SHAWORDS

havas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain — Shahab Jafri

HomeShahab JafriGhazal
"havas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain aayat-e-shauq ki tafsir liye baiThe hain aasmaan saath chalaa ghar ki zamin duur hui tujh se duur ik rah-e-dil-gir liye baiThe hain vajh-e-taazir hui be-vatani bhi jab se ambarin haathon ki tahrir liye baiThe hain aap se aap vo khulti hui zulfein teri ab isi sog ki tasvir liye baiThe hain haae kyaa ahd-e-javaani-o-mohabbat hai ki ham ik na ik marne ki tadbir liye baiThe hain zindagi be-dar-o-divaar makaan hai koi kab se ik hasrat-e-taamir liye baiThe hain koi apnon hi mein qaatil hai to ham chup se 'shahaab' zakhm khaae hue shamshir liye baiThe hain"
Urdu

ہوس زلف گرہ گیر لیے بیٹھے ہیں آیت شوق کی تفسیر لیے بیٹھے ہیں آسماں ساتھ چلا گھر کی زمیں دور ہوئی تجھ سے دور اک رہ دلگیر لیے بیٹھے ہیں وجہ تعزیر ہوئی بے وطنی بھی جب سے عنبریں ہاتھوں کی تحریر لیے بیٹھے ہیں آپ سے آپ وہ کھلتی ہوئی زلفیں تیری اب اسی سوگ کی تصویر لیے بیٹھے ہیں ہائے کیا عہد جوانی و محبت ہے کہ ہم اک نہ اک مرنے کی تدبیر لیے بیٹھے ہیں زندگی بے در و دیوار مکاں ہے کوئی کب سے اک حسرت تعمیر لیے بیٹھے ہیں کوئی اپنوں ہی میں قاتل ہے تو ہم چپ سے شہابؔ زخم کھائے ہوئے شمشیر لیے بیٹھے ہیں

Hindi

हवस-ए-ज़ुल्फ़-ए-गिरह-गीर लिए बैठे हैं आयत-ए-शौक़ की तफ़्सीर लिए बैठे हैं आसमाँ साथ चला घर की ज़मीं दूर हुई तुझ से दूर इक रह-ए-दिल-गीर लिए बैठे हैं वज्ह-ए-ताज़ीर हुई बे-वतनी भी जब से अम्बरीं हाथों की तहरीर लिए बैठे हैं आप से आप वो खुलती हुई ज़ुल्फ़ें तेरी अब इसी सोग की तस्वीर लिए बैठे हैं हाए क्या अह्द-ए-जवानी-ओ-मुहब्बत है कि हम इक न इक मरने की तदबीर लिए बैठे हैं ज़िंदगी बे-दर-ओ-दीवार मकाँ है कोई कब से इक हसरत-ए-तामीर लिए बैठे हैं कोई अपनों ही में क़ातिल है तो हम चुप से 'शहाब' ज़ख़्म खाए हुए शमशीर लिए बैठे हैं

havas-e-zulf-e-girah-gīr liye baiThe haiñ
Shahab Jafri
Shahab Jafri
Shahab Jafri
poet9 quotes

More by Shahab Jafri

View all →
Quote
"be-sar-o-saamaan kuchh apni taba se hain ghar mein ham shahr kahte hain jise hain us ke pas-manzar mein ham shaam Duubi paD rahe suraj ke dar par shab ki shab subh bikhri chal paDe khud ko liye Thokar mein ham aagahi tu ne hamein kin vusaton mein gum kiyaa be-nishaan har mulk mein be-aasraa har ghar mein ham apne hi sahraa mein kho jaaeinge andaaza na thaa baazgasht apni liye phirte hain apne sar mein ham saatvein dar tak pukaar aai khudi ko be-khudi aur har dar se javaab aayaa nahin hain ghar mein ham teri dastak thi ki sannaaTaa vahi har shaam kaa rahrav-e-koh-e-nidaa hain ghar ke baam-o-dar mein ham chaar-su sahraa mein hai dard-e-anassahraa ki guunj kaaT kar apni zabaan rakh aae the patthar mein ham chhaan ye sahraa ghuTi hain is ki chauhad mein sadaaein kaaT ye parbat dabe hain is ki khaakistar mein ham ab hamein bhaataa nahin paiham sadaaon kaa nuzul ab to khud gunje hue hain gumbad-e-be-dar mein ham kiyaan makaan taakaa hai dil ne raat aur din se pare be-zabaan hote chale hain qaid-e-baam-o-dar mein ham jaane is rah-rav ki nazrein kaun si manzil pe hon ek kaanTaa saa khaTakte hain dil-e-rahbar mein ham zahr kaa pyaala ho piinaa yaa uThaani ho salib sadiyon baad aaein magar hote hain is manzar mein ham dasht-dar-dasht aasmaan-bar-dosh chalte hain 'shahaab' ham se banjaare janm apnaa liye Thokar mein ham"
Shahab JafriShahab Jafri
Quote
"ye mahshar-e-soz-o-saaz kyaa hai aakhir miraa imtiyaaz kyaa hai dil mahv-e-sadaa-e-dard kyuun hai ye arz-e-hunar-gudaaz kyaa hai mafhum-e-navaa-e-raaz kyaa thaa aavaaz-e-shikast-e-saaz kyaa hai Dartaa huun ki apnaa gham na ho jaae apne se ye ehtiraaz kyaa hai paa kar bhi tujhe main sochtaa huun miTne kaa mire javaaz kyaa hai ab tu jo milaa to main nahin huun mujh se tiraa imtiyaaz kyaa hai kis kis ko bhulaa chukaa huun ai gham ye be-dili-e-niyaaz kyaa hai aksar to tiraa buraa bhi chaahaa kyaa jaaniye khud pe naaz kyaa hai"
Shahab JafriShahab Jafri
Quote
"qaid-e-imkaan se tamannaa thi gamin chhuT gai paanv ham ne jab uThaayaa to zamin chhuT gai liye jaataa hai khalaaon mein jamaal-e-shab-o-roz din kahin chhuT gayaa raat kahin chhuT gai zindagi kyaa thi main ik mauj ke pichhe thaa ravaan aur vo mauj ki saahil ke qarin chhuT gai bud-o-baash apni na puchho ki isi shahr mein ham zindagi laae the ghar se so yahin chhuT gai dil se duniyaa tak ik aisaa hi safar thaa jis mein kahin dil aur kahin duniyaa-e-hasin chhuT gai subh-dam dil ke makaan se sabhi rishte TuuTe dar-o-divaar se fariyaad-e-makin chhuT gai kyaa gharib-ul-vatani si hai gharib-ul-vatani aasmaan saath chalaa ghar ki zamin chhuT gai"
Shahab JafriShahab Jafri

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi