"zindagi bhar kaa ronaa gaanaa hai qaid-khaana to qaid-khaana hai chuuk ke naam par bhi chuuk nahin kitnaa zaalim tiraa nishaanaa hai vo zamaana bhi kyaa zamaanaa thaa ye zamaana bhi kyaa zamaanaa hai jaise chaahein sajaa ke pesh karein aap hain aur gharib-khaana hai kyaa ajab shart hai mohabbat ki vaqt-e-rukhsat bhi muskuraanaa hai main huun bimaar tum chale aao ab yahi aakhiri bahaanaa hai aur kuchh din kharaab kar lo yahin phir tumhein lauT kar bhi aanaa hai yaad karnaa hai ek pal tum ko aur phir der tak bhulaanaa hai haan taalluq hamin ne toD diyaa ab sabhi ko yahi bataanaa hai"
go ki thak-haar kar uDaan chali — Kamal Hatvi
"go ki thak-haar kar uDaan chali phir bhi vo su-e-aasmaan chali jo mukammal hui thi pal bhar mein muddaton tak vo daastaan chali dil ki maanein ki aql ki maanein zindagi bhar ye khinch-taan chali jaane vaale palaT ke dekh to le pichhe pichhe hamaari jaan chali maut jaane hui hai paas ki fail zindagi de ke imtihaan chali jang saari tumhin ko le kar thi zehn-o-dil ke jo darmiyaan chali us ne khaamosh kar diyaa mujh ko jis ki khaatir miri zabaan chali"
گو کہ تھک ہار کر اڑان چلی پھر بھی وہ سوئے آسمان چلی جو مکمل ہوئی تھی پل بھر میں مدتوں تک وہ داستان چلی دل کی مانیں کہ عقل کی مانیں زندگی بھر یہ کھینچ تان چلی جانے والے پلٹ کے دیکھ تو لے پیچھے پیچھے ہماری جان چلی موت جانے ہوئی ہے پاس کہ فیل زندگی دے کے امتحان چلی جنگ ساری تمہیں کو لے کر تھی ذہن و دل کے جو درمیان چلی اس نے خاموش کر دیا مجھ کو جس کی خاطر مری زبان چلی
गो कि थक-हार कर उड़ान चली फिर भी वो सू-ए-आसमान चली जो मुकम्मल हुई थी पल भर में मुद्दतों तक वो दास्तान चली दिल की मानें कि अक़्ल की मानें ज़िंदगी भर ये खींच-तान चली जाने वाले पलट के देख तो ले पीछे पीछे हमारी जान चली मौत जाने हुई है पास कि फ़ेल ज़िंदगी दे के इम्तिहान चली जंग सारी तुम्हीं को ले कर थी ज़ेहन-ओ-दिल के जो दरमियान चली उस ने ख़ामोश कर दिया मुझ को जिस की ख़ातिर मिरी ज़बान चली
More by Kamal Hatvi
View all →"ek duniyaa hasin chaahte hain saanp ab aastin chaahte hain rukhsati ke liye nahin uThte haath aaraa machine chaahte hain chhu nahin sakte aasmaan se tujhe chaand taare zamin chaahte hain tum judaa ho ke lauT aaoge ham yahi to yaqin chaahte hain meri khvaahish to sirf aap hi hain aap kyaa behtarin chaahte hain"
"taalluq TuTne kaa gham uThaanaa bhi zaruri thaa zaruri tum bhi the lekin zamaana bhi zaruri thaa teri aankhon ki bechaini miri zanjir thi lekin khaDi thi rail-gaaDi aur jaanaa bhi zaruri thaa mohabbat kaa badal kuchh bhi agar hai to mohabbat hai gae the jis tarah vaise hi aanaa bhi zaruri thaa agar main farz thaa to phir nibhaayaa kyon nahin tum ne agar main qarz thaa to phir chukaanaa bhi zaruri thaa main kab tak raaz rakhtaa dil mein apni bevafaai kaa ye baat aa kar tumhein ik din bataanaa bhi zaruri thaa fazaa mein is tarah uDtaa rahegaa mustaqil kab tak parinde ke liye ik aashiyaanaa bhi zaruri thaa"
"aankhein gaiin surur gayaa lat chali gai tum kyaa gae ki saari zarurat chali gai tum ko pata hai tum se bichhaDne pe kyaa huaa ham ko akelaa chhoD ke himmat chali gai barson jise kamaane mein dil ne lagaa diye aankhon ke raaste se vo daulat chali gai kal ham talaash mein the koi aaina mile ab aaina milaa hai to surat chali gai ab chhoDiye bhi kaisaa munaafa kahaan kaa suud is kaarobaar-e-ishq mein laagat chali gai"
"us ne mujh se ghalat-bayaani ki ye alaamat bhi hai javaani ki sirf aankhein hi nam nahin kartaa aur bhi khubiyaan hain paani ki aap ko niind aa rahi hai kyaa ibtidaa hai abhi kahaani ki haan chhupaa kar to rakh diyaa lekin kaise khushbu miTe nishaani ki luTne mein lage rahe saare dil pe jis jis ne hukmraani ki aansuon ko bhi kar diyaa nilaam aap ne khuub mehrbaani ki"
"kinaare par jab us ne paanv Daale nadi paani se boli jaa nahaa le use kahnaa koi rastaa nikaale baraae naam hi mujh ko manaa le gale se tu jise hans kar lagaa le vo saare shahr ko sar par uThaa le qayaamat tak vahi zinda rahegaa jise dard-e-mohabbat maar Daale ye jo sahraa hai divaanon kaa ghar hai na divaarein na darvaaze na taale nahin hain ishq ki daulat se vaaqif miri barbaadiyon par hansne vaale tasavvur mein tiri aahaT ko sun kar khushi se naach uThte hain ujaale vo paagal hai gulon mein khojtaa hai pasine se tire khushbu banaa le ab us se yuun bichhaDnaa bhi nahin hai use kahnaa nae pahlu nikaale nahin hai ab kisi aandhi ke bas mein mire ghar se tiri khushbu uDaa le"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"