Quote
"dil-e-tabaah bhi hai aalam-e-kharaab bhi hai nigaah-e-dost yahi vaqt-e-inqalaab bhi hai do-aatisha sar-e-rukhsaar ho gae aansu gulon pe qatra-e-shabnam nahin sharaab bhi hai nigaah-e-shauq larazte hain taar chilman ke talaash kar inhi kirnon mein aaftaab bhi hai kahaan se dekhiye mauj-e-surur uThti hai nigaah-e-naaz bhi hai saaghar-e-sharaab bhi hai khilaaf-e-ahl-e-safina hi naakhudaa se nahin jabin-e-bahr pe larzaan khat-e-itaab bhi hai havaa-e-dahr ne phir daamanon pe Daal diyaa vo gard jis mein nihaan bu-e-inqalaab bhi hai ai jastgaan-e-rah-e-gham chale chalo aage koi maqaam ba-naam-e-bahisht-e-khvaab bhi hai yahi vo 'maani' hai salmaa-e-gonDvaana tiraa jo faiz-e-rukh se tire saahib-e-kitaab bhi hai"
