"zindagi tujh se bichhaD kar main jiyaa ek baras zahr tanhaai kaa hans hans ke piyaa ek baras ik andhere kaa bhanvar thaa miraa maahaul magar kaam ashkon se charaaghon kaa liyaa ek baras kisi aandhi kisi tufaan se bujhaae na bujhaa dil mein jaltaa hi rahaa gham kaa diyaa ek baras ek lamha bhi gavaaraa na thaa furqat kaa 'sarosh' ye bhi kyaa kam hai tire gham mein jiyaa ek baras"
ghar ko ab dasht-e-karbalaa likkhun — Rifat Sarosh
"ghar ko ab dasht-e-karbalaa likkhun aaj khud apnaa marsiya likkhun saada kaaghaz pe khuun ke aansu ab use khat mein aur kyaa likkhun barg-e-gul par sabaa ke daaman par naam teraa hi jaa-ba-jaa likkhun zikr aae jo teri manzil kaa chaand-suraj ko naqsh-e-paa likkhun ho tiraa hi jamaal pesh-e-nazar jab qalam se khudaa khudaa likkhun main to zinda huun mar chukaa hai vo apne qaatil kaa marsiya likhun ai 'sarosh' apni zindagi ko main kaun se jurm ki sazaa likkhun"
گھر کو اب دشت کربلا لکھوں آج خود اپنا مرثیہ لکھوں سادہ کاغذ پہ خون کے آنسو اب اسے خط میں اور کیا لکھوں برگ گل پر صبا کے دامن پر نام تیرا ہی جا بجا لکھوں ذکر آئے جو تیری منزل کا چاند سورج کو نقش پا لکھوں ہو ترا ہی جمال پیش نظر جب قلم سے خدا خدا لکھوں میں تو زندہ ہوں مر چکا ہے وہ اپنے قاتل کا مرثیہ لکھوں اے سروشؔ اپنی زندگی کو میں کون سے جرم کی سزا لکھوں
घर को अब दश्त-ए-कर्बला लिक्खूँ आज ख़ुद अपना मर्सिया लिक्खूँ सादा काग़ज़ पे ख़ून के आँसू अब उसे ख़त में और क्या लिक्खूँ बर्ग-ए-गुल पर सबा के दामन पर नाम तेरा ही जा-ब-जा लिक्खूँ ज़िक्र आए जो तेरी मंज़िल का चाँद-सूरज को नक़्श-ए-पा लिक्खूँ हो तिरा ही जमाल पेश-ए-नज़र जब क़लम से ख़ुदा ख़ुदा लिक्खूँ मैं तो ज़िंदा हूँ मर चुका है वो अपने क़ातिल का मर्सिया लिखूँ ऐ 'सरोश' अपनी ज़िंदगी को मैं कौन से जुर्म की सज़ा लिक्खूँ

More by Rifat Sarosh
View all →"na koi dost na dushman ajiib duniyaa hai ye zindagi hai ki tanhaaiyon kaa sahraa hai badalte rahte hain har moD par safar ke rafiq gham-e-hayaat magar saath saath chaltaa hai ye shahr-e-dard hai logon sambhal sambhal ke chalo har ek zarre mein aabaad dil ki duniyaa hai baanegaa ye nayaa aasmaan-e-fikr-o-nazar ghubaar-e-raah jo paamaal ho ke uTThaa hai jo dekhiye to bagula hai reg-e-aavaara jo sochiye to yahi aabru-e-sahraa hai kuchh aaj rang hai mailaa fazaa ke aanchal kaa zarur aadam-e-khaaki idhar se guzraa hai 'sarosh' vaadi-e-ghurbat se be-khabar guzro tumhaare saath mohabbat kaa narm saaya hai"
"ek be-rang se ghubaar mein huun teri aavaaz ke hisaar mein huun be-khizaan hai tasavvur-e-hasti main abhi aalam-e-bahaar mein huun meraa har feal mujh se poshida jaane main kis ke ikhtiyaar mein huun abhi toDo na ye tilism-e-vafaa main abhi pyaar ke khumaar mein huun zindagi tujh se kuchh nahin shikva apne qaatil ke intizaar mein huun"
"chaand viraan hai sadiyon se mire dil ki tarah zindagi gham hai khalaa mein miri manzil ki tarah kurra-e-arz hai ik markaz-e-hangaama-e-shauq bahr-e-be-aab mein tahzib ke saahil ki tarah zarra-e-khaak se hai shoala-e-jauhar ki numud jis ne suraj ko bhi dekhaa hai muqaabil ki tarah kal ke changez-o-halaaku hain pas-e-parda-e-khaak surkh-ru the jo kabhi khanjar-e-qaatil ki tarah mere qadmon ke nishaan chaand pe rakhshanda hain aap aa jaaiye aavaara-e-manzil ki tarah girah-e-shaam-o-sahar ahl-e-khirad se na khuli zindagi aaj bhi hai uqda-e-mushkil ki tarah"
"phir fikr-e-sukhan main kar rahaa huun aflaak se main guzar rahaa huun lafzon ke khilaa rahaa huun ghunche zulmat mein sitaare bhar rahaa huun ye shams-o-qamar hain dekhe-bhaale in sab kaa main ham-safar rahaa huun miTTi se janam janam kaa rishta dharti kaa singaar kar rahaa huun jannat miri fikr ki hai mearaaj dozakh se to main guzar rahaa huun duniyaa ke qaside main ne likhe bas apnaa hi nauhagar rahaa huun sab ki hai khabar 'sarosh' lekin main khud se hi be-khabar rahaa huun"
"dibaacha-e-kitaab-e-vafaa hai tamaam umr ik lamha-e-shuur-e-fanaa hai tamaam umr mahrumiyon ne saath diyaa hai tamaam umr ik dard hai ki dil mein rahaa hai tamaam umr kyuun mere lab pe aai gham-e-aagahi ki baat gustaakhi-e-khirad ki sazaa hai tamaam umr yaad-e-khudaa mein ji na lagaa hai ye aur baat khauf-e-khudaa to dil mein rahaa hai tamaam umr aa khalvat-e-'sarosh' mein ai marg-e-naa-gahaan teraa hi intizaar kiyaa hai tamaam umr"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"