SHAWORDS

ik nadi bas mujhe khushi degi — Aditya Tiwari Shams

"ik nadi bas mujhe khushi degi aab degi yaa tishnagi degi zindagi kah rahi thi vo mujh ko maut ke baa'd har khushi degi tujh ko paane kaa raasta mujh ko tu nahin to tiri kami degi mar bhi jaaein agar chale maa'lum vaaqa'i maut maut hi degi zindagi khaak ki tarah hai 'shams' phuul degi to khaar bhi degi"
Urdu

اک ندی بس مجھے خوشی دے گی آب دے گی یا تشنگی دے گی زندگی کہہ رہی تھی وہ مجھ کو موت کے بعد ہر خوشی دے گی تجھ کو پانے کا راستہ مجھ کو تو نہیں تو تری کمی دے گی مر بھی جائیں اگر چلے معلوم واقعی موت موت ہی دے گی زندگی خاک کی طرح ہے شمسؔ پھول دے گی تو خار بھی دے گی

Hindi

इक नदी बस मुझे ख़ुशी देगी आब देगी या तिश्नगी देगी ज़िंदगी कह रही थी वो मुझ को मौत के बा'द हर ख़ुशी देगी तुझ को पाने का रास्ता मुझ को तू नहीं तो तिरी कमी देगी मर भी जाएँ अगर चले मा'लूम वाक़'ई मौत मौत ही देगी ज़िंदगी ख़ाक की तरह है 'शम्स' फूल देगी तो ख़ार भी देगी

ik nadī bas mujhe ḳhushī degī
Aditya Tiwari Shams
Aditya Tiwari Shams
Aditya Tiwari Shams
poet9 quotes

More by Aditya Tiwari Shams

View all →
Quote
"mere ham-saae ko mujh se ji churaanaa aa gayaa jab main us ke saamne jaisaa thaa vaisaa aa gayaa mutmain thaa puure ghar mein raushni bhar dungaa aaj pahlaa dipak hi jalaa aur khud kaa saayaa aa gayaa phir bataaungaa sabhi ko sar jhukaane kaa hunar pahle khud hairaan ho luun ye mujhe kyaa aa gayaa chhune ki zid mein use mahsus kar paayaa nahin pyaas hi le kar gayaa thaa aur pyaasaa aa gayaa kyaa andheraa miT gayaa sab ne faqat puchhaa yahi kab kisi ko thi tasalli diip zinda aa gayaa"
Aditya Tiwari ShamsAditya Tiwari Shams

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar