"raqs karti hai fazaa vajd mein jaam aayaa hai phir koi le ke bahaaron kaa payaam aayaa hai baada-khvaaraan-e-fanaa baDh ke qadam lo us ke le ke saaghar mein jo sahbaa-e-davaam aayaa hai main ne sikhaa hai zamaane se mohabbat karnaa teraa paighaam-e-mohabbat mire kaam aayaa hai rahbar-e-jaada-e-haq nur-e-khudaa haadi dein le ke khaaliq kaa zamaane mein payaam aayaa hai teri manzil hai buland itni ki har shaam-o-sahar chaand-suraj se tire dar ko salaam aayaa hai ho gayaa teri mohabbat mein giraftaar to phir taaer-e-ruh bhalaa kab tah-e-daam aayaa hai khud-ba-khud jhuk gai peshaani-e-arbaab-e-khudi ishq ki raah mein aisaa bhi maqaam aayaa hai aasiyo shukr ki jaa hai ki ba-faiz-e-khaaliq ham gunahgaaron ki bakhshish kaa payaam aayaa hai haram-o-dair ke logon ki khushi kyaa kahnaa banda-e-khaaliq-o-dil-daada-e-raam aayaa hai tishna-kaamaan-e-nazaara ko ye muzhda de do be-naqaab aaj koi phir sar-e-baam aayaa hai ho mubaarak tumhein rindo ki ba-taaid-e-khudaa koi chhalkaataa huaa shisha-o-jaam aayaa hai jab kabhi gardish-e-dauraan ne sataayaa hai bahut tere rindon ki zabaan par tiraa naam aayaa hai ahl-e-maghrib ko pilaa kar mai-e-irfaan 'darshan' phir se mashriq ki taraf arsh-maqaam aayaa hai"
ishq shabnam nahin sharaaraa hai — Darshan Singh
"ishq shabnam nahin sharaaraa hai raaz ye mujh pe aashkaaraa hai ik karam ki nigaah kar diije umr-bhar kaa sitam gavaaraa hai raqs mein hain jo saaghar-o-minaa kis ki nazron kaa ye ishaaraa hai aisi manzil pe aa gayaa huun dost tire gham kaa faqat sahaaraa hai lauT aae hain yaar ke dar se vaqt ne jab hamein pukaaraa hai dil na TuuTe to zarra-e-naachiz kimiyaa hai jo paaraa paaraa hai jaam-e-rangin mein un kaa aks-e-jamaal yaa shafaq mein koi sitaaraa hai naav Takraa chuki hai tufaan se apnaa murshid hi ab sahaaraa hai ishq karnaa hai maat khaa jaanaa us mein jiitaa huaa bhi haaraa hai apne 'darshan' pe ik nigaah-e-karam ki gham-e-zindagi kaa maaraa hai"
عشق شبنم نہیں شرارا ہے راز یہ مجھ پہ آشکارا ہے اک کرم کی نگاہ کر دیجے عمر بھر کا ستم گوارا ہے رقص میں ہیں جو ساغر و مینا کس کی نظروں کا یہ اشارا ہے ایسی منزل پہ آ گیا ہوں دوست ترے غم کا فقط سہارا ہے لوٹ آئے ہیں یار کے در سے وقت نے جب ہمیں پکارا ہے دل نہ ٹوٹے تو ذرۂ ناچیز کیمیا ہے جو پارا پارا ہے جام رنگیں میں ان کا عکس جمال یا شفق میں کوئی ستارا ہے ناؤ ٹکرا چکی ہے طوفاں سے اپنا مرشد ہی اب سہارا ہے عشق کرنا ہے مات کھا جانا اس میں جیتا ہوا بھی ہارا ہے اپنے درشنؔ پہ اک نگاہ کرم کہ غم زندگی کا مارا ہے
इश्क़ शबनम नहीं शरारा है राज़ ये मुझ पे आश्कारा है इक करम की निगाह कर दीजे उम्र-भर का सितम गवारा है रक़्स में हैं जो साग़र-ओ-मीना किस की नज़रों का ये इशारा है ऐसी मंज़िल पे आ गया हूँ दोस्त तिरे ग़म का फ़क़त सहारा है लौट आए हैं यार के दर से वक़्त ने जब हमें पुकारा है दिल न टूटे तो ज़र्रा-ए-नाचीज़ कीमिया है जो पारा पारा है जाम-ए-रंगीं में उन का अक्स-ए-जमाल या शफ़क़ में कोई सितारा है नाव टकरा चुकी है तूफ़ाँ से अपना मुर्शिद ही अब सहारा है इश्क़ करना है मात खा जाना उस में जीता हुआ भी हारा है अपने 'दर्शन' पे इक निगाह-ए-करम कि ग़म-ए-ज़िंदगी का मारा है

More by Darshan Singh
View all →"qaid-e-gham-e-hayaat se ahl-e-jahaan mafar nahin aisi mili hai shaam-e-gham jis ki koi sahar nahin hai vo safar jo ishq ko jaanib dost le chale varna safar ke vaaste kaun si rahguzar nahin ahl-e-khirad ko chaahiye dil ke nagar mein aa basein dil saa hasin-o-khush-numaa aur koi nagar nahin tere karam pe hai yaqin garche ye jaantaa huun main naala hai meraa naa-rasaa aah mein kuchh asar nahin hasrat-e-intizaar ki baat na ham se puchhiye hai ye tavil daastaan qissa-e-mukhtasar nahin luT to gae hain dil magar mil bhi gai hain manzilein rahguzar-e-hayaat mein ishq saa raahbar nahin apnaa rahaa na hosh jab raaz-e-hayaat paa liyaa nemat-e-be-khudi samajh hosh kaa ye samar nahin ishq mataa-e-laa-makaan ishq mataa-e-jaavedaan shoala-e-daaemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin 'darshan'-e-mast se milein kholegaa raaz-e-aagahi garche vahaan hai jis jagah apni use khabar nahin"
"kab khamoshi ko mohabbat ki zabaan samjhaa thaa main thaa 'ayaan vo raaz-e-dil jis ko nihaan samjhaa thaa main sun rahaa huun apni khaamoshi kaa charchaa ku-ba-ku thi fughaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjhaa thaa main 'aarzi saa 'aks thaa ik iltifaat-e-dost kaa jis ko naadaani se aish-e-jaavedaan samjhaa thaa main tum ne aankhein pher liin mujh se to ye mujh par khulaa khaar-zaar-e-zindagi ko gulsitaan samjhaa thaa main vo bhi nikle barq-o-baad-o-baaghbaan ki milkiyat chaar tinke jin ko apnaa aashiyaan samjhaa thaa main kar sakein 'darshan' na vo bhi arz-e-haal-e-aarzu jin nigaahon ko mohabbat ki zabaan samjhaa thaa main"
"libaas-e-faqr mein ham ko jo khaaksaar mile unhin ke dar pe salaatin-e-rozgaar mile vo raaz jis se sulagtaa rahaa hai dil kah dein hamaare dil saa agar koi raazdaar mile sharaab khaana-e-chishti mein bhi nazar aae hamein jo ulfat-e-naanak ke baada-khvaar mile gham-e-jahaan-nigari kaa safar-e-qayaamat thaa har ek zarre ke siine mein kohsaar mile koi bhi duri-e-manzil nahin agar 'darshan' jahaan ko meraa junun-e-khirad-shikaar mile"
"mohabbat ki mataa-e-jaavedaani le ke aayaa huun tire qadmon mein apni zindagaani le ke aayaa huun kahaan sim-o-guhar jin ko luTaaun tere qadmon par baraa-e-nazr ashkon ki ravaani le ke aayaa huun tujhe jo puchhnaa ho puchh le ai daavar-e-mahshar main apne saath apni be-zabaani le ke aayaa huun zamin-o-mulk ke badle dilon par hai nazar meri achhutaa ik tariq-e-hukmaraani le ke aayaa huun mire zakhm-e-tamannaa dekh kar pahchaan lo mujh ko tumhaari hi ataa-karda nishaani le ke aayaa huun mire ashaar mein muzmar hain laakhon dhaDkanein dil ki main ik duniyaa kaa gham dil ki zabaani le ke aayaa huun mohabbat naam hai betaabi-e-dil ke tasalsul kaa mohabbat ki main 'darshan' ye nishaani le ke aayaa huun"
"daulat mili jahaan ki naam-o-nishaan mile sab kuchh milaa hamein na magar mehrbaan mile pahle bhi jaise dekh chuke hon unhein kahin anjaan vaadiyon mein kuchh aise nishaan mile baDhtaa gayaa main manzil-e-mahbub ki taraf haail agarche raah mein sang-e-garaan mile ronaa paDaa nasib ke haathon hazaar baar ik baar muskuraa ke jo tum mehrbaan mile ham ko khushi mili bhi to bas aarzi mili lekin jo gham mile vo gham-e-jaavedaan mile baaqi rahegi hashr tak un ke karam ki yaad mujh ko rah-e-hayaat mein jo mehrbaan mile phir kyuun kare talaash koi aur aastaan vo khush-nasib jis ko tiraa aastaan mile ahl-e-sitam ki dil-shikani kaa sabab huaa dil kaa ye hausla ki gham be-karaan mile saaqi ki ik nigaah se kaayaa palaT gai zaahid jo mai-kade mein mile naujavaan mile dair-o-haram ke log bhi darmaan na kar sake vo bhi asir-e-kashmakash-e-in-o-aan mile nazrein talaash karti rahin jin ko umr-bhar 'darshan' ko vo sukun ke lamhe kahaan mile"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"