"qayaamat aaegi maanaa ye haadisa hogaa magar chhupaa huaa manzar to runumaa hogaa musaahibon mein ghire honge zill-e-subhaani ghanim shahr ko taaraaj kar rahaa hogaa abhi fazaa mein thi ik tez raushni ki lakir na jaane TuuT ke taaraa kahaan giraa hogaa aziiz mujh se thaa inaam mere sar kaa use raiis ek hi shab mein vo ho gayaa hogaa hui jo baat to vo aam aadmi niklaa gumaan thaa ki nae rukh se sochtaa hogaa rahegaa saamne kab tak ye nilgun manzar ye aasmaan kahin khatm to huaa hogaa ajab safar hai mujhe bhi pataa nahin 'azhar' ki agle moD pe kirdaar meraa kyaa hogaa"
is haadse ko dekh ke aankhon mein dard hai — Azhar Inayati
"is haadse ko dekh ke aankhon mein dard hai apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai aa thoDi der baiTh ke baatein karein yahaan tere to yaar lahje mein apnaa saa dard hai kyaa ho gaiin na jaane tiri garm-joshiyaan mausam se aaj haath sivaa teraa sard hai taarikh bhi huun utne baras ki moarrikho chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai ai raat tere chaand sitaaron mein vo kahaan bujhte hue charaagh ki lau mein jo dard hai 'azhar' jo qatl ho gayaa vo bhaai thaa magar qaatil bhi mere apne qabile kaa fard hai"
اس حادثے کو دیکھ کے آنکھوں میں درد ہے اپنی جبیں پہ اپنے ہی قدموں کی گرد ہے آ تھوڑی دیر بیٹھ کے باتیں کریں یہاں تیرے تو یار لہجے میں اپنا سا درد ہے کیا ہو گئیں نہ جانے تری گرم جوشیاں موسم سے آج ہاتھ سوا تیرا سرد ہے تاریخ بھی ہوں اتنے برس کی مورخو چہرے پہ میرے جتنے برس کی یہ گرد ہے اے رات تیرے چاند ستاروں میں وہ کہاں بجھتے ہوئے چراغ کی لو میں جو درد ہے اظہرؔ جو قتل ہو گیا وہ بھائی تھا مگر قاتل بھی میرے اپنے قبیلے کا فرد ہے
इस हादसे को देख के आँखों में दर्द है अपनी जबीं पे अपने ही क़दमों की गर्द है आ थोड़ी देर बैठ के बातें करें यहाँ तेरे तो यार लहजे में अपना सा दर्द है क्या हो गईं न जाने तिरी गर्म-जोशियाँ मौसम से आज हाथ सिवा तेरा सर्द है तारीख़ भी हूँ उतने बरस की मोअर्रिख़ो चेहरे पे मेरे जितने बरस की ये गर्द है ऐ रात तेरे चाँद सितारों में वो कहाँ बुझते हुए चराग़ की लौ में जो दर्द है 'अज़हर' जो क़त्ल हो गया वो भाई था मगर क़ातिल भी मेरे अपने क़बीले का फ़र्द है

More by Azhar Inayati
View all →"kitaabein jab koi paDhtaa nahin thaa fazaa mein shor bhi itnaa nahin thaa ajab sanjidgi thi shahr bhar mein ki paagal bhi koi hanstaa nahin thaa baDi maasum si apnaaiyat thi vo mujh se roz jab miltaa nahin thaa javaanon mein tasaadum kaise ruktaa qabile mein koi buDhaa nahin thaa puraane ahd mein bhi dushmani thi magar maahaul zahrilaa nahin thaa sabhi kuchh thaa ghazal mein us ki 'azhar' bas ik lahja mire jaisaa nahin thaa"
"abhi bichhDaa hai vo kuchh roz to yaad aaegaa naqsh raushan hai magar naqsh hai dhundlaaegaa ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham saa charaagh main nahin hungaa to tanhaai mein bujh jaaegaa ab mire baad koi sar bhi nahin hogaa tulua ab kisi samt se patthar bhi nahin aaegaa meri qismat to yahi hai ki bhaTaknaa hai mujhe raaste tu mire hamraah kidhar jaaegaa apne zehnon mein rachaa lijiye is daur kaa rang koi tasvir banegi to ye kaam aaegaa itne din ho gae bichhDe hue us se 'azhar' mil bhi jaaegaa to pahchaan nahin paaegaa"
"kyaa kyaa navaah-e-chashm ki raanaaiyaan gaiin mausam gayaa gulaab gae titliyaan gaiin jhuTi siyaahiyon se hain shajre likhe hue ab ke hasab-nasab ki bhi sachchaaiyaan gaiin kis zehn se ye saare mahaazon pe jang thi kyaa fath ho gayaa ki saf-aaraaiyaan gaiin karne ko raushni ke taaaqub kaa tajraba kuchh duur mere saath bhi parchhaaiyaan gaiin aage to be-charaagh gharon kaa hai silsila mere yahaan se jaane kahaan aandhiyaan gaiin 'azhar' miri ghazal ke sabab ab ke shahr mein kitni nai puraani shanaasaaiyaan gaiin"
"diyon se aag jo lagti rahi makaanon ko mah o nujum jalaa dein na aasmaanon ko mire qabile mein kyaa shahr bhar se mil dekho koi bhi tiir nahin detaa be-kamaanon ko shikastagi ne giraa diin saron pe divaarein mukhaasimat thi makinon se kyaa makaanon ko ye sochtaa huun vo kyaa husn-kaar tesha thaa jo aaise naqsh ataa kar gayaa chaTaanon ko yahi karegi kisi samt kaa taayyun bhi isi havaa ne to kholaa hai baadbaanon ko jahaan zidein kiyaa kartaa thaa bachpanaa meraa kahaan se laaun khilaunon ki un dukaanon ko"
"is bulandi pe kahaan the pahle ab jo baadal hain dhuaan the pahle naqsh miTte hain to aataa hai khayaal ret par ham bhi kahaan the pahle ab har ik shakhs hai ezaaz talab shahr mein chand makaan the pahle aaj shahron mein hain jitne khatre jangalon mein bhi kahaan the pahle log yuun kahte hain apne qisse jaise vo shaah-jahaan the pahle TuuT kar ham bhi milaa karte the bevafaa tum bhi kahaan the pahle"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"