"un kaa manshaa hai na phaile khas-o-khaashaak mein aag aatish-e-dil na lagaa dida-e-namnaak mein aag barq-e-gham ban ke jo ehsaas-e-nazar phunk gai is qadar thi tire ik jumla-e-be-baak mein aag shoala-e-mai ki navaazish hai to lag jaaegi saaz-e-hasti ke har ik naghma-e-naapaak mein aag un ke aangan mein bhi angaare baras jaaeinge aah-e-sozaan na lagaa daaman-e-aflaak mein aag qaafile aur bhi manzil ki taraf aate hain tum sar-e-raah dabaao na abhi khaak mein aag shukr hai us ki tamannaa hui puuri yaarab tere divaane ki muddat se rahi taak mein aag chashm-e-fitrat se Tapaktaa hai mohabbat kaa jalaal phail jaae na kahin aalam-e-idraak mein aag"
daaman-e-husn mein har ashk-e-tamannaa rakh do — Fitrat Ansari
"daaman-e-husn mein har ashk-e-tamannaa rakh do diin ki raah mein hangaama-e-duniyaa rakh do zulm ke saamne ikhlaas kaa parda rakh do nok-e-har-khaar pe barg-e-gul-e-raanaa rakh do apni taarikh ke auraaq ulaTnaa hain agar gulshan-e-aish pe taptaa huaa sahraa rakh do jis se vaabasta rahe Dubne vaale ki umiid ek tinkaa hi sahi tum lab-e-dariyaa rakh do tum jo chaaho ki mire lab bhi na khulne paaein mere aage miri taqdir kaa chehra rakh do roz-e-raushan ki tarah hongi munavvar raatein chand shoale jo sar-e-bazm-e-tamannaa rakh do ek aavaaz si aati hai haram se shaayad mai-kade vaalo zaraa saaghar-o-minaa rakh do"
دامن حسن میں ہر اشک تمنا رکھ دو دین کی راہ میں ہنگامۂ دنیا رکھ دو ظلم کے سامنے اخلاص کا پردہ رکھ دو نوک ہر خار پہ برگ گل رعنا رکھ دو اپنی تاریخ کے اوراق الٹنا ہیں اگر گلشن عیش پہ تپتا ہوا صحرا رکھ دو جس سے وابستہ رہے ڈوبنے والے کی امید ایک تنکا ہی سہی تم لب دریا رکھ دو تم جو چاہو کہ مرے لب بھی نہ کھلنے پائیں میرے آگے مری تقدیر کا چہرہ رکھ دو روز روشن کی طرح ہوں گی منور راتیں چند شعلے جو سر بزم تمنا رکھ دو ایک آواز سی آتی ہے حرم سے شاید میکدے والو ذرا ساغر و مینا رکھ دو
दामन-ए-हुस्न में हर अश्क-ए-तमन्ना रख दो दीन की राह में हंगामा-ए-दुनिया रख दो ज़ुल्म के सामने इख़्लास का पर्दा रख दो नोक-ए-हर-ख़ार पे बर्ग-ए-गुल-ए-रा'ना रख दो अपनी तारीख़ के औराक़ उलटना हैं अगर गुलशन-ए-ऐश पे तपता हुआ सहरा रख दो जिस से वाबस्ता रहे डूबने वाले की उमीद एक तिनका ही सही तुम लब-ए-दरिया रख दो तुम जो चाहो कि मिरे लब भी न खुलने पाएँ मेरे आगे मिरी तक़दीर का चेहरा रख दो रोज़-ए-रौशन की तरह होंगी मुनव्वर रातें चंद शो'ले जो सर-ए-बज़्म-ए-तमन्ना रख दो एक आवाज़ सी आती है हरम से शायद मय-कदे वालो ज़रा साग़र-ओ-मीना रख दो

More by Fitrat Ansari
View all →"nae jahaan mein puraani sharaab le aae andheri raat mein ham aaftaab le aae mire yaqin mein gunjaaish-e-dalil nahin javaaz DhunDne vaale kitaab le aae paDe the ek hi aalam mein ahl-e-mai-khaana shikast-e-jaam se ham inqalaab le aae vo kaamyaab-e-mohabbat hain jo tire dar se khud apne aap ko naa-kaamyaab le aae tamaam umr jo chhaayaa rahegaa aankhon mein tumhaari bazm se ham aisaa khvaab le aae yahaan to ek bhi gham-aashnaa nahin apnaa farishte mujh ko kahaan be-naqaab le aae hayaat-e-ishq mein ham toD kar quyud-e-vafaa kisi bhi taur sahi inqalaab le aae vahi safine jo tufaan-shanaas the fitrat sukut-e-shahr mein ik iztiraab le aae"
"nigaah-e-husn ki taasir ban gayaa shaayad khayaal-e-zehn mein zanjir ban gayaa shaayad vo ek naam jo tum ne miTaa diyaa hai abhi jabin-e-vaqt pe tahrir ban gayaa shaayad miri nigaah mein naa-mo'tabar thaa jis kaa vajud vo faasla miri taqdir ban gayaa shaayad khud apnaa chehra bhi ab to nazar nahin aataa har aaina tiri tasvir ban gayaa shaayad rah-e-khulus mein fitrat thi jis ki mustahkam vo sang-e-mil bhi rahgir ban gayaa shaayad"
"intikhaab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin koi aaina tiraa aaj muqaabil bhi nahin kaun se gul ki khabar baad-e-sahar laai hai sehn-e-gulshan mein kahin shor-e-anaadil bhi nahin jaane ab kaun si manzil mein mein arbaab-e-junun duur tak dasht mein aavaaz-e-salaasil bhi nahin tiir aate hain kamin-gaah se meri jaanib meri taqdir mein kyaa jalva-e-qaatil bhi nahin tujh se aur chashm-e-tavajjoh kaa gilaa kyaa maani teraa fitrat tire ikhlaas ke qaabil bhi nahin"
"tasavvur mein jamaal-e-ru-e-taabaan le ke chaltaa huun andheri raah mein sham-e-farozaan le ke chaltaa huun shikasta-dil hujum-e-yaas-o-hirmaan le ke chaltaa huun huzur-e-husn main ye saaz-o-saamaan le ke chaltaa huun unhein shaayad yaqin aa jaae ab meri mohabbat kaa main un ke ru-ba-ru chaak-e-garebaan le ke chaltaa huun tumhaari yaad har ik gaam par mujh ko rulaati hai agar dil mein kabhi jiine kaa armaan le ke chaltaa huun Tapaktaa hai lahu ehsaas ke rangin darichon se main apne dil mein jab yaad-e-shahidaan le ke chaltaa huun use shaayad miri maasumiyat par rahm aa jaae khudaa ke saamne main fard-e-isyaan le ke chaltaa huun mujhe bhi apne ehsaas-e-vafaa ko aazmaanaa hai ba-zoam-e-ishq afkaar-e-pareshaan le ke chaltaa huun miri khuddaar 'fitrat' ki khudaa hi aabru rakkhe khizaan ke daur mein azm-e-bahaaraan le ke chaltaa huun"
"zauq-e-nazar ko jalvaa-e-be-taab le gayaa taabir ke nashaat ko ik khvaab le gayaa mauj-e-subuk-khiraam ki tahrik hi to thaa vo hausla jo mujh ko tah-e-aab le gayaa sar un ki baargaah mein jhuk to gayaa magar dil aabru-e-mimbar-o-mehraab le gayaa naghmaat-e-dil fazaa mein bikharne na paae the taar-e-nafas ko sadma-e-mizraab le gayaa dil irtiqaa-e-zehn kaa haasil to ho gayaa husn-e-yaqin ko aalam-e-asbaab le gayaa hairat-fishaaniyaan mujhe de to gayaa magar aaina zindagi ki tab-o-taab le gayaa ham ne mahal banaae the kuchh regzaar par jin ko bahaa ke vaqt kaa sailaab le gayaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"