SHAWORDS

dil-o-dimaagh ko taskin-e-iztiraab to de — Ghulam Dastageer Sharar

"dil-o-dimaagh ko taskin-e-iztiraab to de mire savaalon kaa aakhir koi javaab to de pighal na jaae kahin aanch se tu qurbat ki baDhaa ke faasle kuchh rang-e-ijtinaab to de tasavvuraat mein raushan ho chaand saa chehra shab-e-siyaah ki aankhon mein nur-e-khvaab to de sajaa banaa huaa chehra sharaarati aankhein jagaa rahi hain ye fitne inhein hijaab to de shumaar kartaa hai ghairon ke hi gunaahon ko kabhi tu apni khataaon kaa bhi hisaab to de hamesha khaar nigaahon se dekhtaa hai mujhe kabhi zabaan se khilte hue gulaab to de har ik varaq pe raqam nafratein milin ham ko kabhi zabaan se khilte hue gulaab to de shuaa-e-ilm se raushan 'sharar' hai ye duniyaa zavaal jis ko na ho aisaa aaftaab to de"
Urdu

دل و دماغ کو تسکین اضطراب تو دے مرے سوالوں کا آخر کوئی جواب تو دے پگھل نہ جائے کہیں آنچ سے تو قربت کی بڑھا کے فاصلے کچھ رنگ اجتناب تو دے تصورات میں روشن ہو چاند سا چہرہ شب سیاہ کی آنکھوں میں نور خواب تو دے سجا بنا ہوا چہرہ شرارتی آنکھیں جگا رہی ہیں یہ فتنے انہیں حجاب تو دے شمار کرتا ہے غیروں کے ہی گناہوں کو کبھی تو اپنی خطاؤں کا بھی حساب تو دے ہمیشہ خار نگاہوں سے دیکھتا ہے مجھے کبھی زبان سے کھلتے ہوئے گلاب تو دے ہر اک ورق پہ رقم نفرتیں ملیں ہم کو کبھی زبان سے کھلتے ہوئے گلاب تو دے شعاع علم سے روشن شررؔ ہے یہ دنیا زوال جس کو نہ ہو ایسا آفتاب تو دے

Hindi

दिल-ओ-दिमाग़ को तस्कीन-ए-इज़्तिराब तो दे मिरे सवालों का आख़िर कोई जवाब तो दे पिघल न जाए कहीं आँच से तू क़ुर्बत की बढ़ा के फ़ासले कुछ रंग-ए-इज्तिनाब तो दे तसव्वुरात में रौशन हो चाँद सा चेहरा शब-ए-सियाह की आँखों में नूर-ए-ख़्वाब तो दे सजा बना हुआ चेहरा शरारती आँखें जगा रही हैं ये फ़ित्ने इन्हें हिजाब तो दे शुमार करता है ग़ैरों के ही गुनाहों को कभी तू अपनी ख़ताओं का भी हिसाब तो दे हमेशा ख़ार निगाहों से देखता है मुझे कभी ज़बान से खिलते हुए गुलाब तो दे हर इक वर्क़ पे रक़म नफ़रतें मिलीं हम को कभी ज़बान से खिलते हुए गुलाब तो दे शुआ'-ए-इल्म से रौशन 'शरर' है ये दुनिया ज़वाल जिस को न हो ऐसा आफ़्ताब तो दे

dil-o-dimāġh ko taskīn-e-iztirāb to de
G
Ghulam Dastageer Sharar
Ghulam Dastageer Sharar
poet12 quotes

More by Ghulam Dastageer Sharar

View all →
Quote
"nizaam-e-jabr ki zulmat pe sang-baari hai guzar hi jaaegi maanaa ki raat bhaari hai banaao shauq se apne makaan shishe ke mukhaalifon ko magar shauq-e-sang-baari hai gham-e-zamaana gham-e-zindagi gham-e-jaanaan sulag rahe hain khayaalaat jang jaari hai har ek shai pe tasallut hai zar-paraston kaa gharib logon ki qismat mein ashk-baari hai ye qaatilon ki samajh mein kabhi nahin aaya hamaari aaj hai to kal tumhaari baari hai sunaa hai apne shabistaan se chal paDi hai sabaa sahar kab aaegi har dil mein be-qaraari hai jo un ko dekhaa to royaa bhi muskuraayaa bhi 'sharar' ye jazba mohabbat kaa iztiraari hai"
G
Ghulam Dastageer Sharar
Quote
"tumhaare mai-kade mein jab qadam rakh deinge divaane suraahi kaanp jaaegi laraz jaaeinge paimaane vo shama jis ko ehsaas-e-mohabbat tak nahin hotaa khudaa jaane usi par kyon mare jaate hain parvaane tire muhtaaj koi aur honge ham nahin saaqi jahaan ham hain vahaan khud khinch ke aa jaate hain paimaane mire do chaar tinkon ne rakhi hai laaj gulshan ki vagarna barq jaati kis ke aage haath phailaane agar khaamosh rahte hain vafaa badnaam hoti hai jo kahte hain to apne raaz ho jaate hain begaane bure pahchaane jaate hain phalon ke saath hi aksar chaman mein hon na gar kaanTe gulon ko kaun pahchaane ye duniyaa chand roza hai sharar kuchh kaam hi kar lo ye din aakhir guzar jaaeinge rah jaaeinge afsaane"
G
Ghulam Dastageer Sharar
Quote
"duniyaa mein rang-o-nur ki koi kami na thi bas ek shahr-e-dil thaa jahaan raushni na thi kyaa kah gae the tum ye tumhein hosh bhi na thaa chup rah gae the ham to koi baat hi na thi bichhDe the bhiiD mein vo hamesha ke ham-safar phir kuchh khabar kisi ki kisi ko mili na thi kis ne ye shahr-e-amn mein neze sajaa diye pahle to yuun saron ki numaaish lagi na thi har daur ahl-e-daur ke chehron kaa aaina jab ham bure na the to ye duniyaa buri na thi bas aa gayaa thaa kuuch kaa hangaam-e-naa-gahaan mujh ko to sochne ki bhi mohlat mili na thi pahle bhi yuun jale the 'sharar' apne aashiyaan sayyaad ke makaan pe bijli giri na thi"
G
Ghulam Dastageer Sharar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud