"sina-kubi kar chuke gham kar chuke jite-ji ham apnaa maatam kar chuke dekhiye milte hain kis din yaar se iid bhi kar lein moharram kar chuke dhyaan un aankhon kaa jaane kaa nahin ye hiran paale hue ram kar chuke dil lagaa kar dukh uThaae be-shumaar dam-shumaari bhi koi dam kar chuke ab to zulfon ko na rakkho fard fard daftar-e-aalam ko barham kar chuke vaaizo jo chaaho farmaao hamein baiat-e-pir-e-mughaan ham kar chuke 'bahr' mustaghni hain fikr-o-sher se gauhar-e-maani faraaham kar chuke"
jalva-e-arbaab-e-duniyaa dekhiye — Imdad Ali Bahr
"jalva-e-arbaab-e-duniyaa dekhiye svaang hai ye bhi tamaashaa dekhiye sair ko uTThe to hain vahshi mizaaj baagh jaate hain ki sahraa dekhiye gar-che til hai us ke munh par khushnumaa nahs hai kyaa ek taaraa dekhiye roiye jitnaa rulaae hijr-e-yaar ghar mein baiThe sair-e-dariyaa dekhiye charkh-e-minaai muaafiq ho agar dur-daur-e-jaam-e-sahbaa dekhiye yaa-ilaahi khair phir aae bahaar kyaa haraaraa laae saudaa dekhiye kal jo kuchh surat hui thi miT gai aur hi hai aaj naqshaa dekhiye abruon mein phir girah paDne lagi bal tabiat mein phir aayaa dekhiye dardmand-e-chashm hain darmaan-talab dekhte bhi hain masihaa dekhiye intizaar-e-yaar kahtaa hai yahi zindagi jab tak hai rastaa dekhiye vasl saabit hai tafaadil se magar kab vo aataa hai zamaanaa dekhiye kyaa balaa-e-bad hai ye baad-e-khizaan ho gai sab phuul pattaa dekhiye bazm-e-naa0-pursaan mein qismat laai hai baiThiye apni agar jaa dekhiye 'bahr' agar chamkaa sitaara aish kaa laili-e-gardun kaa mujraa dekhiye"
جلوۂ ارباب دنیا دیکھیے سوانگ ہے یہ بھی تماشا دیکھیے سیر کو اٹھے تو ہیں وحشی مزاج باغ جاتے ہیں کہ صحرا دیکھیے گر چہ تل ہے اس کے منہ پر خوش نما نحس ہے کیا ایک تارا دیکھیے روئیے جتنا رلائے ہجر یار گھر میں بیٹھے سیر دریا دیکھیے چرخ مینائی موافق ہو اگر دور دور جام صہبا دیکھیے یا الٰہی خیر پھر آئے بہار کیا حرارا لائے سودا دیکھیے کل جو کچھ صورت ہوئی تھی مٹ گئی اور ہی ہے آج نقشا دیکھیے ابرووں میں پھر گرہ پڑنے لگی بل طبیعت میں پھر آیا دیکھیے دردمند چشم ہیں درماں طلب دیکھتے بھی ہیں مسیحا دیکھیے انتظار یار کہتا ہے یہی زندگی جب تک ہے رستا دیکھیے وصل ثابت ہے تفادل سے مگر کب وہ آتا ہے زمانا دیکھیے کیا بلائے بد ہے یہ باد خزاں ہو گئی سب پھول پتا دیکھیے بزم نا پرساں میں قسمت لائی ہے بیٹھیے اپنی اگر جا دیکھیے بحرؔ اگر چمکا ستارہ عیش کا لیلیٔ گردوں کا مجرا دیکھیے
जल्वा-ए-अर्बाब-ए-दुनिया देखिए स्वाँग है ये भी तमाशा देखिए सैर को उठ्ठे तो हैं वहशी मिज़ाज बाग़ जाते हैं कि सहरा देखिए गर-चे तिल है उस के मुँह पर ख़ुशनुमा नहस है क्या एक तारा देखिए रोइए जितना रुलाए हिज्र-ए-यार घर में बैठे सैर-ए-दरिया देखिए चर्ख़-ए-मीनाई मुआफ़िक़ हो अगर दौर-दौर-ए-जाम-ए-सहबा देखिए या-इलाही ख़ैर फिर आए बहार क्या हरारा लाए सौदा देखिए कल जो कुछ सूरत हुई थी मिट गई और ही है आज नक़्शा देखिए अबरुओं में फिर गिरह पड़ने लगी बल तबीअ'त में फिर आया देखिए दर्दमंद-ए-चश्म हैं दरमाँ-तलब देखते भी हैं मसीहा देखिए इंतिज़ार-ए-यार कहता है यही ज़िंदगी जब तक है रस्ता देखिए वस्ल साबित है तफ़ादिल से मगर कब वो आता है ज़माना देखिए क्या बला-ए-बद है ये बाद-ए-ख़िज़ाँ हो गई सब फूल पत्ता देखिए बज़्म-ए-ना-पुरसाँ में क़िस्मत लाई है बैठिए अपनी अगर जा देखिए 'बहर' अगर चमका सितारा ऐश का लैली-ए-गर्दूं का मुजरा देखिए
More by Imdad Ali Bahr
View all →"har taraf majma-e-aashiqaan hai tere dam kaa ye saaraa samaan hai itnaa maghrur kyuun baaghbaan hai ye chaman chaar din mein khizaan hai ishq mein be-khabar ho gayaa huun kis se puchhun miraa dil kahaan hai kuchh nahin sujhti sair-e-gulshan meri aankhon se vo gul nihaan hai dhyaan aaThon-pahar hai usi kaa main yahaan huun miraa dil vahaan hai siine par rakh ke sotaa huun us ko us ki tasvir aaraam-e-jaan hai aansu bahne lage dekhte hi zulf-e-mahbub hai yaa dhuaan hai jaan parvaana hai us pari par sham-e-sozaan har ik ustukhvaan hai be-muravvat hai vo bevafaa hai saari mehnat miri raaegaan hai kyaa taDapte guzarte hi apne dard-e-dil mein hai lab par fughaan hai hijr mein kyuun nahin maut aati haae kyaa daagh-e-dil maraz-e-jaan hai DhunDhtaa huun main yusuf ko apne khaak mere pas-e-kaarvaan hai jaam-e-mul haath mein vo baghal mein 'bahr' apni ye qismat kahaan hai"
"khurshid-rukhon kaa saamnaa hai shabnam-sifat aabru havaa hai dil zakhmi-e-ishq hai sazaa hai bhar duun jo namak to phir mazaa hai ab to dil us par aa gayaa hai achchhaa hai buraa hai yaa bhalaa hai bainnul-aaad mein aadmi hai duniyaa ek beach ki siraa hai aisi hai malaahat us ke munh par rukhsaar kaa sabza lo nayaa hai iksir hai dil ki khaaksaari kushta ho jo nafas-e-kimiyaa hai munim na kar eatibaar-e-daulat iqbaal kaa qalb laa-baqaa hai vo dil na rahaa jaa naaz uThaaun main bhi huun khafaa jo vo khafaa hai kam hai jo sitam ho tujh par ai dil be-rahm se aur mil sazaa hai dil tum ko to phir kisi din pyaar koi tum se bhi sivaa hai achchhi nahin ye khalish raqibo kaanTe bo kar koi phalaa hai ham dekhein maze raqib luuTe yuun us se bhi to kyaa mazaa hai dam siine se kyuun nahin nikaltaa kyaa jism-e-nazaar khaar-e-paa hai daulat se kabhi na ser honge shaahon ko faqir ki duaa hai chhuptaa nahin koi apne dil mein aankhon mein vahi khaTak rahaa hai is ranj mein bhi nibaah deinge apnaa abhi itnaa hausla hai ai 'bahr' ghazal kahi jo tum ne ye tarz-e-kalaam 'mir' kaa hai"
"ifshaa hue asraar-e-junun jaama-dari se chhaape gae akhbaar miri be-khabari se dam naak mein aayaa hai ab is nauhagari se dil pak gayaa ai aah tiri be-asari se kyaa din hain jo gul khilte hain sho'le hain dahakte lu chalti hai baaghon mein nasim-e-sahari se sone ke nivaalon se na kar parvarish-e-ruh itni bhi mohabbat nahin karte safari se kab ahl-e-duval se hui maabud-parasti baatil hai agar sajda karein taaj-e-zari se har haal mein rahti hai khudaa par nazar apni ye martaba haasil hai hamein be-hunari se maghrur na ho chaand se rukhsaar par apne ye qumquma raushan hai charaagh-e-sahari se tu vo hai shah-e-husn agar baaj talab ho le huur se guldasta tabaq shaah-e-pari se munh chaDhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai daanton se laDi silk-e-guhar bad-guhari se aankhon se nikalvaaiye aankhein hirnon ki chiton ki kamar toDiye naazuk-kamari se naubat to kahin qatl-e-gunahgaar ki aai naqqaare bajaaungaa mein tiron ki sari se pusht-e-lab-e-shaffaaf se joban hai mison kaa sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se piiri mein bhi ham se na hui khaana-nashini baaz aae na bazmon se na guzre guzri se qad tiir saa talvaar tavaazo' se huaa hai vo haath uThaate nahin be-daad-gari se jab chaaho chale aao ye vaa'da nahin achchhaa dil aankh churaataa hai bahut muntazari se ab zof-e-junun kucha-e-jaanaan mein bahaa de kab tak ye varam paanv par aashufta-sari se vo choT kaleje mein lagi hai ki na puchho taDpungaa tah-e-khaak bhi dard-e-jigari se rone kaa na le naam gham-e-yaar mein ai 'bahr' ulTe na zamaane kaa varaq lab ki tari se"
"aabla khaar-e-sar-e-mizhgaan ne phoDaa saanp kaa seli-e-zulf-e-rasaa ne kallaa toDaa saanp kaa panja-e-dandaan tiri kanghi ne moDaa saanp kaa kar ke gesu-e-kalaai haath toDaa saanp kaa kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai savaar chob ki badli banaataa thaa main ghoDaa saanp kaa baar-e-firauni pe teri zulf agar baandhe kamar azhdar-e-musaa ke tausan par ho kuuDaa saanp kaa main huun vo ranjur-e-gesu 'aks agar meraa paDe mohra-e-har-e-ustukhvaan ban jaae phoDaa saanp kaa jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaaq main ye samjhaa zahr saaqi ne nichoDaa saanp kaa hai qadam us kaa havaa par paanv us kaa khaak par zulf ke mushki ko kab paataa hai ghoDaa saanp kaa aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah taazir do saanp ki rassi banaao aur koDaa saanp kaa zulf-e-kaj-raftaar ki kab chaal chal saktaa hai vo aisi Thokar khaae sar ban jaae roDaa saanp kaa ek din ho jaaegaa raushan siyah-kaari kaa haal donon baghlon mein jaride hain ki joDaa saanp kaa jaantaa huun main tire raas-o-zanab ko ai falak mere Dasne ke liye paalaa hai joDaa saanp kaa kyaa ta'ajjub husn-e-jaanaan se agar puchhe gazand khaal mein bichchhu kaa joDaa zulfein joDaa saanp kaa saanp ke kaaTe ki lahr aae jo vasf-e-zulf mein 'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoDaa saanp kaa"
"kiyaa salaam jo saaqi se ham ne jaam liyaa paDhe darud jo pir-e-mughaan kaa naam liyaa chah-e-zaqan mein giraa chaahtaa thaa dil meraa daraaz umr ho zulf-e-rasaa ne thaam liyaa kisi kaa zor zabardast par nahin chalnaa falak ne zulm kiyaa kis ne intiqaam liyaa nasib-var thi zulekhaa jo paayaa yusuf ko kaniz ho gai is shakl kaa ghulaam liyaa bharaa labon ne baraabar dam-e-masihaai jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-aam liyaa mizaaj puchhaa kisi kaa to un kaa munh dekhaa kasak se haath mein aae agar salaam liyaa lagaayaa thaa kahin dil ham ne vo mazaa chakkhaa zabaan ne phir na kabhi aashiqi kaa naam liyaa bharaa hai aankh mein jaadu khulaa ishaare se zabaan kaa mizha-e-be-zabaan se kaam liyaa bahut kamar ke lachakne kaa hai khayaal un ko jo do qadam bhi chale paainchon ko thaam liyaa chaDhaa khumaar jo sar par utar gai izzat amaama rakh ke giro saaghar-e-mudaam liyaa uThaa ke daagh liyaa haq-e-sai kaa paisaa na murtashi ki tarah ham ne zar haraam liyaa havaa ko jaan di main ne zamin ko miTTi adaa kiyaa dam-e-rukhsat jo qarz daam liyaa muaaf ki hai khudaa ne zaiif par taklif sitam kiyaa agar ab dast-o-paa se kaam liyaa qasam na khaaungaa tison kalaam ki ai 'bahr' kisi kaa khvaab mein bosa to laa-kalaam liyaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"