SHAWORDS

koi aa kar nahin jaataa dilon ke aashiyaanon se — Ashu Mishra

HomeAshu MishraGhazal
"koi aa kar nahin jaataa dilon ke aashiyaanon se rihaai kaa koi rasta nahin in qaid-khaanon se machhere kashtiyon mein baiTh kar ke gaa rahe hain giit havaaein muskuraa kar mil rahi hain baadbaanon se zamin vaalon ne jab se aasmaan ki or dekhaa hai parinde khauf khaane lag gae unchi uDaanon se ye sukhe zakhm hain yaa rang hain tasvir maazi ke mujhe guzre zamaane yaad aae in nishaanon se hamein apni laDaai is zamin par khud hi laDni hai farishte to nahin aane yahaan par aasmaanon se tumhaaraa dil yahaan par kho gayaa to kaisi hairat hai bareli mein to jhumke tak nikal jaate hain kaanon se"
Urdu

کوئی آ کر نہیں جاتا دلوں کے آشیانوں سے رہائی کا کوئی رستہ نہیں ان قید خانوں سے مچھیرے کشتیوں میں بیٹھ کر کے گا رہے ہیں گیت ہوائیں مسکرا کر مل رہی ہیں بادبانوں سے زمیں والوں نے جب سے آسماں کی اور دیکھا ہے پرندے خوف کھانے لگ گئے اونچی اڑانوں سے یہ سوکھے زخم ہیں یا رنگ ہیں تصویر ماضی کے مجھے گزرے زمانے یاد آئے ان نشانوں سے ہمیں اپنی لڑائی اس زمیں پر خود ہی لڑنی ہے فرشتے تو نہیں آنے یہاں پر آسمانوں سے تمہارا دل یہاں پر کھو گیا تو کیسی حیرت ہے بریلی میں تو جھمکے تک نکل جاتے ہیں کانوں سے

Hindi

कोई आ कर नहीं जाता दिलों के आशियानों से रिहाई का कोई रस्ता नहीं इन क़ैद-ख़ानों से मछेरे कश्तियों में बैठ कर के गा रहे हैं गीत हवाएँ मुस्कुरा कर मिल रही हैं बादबानों से ज़मीं वालों ने जब से आसमाँ की ओर देखा है परिंदे ख़ौफ़ खाने लग गए ऊँची उड़ानों से ये सूखे ज़ख़्म हैं या रंग हैं तस्वीर माज़ी के मुझे गुज़रे ज़माने याद आए इन निशानों से हमें अपनी लड़ाई इस ज़मीं पर ख़ुद ही लड़नी है फ़रिश्ते तो नहीं आने यहाँ पर आसमानों से तुम्हारा दिल यहाँ पर खो गया तो कैसी हैरत है बरेली में तो झुमके तक निकल जाते हैं कानों से

koī aa kar nahīñ jaatā diloñ ke āshiyānoñ se
Ashu Mishra
Ashu Mishra
Ashu Mishra
poet33 quotes

More by Ashu Mishra

View all →
Quote
"tujh ko andaaze nahin raah ki dushvaari ke ham to qaail hain tiri qaafila-saalaari ke ye tire saath mein rone se khulaa hai mujh par hain tiri aankh mein sab ashk adaakaari ke bevafaai bhi agar ki to bataayaa us ko main ne aadaab nibhaae hain vafaadaari ke jashn main ne bhi manaayaa thaa shajar kaTne kaa us ne vo faaede ginvaae mujhe aari ke dasht kaa dasht jin aankhon pe luTaa baiThaa thaa ham bhi pichhe the usi aahu-e-taataari ke ab mujhe yaad nahin pairahan-e-ishq-o-vafaa haan magar naqsh tire vasl ki gul-kaari ke"
Ashu MishraAshu Mishra
Quote
"ek patthar rakh liyaa hai sina-e-sad-chaak par zabt kaa pahra lagaayaa dida-e-namnaak par kaun hai jis par nahin khultaa miraa dast-e-hunar kis ki miTTi ek muddat se rakhi hai chaak par chaar din mein hi haqiqat ki zamin par aa giraa chaar din mein bhi uDaa thaa ishq ke aflaak par ye khizaan peDon se patte dil se khushiyaan le gai zor kuchh bhi chal na paayaa mausam-e-saffaak par saanehe paDte raheinge sach ke raste mein hazaar ungliyaan uThti raheingi lahja-e-bebaak par jo bhi aayaa vo tiri aankhon kaa ho ke rah gayaa ye bhanvar ab tak na khul paae kisi tairaak par"
Ashu MishraAshu Mishra
Quote
"laakhon ki bhiiD mein bhi koi ham-nafas na ho allaah teri khalq kaa matlab qafas na ho rang-e-jamaal-e-ishq se kunachi bhari ho par tasvir khinchne ke liye canvas na ho kahiye ki kaise dil lage aisi jagah jahaan baatein to be-hisaab hon baaton mein ras na ho main ishq kar rahaa huun magar sochtaa bhi huun pichhle baras jo ho chukaa ab ke baras na ho hairat hai ek umr ki baarish ke baavajud aankhon mein koi shakl hai jo Tas se mas na ho 'mishraa' ji aise shakhs se rahte hain dur-dur jis mein ki rang-e-ishq ho rang-e-havas na ho"
Ashu MishraAshu Mishra

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer