SHAWORDS

gham hamaaraa gulaab ho jaae — Dinesh Thakur

HomeDinesh ThakurGhazal
"gham hamaaraa gulaab ho jaae zindagi laa-javaab ho jaae yaad ne harf harf gheraa hai gar likhun to kitaab ho jaae dushmanon ki taraf bhi jaaeinge doston se hisaab ho jaae imtihaan le na be-qaraari kaa mere khat kaa javaab ho jaae aap naahaq khudaa se Darte hain shaikh saahab sharaab ho jaae tere kuche mein aa ke lagtaa hai jaise muflis navaab ho jaae khud-parasti anaa hi kaafi hai rukh zaraa be-naqaab ho jaae main ne dekhaa ki tu hai pahlu mein ab mujassam ye khvaab ho jaae"
Urdu

غم ہمارا گلاب ہو جائے زندگی لا جواب ہو جائے یاد نے حرف حرف گھیرا ہے گر لکھوں تو کتاب ہو جائے دشمنوں کی طرف بھی جائیں گے دوستوں سے حساب ہو جائے امتحاں لے نہ بے قراری کا میرے خط کا جواب ہو جائے آپ ناحق خدا سے ڈرتے ہیں شیخ صاحب شراب ہو جائے تیرے کوچہ میں آ کے لگتا ہے جیسے مفلس نواب ہو جائے خود پرستی انا ہی کافی ہے رخ ذرا بے نقاب ہو جائے میں نے دیکھا کہ تو ہے پہلو میں اب مجسم یہ خواب ہو جائے

Hindi

ग़म हमारा गुलाब हो जाए ज़िंदगी ला-जवाब हो जाए याद ने हर्फ़ हर्फ़ घेरा है गर लिखूँ तो किताब हो जाए दुश्मनों की तरफ़ भी जाएँगे दोस्तों से हिसाब हो जाए इम्तिहाँ ले न बे-क़रारी का मेरे ख़त का जवाब हो जाए आप नाहक़ ख़ुदा से डरते हैं शैख़ साहब शराब हो जाए तेरे कूचे में आ के लगता है जैसे मुफ़्लिस नवाब हो जाए ख़ुद-परस्ती अना ही काफ़ी है रुख़ ज़रा बे-नक़ाब हो जाए मैं ने देखा कि तू है पहलू में अब मुजस्सम ये ख़्वाब हो जाए

ġham hamārā gulāb ho jaa.e
D
Dinesh Thakur
Dinesh Thakur
poet5 quotes

More by Dinesh Thakur

View all →
Quote
"kabhi aansu kabhi khvaabon ke dhaare TuuT jaate hain zaraa si aankh mein kyaa kyaa nazaare TuuT jaate hain havaa bhi aaj-kal rakhti hai tevar pattharon jaise yahaan to soch se pahle ishaare TuuT jaate hain hamein tanhaaiyon mein yuun sadaaein kaun detaa hai samundar kaanp uThtaa hai kinaare TuuT jaate hain pas-e-divaar chhup jaate hain jo tufaan se Dar kar unhin ki zindagi mein sab sahaare TuuT jaate hain jabin par kaun si tahrir likkhi hai khudaa jaane hamaare paas aa kar kyuun sitaare TuuT jaate hain"
D
Dinesh Thakur

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar