SHAWORDS

ham ne khud apni rahnumaai ki — Rahat Indori

HomeRahat IndoriGhazal
"ham ne khud apni rahnumaai ki aur shohrat hui khudaai ki main ne duniyaa se mujh se duniyaa ne saikDon baar bevafaai ki khule rahte hain saare darvaaze koi surat nahin rihaai ki TuuT kar ham mile hain pahli baar ye shuruaat hai judaai ki soe rahte hain oDh kar khud ko ab zarurat nahin razaai ki manzilein chumti hain mere qadam daad diije shikasta-paai ki zindagi jaise-taise kaaTni hai kyaa bhalaai ki kyaa buraai ki ishq ke kaarobaar mein ham ne jaan de kar baDi kamaai ki ab kisi ki zabaan nahin khulti rasm jaari hai munh-bharaai ki"
Urdu

ہم نے خود اپنی رہنمائی کی اور شہرت ہوئی خدائی کی میں نے دنیا سے مجھ سے دنیا نے سیکڑوں بار بے وفائی کی کھلے رہتے ہیں سارے دروازے کوئی صورت نہیں رہائی کی ٹوٹ کر ہم ملے ہیں پہلی بار یہ شروعات ہے جدائی کی سوئے رہتے ہیں اوڑھ کر خود کو اب ضرورت نہیں رضائی کی منزلیں چومتی ہیں میرے قدم داد دیجے شکستہ پائی کی زندگی جیسے تیسے کاٹنی ہے کیا بھلائی کی کیا برائی کی عشق کے کاروبار میں ہم نے جان دے کر بڑی کمائی کی اب کسی کی زباں نہیں کھلتی رسم جاری ہے منہ بھرائی کی

Hindi

हम ने ख़ुद अपनी रहनुमाई की और शोहरत हुई ख़ुदाई की मैं ने दुनिया से मुझ से दुनिया ने सैकड़ों बार बेवफ़ाई की खुले रहते हैं सारे दरवाज़े कोई सूरत नहीं रिहाई की टूट कर हम मिले हैं पहली बार ये शुरूआ'त है जुदाई की सोए रहते हैं ओढ़ कर ख़ुद को अब ज़रूरत नहीं रज़ाई की मंज़िलें चूमती हैं मेरे क़दम दाद दीजे शिकस्ता-पाई की ज़िंदगी जैसे-तैसे काटनी है क्या भलाई की क्या बुराई की इश्क़ के कारोबार में हम ने जान दे कर बड़ी कमाई की अब किसी की ज़बाँ नहीं खुलती रस्म जारी है मुँह-भराई की

ham ne ḳhud apnī rahnumā.ī kī
Rahat Indori
Rahat Indori
Rahat Indori
poet74 quotes

More by Rahat Indori

View all →
Quote
"apne divaar-o-dar se puchhte hain ghar ke haalaat ghar se puchhte hain kyuun akele hain qaafile vaale ek ik ham-safar se puchhte hain kyaa kabhi zindagi bhi dekheinge bas yahi umr-bhar se puchhte hain jurm hai khvaab dekhnaa bhi kyaa raat-bhar chashm-e-tar se puchhte hain ye mulaaqaat aakhiri to nahin ham judaai ke Dar se puchhte hain zakhm kaa naam phuul kaise paDaa tere dast-e-hunar se puchhte hain kitne jangal hain in makaanon mein bas yahi shahr bhar se puchhte hain ye jo divaar hai ye kis ki hai ham idhar vo udhar se puchhte hain hain kanizein bhi is mahal mein kyaa shaah-zaadon ke Dar se puchhte hain kyaa kahin qatl ho gayaa suraj raat se raat-bhar se puchhte hain kaun vaaris hai chhaanv kaa aakhir dhuup mein ham-safar se puchhte hain ye kinaare bhi kitne saada hain kashtiyon ko bhanvar se puchhte hain vo guzartaa to hogaa ab tanhaa ek ik rahguzar se puchhte hain"
Rahat IndoriRahat Indori
Quote
"jab kabhi phulon ne khushbu ki tijaarat ki hai patti patti ne havaaon se shikaayat ki hai yuun lagaa jaise koi itr fazaa mein ghul jaae jab kisi bachche ne quraan ki tilaavat ki hai jaa-namaazon ki tarah nuur mein ujlaai sahar raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai sar uThaae thiin bahut surkh havaa mein phir bhi ham ne palkon ke charaaghon ki hifaazat ki hai mujhe tufaan-e-havaadis se Daraane vaalo haadson ne to mire haath pe baiat ki hai aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin ham ne sadiyon inhin kheton pe hukumat ki hai ye zaruri thaa ki ham dekhte qilon ke jalaal umr bhar ham ne mazaaron ki ziyaarat ki hai"
Rahat IndoriRahat Indori
Quote
"bair duniyaa se qabile se laDaai lete ek sach ke liye kis kis se buraai lete aable apne hi angaaron ke taaza hain abhi log kyuun aag hatheli pe paraai lete barf ki tarah december kaa safar hotaa hai ham use saath na lete to razaai lete kitnaa maanus saa ham-dardon kaa ye dard rahaa ishq kuchh rog nahin thaa jo davaai lete chaand raaton mein hamein Dastaa hai din mein suraj sharm aati hai andheron se kamaai lete tum ne jo toD diye khvaab ham un ke badle koi qimat kabhi lete to khudaai lete"
Rahat IndoriRahat Indori

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar