Quote
"zindagi bhar ki du'aaon kaa sila hotaa hai ik vo sajda jo tire dar pe adaa hotaa hai dosto pursish-e-ahvaal se kyaa hotaa hai is tasalli se to gham aur sivaa hotaa hai jo halaak-e-ravish-e-khud-nigari ho jaaein un ko aaina dikhaane se bhi kyaa hotaa hai phuul khud aatish-e-jazbaat se jal jaate hain varna tabdili-e-haalaat se kyaa hotaa hai koi manzil ho magar zinda-e-jaaved hai 'ishq aaj bhi tazkira-e-ahl-e-vafaa hotaa hai rahbar-e-kor-nazar ko ye bataa do 'bismil' gard-e-manzil hi mein manzil kaa pata hotaa hai"
