyat hai chhupaane se chhup nahin sakti tu aaina pe kahaan tak ghubaar Daalegaa hai vaqt is liye teraa dimaagh arsh pe hai badal gayaa to zamin mein utaar Daalegaa ye soch kar mire hamraah chal sako to chalo zamaana raah-e-mohabbat mein khaar Daalegaa sanvaartaa huun 'aziz' aaj kis ko phulon se vo shakhs kal mire kaanTon ke haar Daalegaa"
Aziz NehtauriAziz Nehtauri

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar