SHAWORDS

dhuul na bannaa aainon par baar na honaa — Gulzar Vafa Chaudhari

"dhuul na bannaa aainon par baar na honaa binaai ke raste ki divaar na honaa shahron kaa virsa hain jalte-bujhte manzar rahnaa lekin ham-rang-e-baazaar na honaa zahr-havaaein purvaa rangon mein chalti hain saada kaliyo un ke liye gulnaar na honaa milne kaa khilne kaa mausam duur nahin hai nakhl-e-maatam ai mere ashjaar na honaa main ne chaman ki khaatir kaun se dukh jhele hain shaakh-e-bahaaraan mere liye gul-baar na honaa"
Urdu

دھول نہ بننا آئینوں پر بار نہ ہونا بینائی کے رستے کی دیوار نہ ہونا شہروں کا ورثہ ہیں جلتے بجھتے منظر رہنا لیکن ہم رنگ بازار نہ ہونا زہر ہوائیں پروا رنگوں میں چلتی ہیں سادہ کلیو ان کے لئے گلنار نہ ہونا ملنے کا کھلنے کا موسم دور نہیں ہے نخل ماتم اے میرے اشجار نہ ہونا میں نے چمن کی خاطر کون سے دکھ جھیلے ہیں شاخ بہاراں میرے لئے گل بار نہ ہونا

Hindi

धूल न बनना आईनों पर बार न होना बीनाई के रस्ते की दीवार न होना शहरों का विर्सा हैं जलते-बुझते मंज़र रहना लेकिन हम-रंग-ए-बाज़ार न होना ज़हर-हवाएँ पुर्वा रंगों में चलती हैं सादा कलियो उन के लिए गुलनार न होना मिलने का खिलने का मौसम दूर नहीं है नख़्ल-ए-मातम ऐ मेरे अश्जार न होना मैं ने चमन की ख़ातिर कौन से दुख झेले हैं शाख़-ए-बहाराँ मेरे लिए गुल-बार न होना

dhuul na banñā ā.īnoñ par baar na honā
G
Gulzar Vafa Chaudhari
Gulzar Vafa Chaudhari
poet9 quotes

More by Gulzar Vafa Chaudhari

View all →
Quote
"uDnaa to bahut uDnaa aflaak pe jaa rahnaa ham ne kahaan sikhaa hai zer-e-kaf-e-paa rahnaa aankhon ko khulaa rakhnaa kis ke liye aasaan hai yaan kis ko gavaaraa hai aankhon kaa khulaa rahnaa jo mauja-e-baad aayaa zardi kaa payambar thaa eajaaz se kyaa kam hai peDon kaa haraa rahnaa baaghon mein khiraamaan thi shahron mein pareshaan hai khushbu ko na raas aayaa paaband-e-havaa rahnaa main zaat ke sahraa mein taa-umr na bhaTkungaa ai shahr ke darvaazo mere liye vaa rahnaa"
G
Gulzar Vafa Chaudhari
Quote
"ek main huun aur laakh masaail khudaa gavaah dast-e-talab hai kaasa-e-saail khudaa gavaah aankhein khulin to aur hi manzar thaa ru-ba-ru khud main thaa apni raah mein haail khudaa gavaah ye kaaenaat raqs mein hai ik mire liye pahne hue nujum ki paael khudaa gavaah dil mein mohabbatein hain to aankhon mein hairatein mere faqat yahi hain vasaael khudaa gavaah munsif tiri taraf sahi par khun-e-be-gunaah degaa tire khilaaf dalaael khudaa gavaah din-raat ik junun-e-talaash-e-maaash hai ab koi munharif hai na qaail khudaa gavaah"
G
Gulzar Vafa Chaudhari
Quote
"taare hamaari khaak mein bikhre paDe rahe ye kyaa ki tere nain falak se laDe rahe ham the safar-nasib so manzil se jaa mile jo sang-e-mil the vo zamin mein gaDe rahe logon ne iinT iinT par qabza jamaa liyaa ham dam-ba-khud makaan se baahar khaDe rahe ham ko to jhulnaa hi thaa insaaf ke liye ye kiil kyuun salib mein naahaq jaDe rahe raa'naai apni chhintaa hai mausamon se ab maazi mein jis darakht ke patte jhaDe rahe jin ki jaDein zamin ke andar thiin duur tak vo peD aankhiyon ke muqaabil aDe rahe"
G
Gulzar Vafa Chaudhari
Quote
"tez havaao ab Darnaa ghabraanaa kaisaa chalnaa hi Thahraa to shor machaanaa kaisaa aangan aangan mein viraani naach rahi hai saaz uThaanaa kaisaa naghma gaanaa kaisaa shaam Dhale se aasebon kaa Dankaa baaje puran-maashi mein bhi baahar aanaa kaisaa ai sayyaaho ye to daldal ki vaadi hai is mein utre ho to jaan bachaanaa kaisaa saare mausam ek tasalsul mein shaamil hain teraa aanaa kaisaa teraa jaanaa kaisaa un ki khaatir ham ko suraj hansnaa hogaa yakh shahron ko aahon se pighlaanaa kaisaa"
G
Gulzar Vafa Chaudhari

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb