Quote
"bujhti hui aankhon kaa akelaa vo diyaa thaa hijraan ki kaDi shab mein aziyyat se laDaa thaa ruktaa hi nahin tujh pe nigaahon kaa tasalsul kal shaam tire haath mein kangan bhi nayaa thaa ik chashm-e-tavajjoh se udhaDtaa hi gayaa thaa vo zakhm ki jis ko baDi mehnat se siyaa thaa bargad ke isi peD pe utreinge parinde sailaab-zada ghar ke jo aangan mein khaDaa thaa darvesh ki kuTiyaa ke ye laashe pe bani hai viraan shikasta si haveli pe likhaa thaa tasvir mein us ko hi sar-e-baam dikhaayaa mazdur zamaane ke jo paanv mein paDaa thaa vo zakhm judaai kaa bhalaa kaise dikhegaa malba jo mire jism kaa andar ko giraa thaa 'baabar' ho ki bahkaa huaa jhonkaa yaa sitaara teri hi gali mein hamein jaataa vo milaa thaa"
