"dusron ko hamaari sazaaein na de chaandni raat ko bad-duaaein na de phuul se 'aashiqi kaa hunar siikh le titliyaan khud rukeingi sadaaein na de sab gunaahon kaa iqraar karne lagein is qadar khub-surat sazaaein na de main darakhton ki saf kaa bhikaari nahin bevafaa mausamon ki qabaaein na de motiyon ko chhupaa sipiyon ki tarah be-vafaaon ko apni vafaaein na de main bikhar jaaungaa aansuon ki tarah is qadar pyaar se bad-duaaein na de"
ghar se nikle agar ham bahak jaaeinge — Bashir Badr
"ghar se nikle agar ham bahak jaaeinge vo gulaabi kaTore chhalak jaaeinge ham ne alfaaz ko aaina kar diyaa chhapne vaale ghazal mein chamak jaaeinge dushmani kaa safar ik qadam do qadam tum bhi thak jaaoge ham bhi thak jaaeinge rafta rafta har ik zakhm bhar jaaegaa sab nishaanaat phulon se Dhak jaaeinge naam paani pe likhne se kyaa faaeda likhte likhte tire haath thak jaaeinge ye parinde bhi kheton ke mazdur hain lauT ke apne ghar shaam tak jaaeinge din mein pariyon ki koi kahaani na sun jangalon mein musaafir bhaTak jaaeinge"
گھر سے نکلے اگر ہم بہک جائیں گے وہ گلابی کٹورے چھلک جائیں گے ہم نے الفاظ کو آئنہ کر دیا چھپنے والے غزل میں چمک جائیں گے دشمنی کا سفر اک قدم دو قدم تم بھی تھک جاؤ گے ہم بھی تھک جائیں گے رفتہ رفتہ ہر اک زخم بھر جائے گا سب نشانات پھولوں سے ڈھک جائیں گے نام پانی پہ لکھنے سے کیا فائدہ لکھتے لکھتے ترے ہاتھ تھک جائیں گے یہ پرندے بھی کھیتوں کے مزدور ہیں لوٹ کے اپنے گھر شام تک جائیں گے دن میں پریوں کی کوئی کہانی نہ سن جنگلوں میں مسافر بھٹک جائیں گے
घर से निकले अगर हम बहक जाएँगे वो गुलाबी कटोरे छलक जाएँगे हम ने अल्फ़ाज़ को आइना कर दिया छपने वाले ग़ज़ल में चमक जाएँगे दुश्मनी का सफ़र इक क़दम दो क़दम तुम भी थक जाओगे हम भी थक जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता हर इक ज़ख़्म भर जाएगा सब निशानात फूलों से ढक जाएँगे नाम पानी पे लिखने से क्या फ़ाएदा लिखते लिखते तिरे हाथ थक जाएँगे ये परिंदे भी खेतों के मज़दूर हैं लौट के अपने घर शाम तक जाएँगे दिन में परियों की कोई कहानी न सुन जंगलों में मुसाफ़िर भटक जाएँगे

More by Bashir Badr
View all →"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
"resham ki chaadar oDhi pagDi baandhi daaman mein darvaaze ki miTTi baandhi rail ki paTri par meri shohrat rakh di bus ke pahiyon se rozi-roTi baandhi palkon se jhilmil jhilmil saavan barsaa mausam ne baadal jaisi saari baandhi is tulsi se un kaa rishta thaa koi aanchal mein us ne sukhi patti baandhi pahle se kuchh saaf nazar aai duniyaa jab se ham ne aankhon par paTTi baandhi"
"faqir aaina hai parda-e-khayaal nahin mire badan pe kisi maslahat ki shaal nahin ye log jiite hain khush-fahmiyon ki qabron mein vatan-parasti ki is se baDi misaal nahin zamin maan bhi hai mahbub bhi hai beTi bhi zamin chhoD ke jaaun koi savaal nahin kahaaniyon kaa muqaddar vahi adhuraa-pan kahin firaaq nahin hai kahin visaal nahin bahut udaas rahi zindagi tumhaare baad khayaal thaa ki tumhein bhulnaa muhaal nahin"
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
"ab dilon ke 'alaava paDhnaa kyaa apnaa kaaghaz qalam se rishta kyaa aansuon se miri hatheli par kaun paDhtaa ki us ne likkhaa kyaa ik mahak jaise raat ki raani kyaa bataaun ki main ne sochaa kyaa jab bhi dekho usi taraf nazrein chaand bhi hai kisi kaa chehra kyaa pankhuDi pankhuDi salaam o payaam phuul bhi hai koi lifaafa kyaa jo na aadaab-e-dushmani jaane dosti kaa use saliqa kyaa tum miri zindagi ho ye sach hai zindagi kaa magar bharosa kyaa"
More on Safar
View all →"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"faqat saje hue divaar-o-dar kaa kyaa matlab jahaan sukun nahin aise ghar kaa kyaa matlab kisi ke kaam na aae to zar kaa kyaa matlab na phal na chhaanv hai aise shajar kaa kyaa matlab na raaston kaa Thikaana na manzilon kaa pataa tire baghair mire is safar kaa kyaa matlab koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab"