SHAWORDS

ham ko be-kaar liye phirte ho baazaaron mein — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"ham ko be-kaar liye phirte ho baazaaron mein ham na yusuf hain na yusuf ke kharidaaron mein mulk taqsim hue dil to salaamat hain abhi khiDkiyaan ham ne khuli rakkhi hain divaaron mein ik zabaan jis ko ghazal kahiye vo mujrim Thahri shaahzaadi ko chunaa jaaegaa divaaron mein ik haveli mein chahakte hue panchhi ki tarah teri aavaaz abhi qaid hai darbaaron mein dhuup ki aag mein hansne ki adaa kyaa jaanein jangali phuul kahaan aap ke gulzaaron mein dil mein sau gham hain tiri yaad hai tanhaa tanhaa ek ujli si pari phirti hai bimaaron mein izzat-o-shohrat-o-daulat hain havaa ki maanind laal niile hare uDte hue ghubbaaron mein"
Urdu

ہم کو بے کار لئے پھرتے ہو بازاروں میں ہم نہ یوسف ہیں نہ یوسف کے خریداروں میں ملک تقسیم ہوئے دل تو سلامت ہیں ابھی کھڑکیاں ہم نے کھلی رکھی ہیں دیواروں میں اک زباں جس کو غزل کہیے وہ مجرم ٹھہری شاہزادی کو چنا جائے گا دیواروں میں اک حویلی میں چہکتے ہوئے پنچھی کی طرح تیری آواز ابھی قید ہے درباروں میں دھوپ کی آگ میں ہنسنے کی ادا کیا جانیں جنگلی پھول کہاں آپ کے گلزاروں میں دل میں سو غم ہیں تری یاد ہے تنہا تنہا ایک اجلی سی پری پھرتی ہے بیماروں میں عزت و شہرت و دولت ہیں ہوا کی مانند لال نیلے ہرے اڑتے ہوئے غباروں میں

Hindi

हम को बे-कार लिए फिरते हो बाज़ारों में हम न यूसुफ़ हैं न यूसुफ़ के ख़रीदारों में मुल्क तक़्सीम हुए दिल तो सलामत हैं अभी खिड़कियाँ हम ने खुली रक्खी हैं दीवारों में इक ज़बाँ जिस को ग़ज़ल कहिये वो मुजरिम ठहरी शाहज़ादी को चुना जाएगा दीवारों में इक हवेली में चहकते हुए पंछी की तरह तेरी आवाज़ अभी क़ैद है दरबारों में धूप की आग में हँसने की अदा क्या जानें जंगली फूल कहाँ आप के गुलज़ारों में दिल में सौ ग़म हैं तिरी याद है तन्हा तन्हा एक उजली सी परी फिरती है बीमारों में इज़्ज़त-ओ-शोहरत-ओ-दौलत हैं हवा की मानिंद लाल नीले हरे उड़ते हुए ग़ुब्बारों में

ham ko be-kār liye phirte ho bāzāroñ meñ
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer