SHAWORDS

donon ke jo darmiyaan khalaa hai — Ahmad Ata

HomeAhmad AtaGhazal
"donon ke jo darmiyaan khalaa hai ye asl mein koi tisraa hai tujh bin ye miraa vajud kyaa hai ik peD hai aur khokhlaa hai ik chaap sunaai de rahi hai darvaaze se vo palaT gayaa hai vo ek din intizaar kaa din phir zindagi bhar vo din rahaa hai taabir bataai jaa chuki hai ab aankh ko khvaab dekhnaa hai bas dhund nigal chuki hai ye raat nazzaara tamaam ho chukaa hai"
Urdu

دونوں کے جو درمیاں خلا ہے یہ اصل میں کوئی تیسرا ہے تجھ بن یہ مرا وجود کیا ہے اک پیڑ ہے اور کھوکھلا ہے اک چاپ سنائی دے رہی ہے دروازے سے وہ پلٹ گیا ہے وہ ایک دن انتظار کا دن پھر زندگی بھر وہ دن رہا ہے تعبیر بتائی جا چکی ہے اب آنکھ کو خواب دیکھنا ہے بس دھند نگل چکی ہے یہ رات نظارہ تمام ہو چکا ہے

Hindi

दोनों के जो दरमियाँ ख़ला है ये अस्ल में कोई तीसरा है तुझ बिन ये मिरा वजूद क्या है इक पेड़ है और खोखला है इक चाप सुनाई दे रही है दरवाज़े से वो पलट गया है वो एक दिन इंतिज़ार का दिन फिर ज़िंदगी भर वो दिन रहा है ताबीर बताई जा चुकी है अब आँख को ख़्वाब देखना है बस धुँद निगल चुकी है ये रात नज़्ज़ारा तमाम हो चुका है

donoñ ke jo darmiyāñ ḳhalā hai
Ahmad Ata
Ahmad Ata
Ahmad Ata
poet51 quotes

More by Ahmad Ata

View all →
Quote
"hamaaraa ishq salaamat hai yaani ham abhi hain vahi shadid aziyyat hai yaani ham abhi hain usi puraani kahaani mein saans lete hain vahi puraani mohabbat hai yaani ham abhi hain na jaane kab se dar-e-daastaan pe baiThe hain aur intizaar ki himmat hai yaani ham abhi hain talab ke karb mein ik marg ke duaa-go the talab mein vaisi hi shiddat hai yaani ham abhi hain kasi ke naam pe ham dosti nibhaate the aur ab bhi vaisi hi shohrat hai yaani ham abhi hain talab baDhaati chali jaa rahi hai apni havas so qadre khaam qanaaat hai yaani ham abhi hain kalaam-e-'mir' ke sadqe mein sher hote hain jo bait hai so qayaamat hai yaani ham abhi hain ajab ye sher hain apne ki jin mein ham bhi nahin bas ek gham ki sharaarat hai yaani ham abhi hain ye ishq peshgi daar-o-rasan ke hangaame ye rang zinda salaamat hai yaani ham abhi hain amir-e-shahr hai bechain shaikh khauf-zada abhi talak ye adaavat hai yaani ham abhi hain na puuri hai na adhuri ye daastaan-e-alam koi suni si hikaayat hai yaani ham abhi hain"
Ahmad AtaAhmad Ata
Quote
"safha-e-zist jab paDhungaa tumhein der tak chumtaa rahungaa tumhein tum bhale dekhte raho sab ko main chhupaa kar kahin rakhungaa tumhein tum bane ho bane raho khushbu main kisi roz le uDungaa tumhein raag ho, dil ki dhaDkanon kaa raag saamne baiTh kar sunungaa tumhein dekhnaa dekhte hue mujh ko kis tarah aankh mein bharungaa tumhein jaao chhupte phiro gurez karo ek din main bhi dekh lungaa tumhein tum bahut duur jaa chuke hoge main kahaan DhunDhtaa phirungaa tumhein ik din ahmad-'ataa' bhi khvaab huaa kah gayaa khvaab mein milungaa tumhein"
Ahmad AtaAhmad Ata
Quote
"ik ashk bahaa hogaa ik sher huaa hogaa chup-chaap paDe hain ham dil raakh huaa hogaa ik khvaab sahaaraa thaa vo TuuT gayaa hogaa dil ne to un aankhon par ilzaam dharaa hogaa hai ishq to hai ham-kesh dil mein koi thaa hogaa kyaa nuur thaa paani mein aankhon se bahaa hogaa phir yaar nahin aae phir jaam dharaa hogaa ik shoala fuzun ho kar jaltaa bhi rahaa hogaa shab khvaab mein aayaa vo kyaa kyaa na huaa hogaa taasir kahaan sach mein kuchh jhuuT kahaa hogaa is dil ke kharaabe mein ik shahr basaa hogaa muTThi mein hai dil kaise raste mein milaa hogaa kahne ki nahin baatein baaton se bhi kyaa hogaa ik khvaab-e-tamannaa ne barbaad kiyaa hogaa vo sokhtaa-sar thaa kaun hogaa to 'ataa' hogaa"
Ahmad AtaAhmad Ata

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar