"mohlat mile jo marhala-e-rah-guzar ke baa'd leinge safar kaa jaaeza khatm-e-safar ke baa'd phir bhi talab kharaaj ki viraan dayaar se pahlu mein kyaa rahaa tiri pahli nazar ke baa'd har-chand mil gai hai qafas se hamein najaat jaaein kahaan shikastagi-e-baal-o-par ke baa'd patthar baras rahe hain to khul kar baras paDein mumkin hai aur sar na mile mere sar ke baa'd baaqi rahi na dil pe giraan-baari-e-khalish ik bojh Tal gayaa gila-e-mukhtasar ke baa'd sab kuchh to mil gayaa hai jabin-e-niyaaz ko ab aur kyaa milegaa tire sang-e-dar ke baa'd jhankaar beDiyon ki na vo shorish-e-junun galiyaan udaas hain tire shorida-sar ke baa'd ai 'aql-e-naa-rasaa tujhe shaayad khabar nahin kuchh aur bhi hai sarhad-e-fikr-o-nazar ke baa'd ai gardish-e-zamaana ye bakhshish bhi kam nahin puchhe gae jo ahl-e-hunar be-hunar ke baa'd hai tirgi-e-shab abhi mehmaan to kyaa huaa aaegi raushni bhi varud-e-sahar ke baa'd gham ke sivaa kisi ne rifaaqat na ki miri samjhi ye baat main ne magar 'umr bhar ke baa'd qismat mein be-zari hai to 'bahzaad' gham nahin ab aur kyaa havas ho mataa'-e-hunar ke baa'd"
ham-nashin kuchh to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kar de — Bahzad Fatami
"ham-nashin kuchh to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kar de zindagi ko na miri nazr-e-tamaashaa kar de jaam-e-ulfat se mire lab ko shanaasaa kar de vaqf auron ke liye vus’at-e-dariyaa kar de aastaanon ko to be-shak na kami hai lekin sajda-rezi kaa junun tujh ko na rusvaa kar de dekh lein apni bhi aankhon se vo anjaam-e-sitam kor-chashmon ko 'ataa dida-e-binaa kar de rakhiye ehsaan na is chaaragari kaa ham par dil ke zakhmon ko jo kuchh aur bhi gahraa kar de bhiik mein maange ujaalon pe guzaaraa kab tak is se behtar to yahi hai ki andheraa kar de zahr kaa jaam sahi baada-e-rangin na sahi tu agar chaahe to is ko bhi gavaaraa kar de zard chehron pe bhi khil jaae gulistaan-e-shabaab teri duzdida-nigaahi jo ishaara kar de baar hai tujh pe jo zanjir-e-ta'alluq ai dost beDiyaan kaaT ke is qaid ko halkaa kar de garmi-e-fan se hunar-mandi-e-dast-e-fankaar sakht patthar ko agar chaahe to shisha kar de miT hi jaaegi shab-e-gham ki siyaahi 'bahzaad' dil ko raushan jo charaagh-e-rukh-e-zebaa kar de"
ہم نشیں کچھ تو علاج دل شیدا کر دے زندگی کو نہ مری نذر تماشا کر دے جام الفت سے مرے لب کو شناسا کر دے وقف اوروں کے لئے وسعت دریا کر دے آستانوں کو تو بے شک نہ کمی ہے لیکن سجدہ ریزی کا جنوں تجھ کو نہ رسوا کر دے دیکھ لیں اپنی بھی آنکھوں سے وہ انجام ستم کور چشموں کو عطا دیدۂ بینا کر دے رکھئے احسان نہ اس چارہ گری کا ہم پر دل کے زخموں کو جو کچھ اور بھی گہرا کر دے بھیک میں مانگے اجالوں پہ گزارا کب تک اس سے بہتر تو یہی ہے کہ اندھیرا کر دے زہر کا جام سہی بادۂ رنگیں نہ سہی تو اگر چاہے تو اس کو بھی گوارا کر دے زرد چہروں پہ بھی کھل جائے گلستان شباب تیری دزدیدہ نگاہی جو اشارہ کر دے بار ہے تجھ پہ جو زنجیر تعلق اے دوست بیڑیاں کاٹ کے اس قید کو ہلکا کر دے گرمیٔ فن سے ہنر مندیٔ دست فنکار سخت پتھر کو اگر چاہے تو شیشہ کر دے مٹ ہی جائے گی شب غم کی سیاہی بہزادؔ دل کو روشن جو چراغ رخ زیبا کر دے
हमनशीं कुछ तो इलाज-ए-दिल-ए-शैदा कर दे ज़िंदगी को न मिरी नज़्र-ए-तमाशा कर दे जाम-ए-उल्फ़त से मिरे लब को शनासा कर दे वक़्फ़ औरों के लिए वुस’अत-ए-दरिया कर दे आस्तानों को तो बे-शक न कमी है लेकिन सज्दा-रेज़ी का जुनूँ तुझ को न रुस्वा कर दे देख लें अपनी भी आँखों से वो अंजाम-ए-सितम कोर-चश्मों को 'अता दीदा-ए-बीना कर दे रखिए एहसान न इस चारागरी का हम पर दिल के ज़ख़्मों को जो कुछ और भी गहरा कर दे भीक में माँगे उजालों पे गुज़ारा कब तक इस से बेहतर तो यही है कि अंधेरा कर दे ज़हर का जाम सही बादा-ए-रंगीं न सही तू अगर चाहे तो इस को भी गवारा कर दे ज़र्द चेहरों पे भी खिल जाए गुलिस्तान-ए-शबाब तेरी दुज़दीदा-निगाही जो इशारा कर दे बार है तुझ पे जो ज़ंजीर-ए-त'अल्लुक़ ऐ दोस्त बेड़ियाँ काट के इस क़ैद को हल्का कर दे गर्मी-ए-फ़न से हुनर-मंदी-ए-दस्त-ए-फ़नकार सख़्त पत्थर को अगर चाहे तो शीशा कर दे मिट ही जाएगी शब-ए-ग़म की सियाही 'बहज़ाद' दिल को रौशन जो चराग़-ए-रुख़-ए-ज़ेबा कर दे

More by Bahzad Fatami
View all →"paani kahin na saaya kisi rah-guzar mein thaa sar par kaDi thi dhuup musaafir safar mein thaa ham ne bhi ye sunaa thaa shab-e-gham guzar gai lekin lahu kaa rang numud-e-sahar mein thaa maanaa ki ik saraab thi rangini-e-hayaat kuchh lutf-e-zindagi bhi fareb-e-nazar mein thaa kuchh naa-tamaam khvaahishein aur valvalon ki laash le kar ye zaad-e-raah musaafir safar mein thaa har moD har ravish pe shagufe khilaa gai afsun ye kis ghazab kaa tumhaari nazar mein thaa 'bahzaad' kyon hamin pe hue pattharon ke vaar har shakhs yuun to aap hi shishe ke ghar mein thaa"
"farogh-e-husn ki taabaaniyaan kabhi na gaiin nigaah-o-dil ki bhi hairaaniyaan kabhi na gaiin har ek samt se yurish thi haadson ki magar samand-e-fikr ki jaulaaniyaan kabhi na gaiin khizaan-gazida bahaaron ko de rahi hain kharaaj miri nigaahon ki naadaaniyaan kabhi na gaiin lab-e-furaat hain pahre yazidiyon ke hanuz sitamgaron ki sitam-raaniyaan kabhi na gaiin tumhaari tegh-e-sitam kaa utar gayaa paani lahu ke qatron ki taabaaniyaan kabhi na gaiin tamaam 'umr musallat thaa hijraton kaa 'azaab hamaari be-sar-o-saamaaniyaan kabhi na gaiin jaraahaton ke khazaane gavaahi dete hain mataa'-e-gham ki faraavaaniyaan kabhi na gaiin bahaar-e-subh to raunaq dikhaa gai apni udaas shaamon ki viraaniyaan kabhi na gaiin sadaaein de ke jagaate rahe sahar ke naqib magar hamaari tan-aasaaniyaan kabhi na gaiin qadam qadam pe hazimat kaa saamnaa 'bahzaad' magar zabaan ki rajaz-khvaaniyaan kabhi na gaiin"
"aaj se pahle na yuun rusvaa sar-e-baazaar thaa hai yahi vo aadmi jo saahib-e-kirdaar thaa chaar-su daam-e-havas thaa aur dil khuddaar thaa vo kashaakash thi ki jiinaa hi miraa dushvaar thaa khaak mein ghaltaan usi kaa turra-e-dastaar thaa ‘azmat-e-ajdaad kaa jo haashiya-bardaar thaa sar-bulandi kaa zamaane mein vahi haqdaar thaa naam-e-haq par jis ke hisse mein faraaz-e-daar thaa thi khazaf-rezon ki dukaan aur khulaa baazaar thaa koi gaahak hi nahin teraa dur-e-shahvaar thaa jis jagah dekhaa savaa neze pe ham ne aaftaab 'arsa-e-mahshar na thaa vo kucha-e-dildaar thaa josh-e-girya mein bhi rakkhaa tere daaman kaa lihaaz kis qadar muhtaat meraa dida-e-khunbaar thaa tum se ahl-e-zar ki shaan-e-kaj-kulaahi kyaa kahein jo bhi daakhil saf mein thaa mast-e-mai-e-pindaar thaa zakhm-e-paa ko dekhte kyaa is ki fursat hi na thi jabki sahraa-e-junun mein tishna-lab har khaar thaa saaqi-e-mahvash ki aankhon kaa asar to dekhiye jaam abhi aaya na thaa aur baada-kash sarshaar thaa kis tarah karte mudaavaa-e-gham-e-jaanaan bhi ham dil hi jab apnaa haris-e-lazzat-e-aazaar thaa Daal di phir bhi binaa-e-aashiyaan 'bahzaad' ne garche har zarra chaman kaa darpai-e-aazaar thaa"
"hain daagh-haa-e-gham to ujaalon ke silsile jaise bisaat-e-shab pe charaaghon ke silsile sahraa-e-tishnagi mein huun kaasa-ba-dast mein nazron ke saamne hain saraabon ke silsile har samt khaar-o-khas ki hain daaman-daraaziyaan milte nahin kahin bhi gulaabon ke silsile anjaam sab kaa ek hai bahr-e-hayaat mein hon dil ki hasratein ki habaabon ke silsile taarikiyon ki dhund se milti nahin najaat hon laakh aasmaan pe sitaaron ke silsile vo din bhi yaad hain hamein 'bahzaad' jabki the marbut gulsitaan se bahaaron ke silsile"
"khizaan kaa ruup na rang-e-bahaar apnaa hai ye kam nahin ki dil-e-daagh-daar apnaa hai parakh lo jins-e-hunar ko miri nazar vaalo abhi ravaan qalam-e-sehr-kaar apnaa hai udhar khirad kaa taqaaza idhar payaam-e-junun main kyaa bataaun kise intizaar apnaa hai nashaat-o-‘aish ke lamhe to 'aarzi hain faqat rafiq-e-'umr gham-e-paaedaar apnaa hai miTaa hi degi kisi din ye gardish-e-dauraan vujud-e-surat-e-naqsh-o-nigaar apnaa hai bataa diyaa hai havaaon ne zard patton ko khizaan mein kaun dam-e-intishaar apnaa hai milaa hi kyaa hamein aakhir rifaaqat-e-gul se lipaT rahaa hai jo daaman se khaar apnaa hai kisi ke daaman-e-rangin pe mail kyaa aae uDaa jo raah se haT kar ghubaar apnaa hai dilaase de jo na ummid hi shab-e-vaa'da to kaun ai khalish-e-intizaar apnaa hai ba-qadr-e-zarf hi milti hai dast-e-saaqi se agarche bazm mein har baada-khvaar apnaa hai panaah de jo kaDi dhuup ki aziyyat se bas ik vahi shajar-e-saaya-daar apnaa hai faqir-e-mai-kada ham bhi to hain magar saaqi na jaanein kaun si saf mein shumaar apnaa hai khushaa vo sham’-e-lahad jis ki raushni phaili jo bujh gayaa vo charaagh-e-mazaar apnaa hai kisi ko kyaa kahein 'bahzaad' is zamaane mein hamin ko khud nahin jab e'tibaar apnaa hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"