Quote
"kuchh chamaktaa saa tah-e-aab nazar to aae Dubne ke liye girdaab nazar to aae koi taabir ki surat bhi nikal aaegi niind to aae kabhi khvaab nazar to aae band kamre ki fazaa kis ko bhali lagti hai mere atraaf mein mahtaab nazar to aae do ghaDi Thahrun kahin main bhi zaraa dam le luun raah mein khitta-e-shaadaab nazar to aae main shikasta huun idhar tu bhi shikasta hai udhar jang mein koi zafar-yaab nazar to aae mushkilein gher ke baiThi hain miraa ghar 'aalam' ab zaraa halqa-e-ahbaab nazar to aae"
