"girte shish-mahal dekhoge aaj nahin to kal dekhoge is duniyaa mein nayaa tamaashaa har saaat har pal dekhoge kis kis turbat par rooge kis kis kaa maqtal dekhoge der hai pahli buund ki saari phir har-su jal-thal dekhoge har har zakhm-e-shajar se 'khaavar' phuTti ik konpal dekhoge"
dil-e-khud-aashnaa sohaan-e-zindagi hogaa — Khawar Rizvi
"dil-e-khud-aashnaa sohaan-e-zindagi hogaa ye sang-e-mil hai kal sang-e-raah bhi hogaa har ek moD pe pichhe palaT ke dekhtaa huun vo gard-e-rah sahi hamraah to koi hogaa hamein hamaari vafaa dasht dasht DhunDegi tumhaare husn kaa charchaa gali gali hogaa vo main nahin miri aashuftagi-e-dil hogi vo tu nahin tiraa andaaz-e-dilbari hogaa bahaar-e-jalva-e-gul to nazar mein thi kal bhi tahi thaa dast-e-talab aaj bhi tahi hogaa sunaa hai vaqt kabhi ek saa nahin rahtaa qayaam fasl-e-khizaan kaa bhi aarzi hogaa tumhaari shab hai ziyaa-baar maah-o-anjum se hamaari subh kaa manzar bhi didani hogaa ye rang-e-bazm ghaDi do ghaDi hai phir 'khaavar' kahin pe hogaa koi aur kahin koi hogaa"
دل خود آشنا سوہان زندگی ہوگا یہ سنگ میل ہے کل سنگ راہ بھی ہوگا ہر ایک موڑ پہ پیچھے پلٹ کے دیکھتا ہوں وہ گرد رہ سہی ہم راہ تو کوئی ہوگا ہمیں ہماری وفا دشت دشت ڈھونڈے گی تمہارے حسن کا چرچا گلی گلی ہوگا وہ میں نہیں مری آشفتگیٔ دل ہوگی وہ تو نہیں ترا انداز دلبری ہوگا بہار جلوۂ گل تو نظر میں تھی کل بھی تہی تھا دست طلب آج بھی تہی ہوگا سنا ہے وقت کبھی ایک سا نہیں رہتا قیام فصل خزاں کا بھی عارضی ہوگا تمہاری شب ہے ضیا بار ماہ و انجم سے ہماری صبح کا منظر بھی دیدنی ہوگا یہ رنگ بزم گھڑی دو گھڑی ہے پھر خاورؔ کہیں پہ ہوگا کوئی اور کہیں کوئی ہوگا
दिल-ए-ख़ुद-आश्ना सोहान-ए-ज़िंदगी होगा ये संग-ए-मील है कल संग-ए-राह भी होगा हर एक मोड़ पे पीछे पलट के देखता हूँ वो गर्द-ए-रह सही हमराह तो कोई होगा हमें हमारी वफ़ा दश्त दश्त ढूँडेगी तुम्हारे हुस्न का चर्चा गली गली होगा वो मैं नहीं मिरी आशुफ़्तगी-ए-दिल होगी वो तू नहीं तिरा अंदाज़-ए-दिलबरी होगा बहार-ए-जल्वा-ए-गुल तो नज़र में थी कल भी तही था दस्त-ए-तलब आज भी तही होगा सुना है वक़्त कभी एक सा नहीं रहता क़याम फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ का भी आरज़ी होगा तुम्हारी शब है ज़िया-बार माह-ओ-अंजुम से हमारी सुब्ह का मंज़र भी दीदनी होगा ये रंग-ए-बज़्म घड़ी दो घड़ी है फिर 'ख़ावर' कहीं पे होगा कोई और कहीं कोई होगा

More by Khawar Rizvi
View all →"ik khalish ik karb pinhaan meri khaakistar mein hai meraa dushman haadisa ye hai ki mere ghar mein hai kaun kis ke ashk ponchhe kaun kis kaa dukh baTaae jo hai vo mahrumiyon ke gumbad-e-be-dar mein hai zarb-e-tesha chaahiye aur dast-e-aazar chaahiye ik jahaan-e-khaal-o-khad khvaabida har patthar mein hai is zamaane mein miri saada-dili meraa khulus ek manzar hai magar be-rabt pas-manzar mein hai bech di 'khaavar' yahaan yaaron ne naamus-e-vafaa tu bhi pyaare kis bhulaave mein hai kis chakkar mein hai"
"baDheinge aur bhi yuun silsile hijaabon ke kar apni baat havaale na de kitaabon ke main shahr-e-gul kaa musaafir mare sharik-e-safar saubaton ki ye raatein ye din azaabon ke tiri nazar se ibaarat the tere saath gae vo phuul mere khayaalon ke rang khvaabon ke tamaam umr phir ik karb ki chitaa mein jale ham ek pal jo ruke shahar mein gulaabon ke haTaayaa rang kaa paudaa to zakhm zakhm thaa phuul chaman chaman the vahi silsile saraabon ke abhi vo habs hai 'khaavar' ki dam ulajhtaa hai abhi khule rakho darvaaze apne khvaabon ke"
"khvaabon ki tilsmaati guphaaon se nikal ke dekho kabhi viraana-e-jaan aankh ko mal ke har lamha hai ik aaina-e-umr-e-guzishta peshaani-e-imroz pe bhi zakhm hain kal ke tai ho na sakaa marhala-e-dasht-e-tamannaa divaar bani paanv ki zanjir pighal ke ik roz to ye dil ki taDap lab pe bhi aae ik roz to ye saaghar-e-labrez bhi chhalke dekhaa jo kabhi dil ke dariche mein simaT kar sadiyaan milein simTi hui aaghosh mein pal ke haijaan se hain gunji hui dhyaan ki galiyaan dil mein utar aae hain nigaahon ke dhundalke 'khaavar' abhi kuchh yaad ki shamein hain farozaan raushan hain dar-o-baam abhi meri ghazal ke"
"yuun tu har chhab vo niraali vo fusun-saaz ki bas haae vo ek nigaah-e-ghalat-andaaz ki bas dekhne vaalo zaraa rang kaa parda to haTaao sina-e-gul pe hai zakhmon kaa vo andaaz ki bas dil ke daaghon ko chhupaayaa to ubhar aae aur raazdaari hi ne yuun khol diye raaz ki bas ham ne bakhshi hai zamaane ko nazar aur hamein yuun zamaane ne kiyaa hai nazar-andaaz ki bas ranj-o-gham ishq-o-junun dard-o-khalish soz-o-firaaq aise aise mile 'khaavar' hamein dam-saaz ki bas"
"baa-hama yurish-e-aalaam-o-sitam zinda huun main mushaf-e-vaqt kaa ik baab-e-darakhshanda huun main mere siine mein dhaDaktaa hai dil-e-asr-e-ravaan is zamaane kaa mufassir huun numaainda huun main main ki haq thaa huaa har daur mein maslub magar kal bhi paainda thaa main aaj bhi paainda huun main tu tamannaai hai ik jannat-e-mauuda kaa apni gum ki hui firdaus kaa joinda huun main mere zakhmon se huvaidaa hai hinaa-bandi-e-gul ik naved-e-chaman-aaraai-e-aainda huun main madh-khvaan-e-shab-e-taarik mujhe kyaa samjhe subh-e-gul-rez ke naghmon kaa navisanda huun main ye jahaan kaise faraamosh karegaa mujh ko is ke aflaak kaa ik 'khaavar'-e-taabinda huun main"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"