"choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage shahr mein har aadmi jab dard kaa paikar lage kaar-gaah-e-zindagi goyaa hai dasht-e-karbalaa raaste mein jis taraf bhi jaaiye Thokar lage is dayaar-e-raushni ne yuun kiyaa hai khira-chashm zindagi jaise yahaan shab se bhi tira-tar lage raaste viraan chehre faq labon par khaamushi dosto ye shahr bhi ab mujh ko apnaa ghar lage vaqt kaa be-rahm suraj kyon na ho zohra-gudaaz subh ki ThanDi havaa bhi jab mujhe khanjar lage manzilein aisi bhi aai hain safar mein zaat ke phuul bhi zer-e-qadam aae to vo patthar lage zakhm tanhaai kaa 'shibli' thaa na kuchh kam jaan-gudaaz aur is par ye huaa ki pai-ba-pai nashtar lage"
kyuun malaamat kaa hadaf gardish-e-paimaana bane — Alqama Shibli
"kyuun malaamat kaa hadaf gardish-e-paimaana bane laghzish-e-paa se miri kaaba-o-but-khaana bane aql ke bas ki nahin bakhiyaa-giri phulon ki dard jis ko ho gulistaan kaa vo divaana bane lab-e-hikmat se shab-o-roz ujaale Tapke tira-zehni kaa magar ye bhi mudaavaa na bane be-sabab shauq nahin maail-e-afsaana-gari har haqiqat ki ye khvaahish hai ki afsaana bane rukh-e-jaanaan ke tasavvur hi mein raatein guzrin chaand-taare dil-e-mahjur ki duniyaa na bane aashnaa fasl-e-bahaaraan hi nahin hai shaayad kyaa kahin phuul ki kyuun sabza-e-begaana bane main to huun sham-sifat-soz saraapaa 'shibli' jis ko jalnaa nahin aataa ho vo parvaana bane"
کیوں ملامت کا ہدف گردش پیمانہ بنے لغزش پا سے مری کعبہ و بت خانہ بنے عقل کے بس کی نہیں بخیہ گری پھولوں کی درد جس کو ہو گلستاں کا وہ دیوانہ بنے لب حکمت سے شب و روز اجالے ٹپکے تیرہ ذہنی کا مگر یہ بھی مداوا نہ بنے بے سبب شوق نہیں مائل افسانہ گری ہر حقیقت کی یہ خواہش ہے کہ افسانہ بنے رخ جاناں کے تصور ہی میں راتیں گزریں چاند تارے دل مہجور کی دنیا نہ بنے آشنا فصل بہاراں ہی نہیں ہے شاید کیا کہیں پھول کہ کیوں سبزۂ بیگانہ بنے میں تو ہوں شمع صفت سوز سراپا شبلیؔ جس کو جلنا نہیں آتا ہو وہ پروانہ بنے
क्यूँ मलामत का हदफ़ गर्दिश-ए-पैमाना बने लग़्ज़िश-ए-पा से मिरी का'बा-ओ-बुत-ख़ाना बने अक़्ल के बस की नहीं बख़िया-गिरी फूलों की दर्द जिस को हो गुलिस्ताँ का वो दीवाना बने लब-ए-हिक्मत से शब-ओ-रोज़ उजाले टपके तीरा-ज़ेहनी का मगर ये भी मुदावा न बने बे-सबब शौक़ नहीं माइल-ए-अफ़साना-गरी हर हक़ीक़त की ये ख़्वाहिश है कि अफ़्साना बने रुख़-ए-जानाँ के तसव्वुर ही में रातें गुज़रीं चाँद-तारे दिल-ए-महजूर की दुनिया न बने आश्ना फ़स्ल-ए-बहाराँ ही नहीं है शायद क्या कहीं फूल कि क्यूँ सब्ज़ा-ए-बेगाना बने मैं तो हूँ शम-ए-सिफ़त-सोज़ सरापा 'शिबली' जिस को जलना नहीं आता हो वो परवाना बने

More by Alqama Shibli
View all →"mujh ko auron se koi shikva nahin main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa saath apne saaya bhi apnaa nahin shauq-e-manzil hi hai meraa khizr-e-raah naqsh-e-paa har moD par miltaa nahin ho gayaa khun-e-hayaat ab yuun safed jaise meraa us se kuchh rishta nahin hai khayaal-e-khaam vo main ne jise pairahan alfaaz kaa bakhshaa nahin ab hai chehron par naqaab-e-maslahat koi chehra dil kaa aaina nahin kyon na ho shoala-ba-daaman zindagi kis taraf ab aag kaa dariyaa nahin phuul ki ik pankhuDi kahiye use zindagi ik barg-e-aavaara nahin zehn-e-'shibli' mein hai us ki guunj bhi vaqt ke honTon pe jo naghma nahin"
"main ne aaj ek tamaashaa dekhaa saaghar-e-chashm mein dariyaa dekhaa raat ik khvaab niraalaa dekhaa dosh par apnaa janaaza dekhaa puchhiye kuchh nahin kyaa kyaa dekhaa vaqt ne jo bhi dikhaayaa dekhaa khuun patthar se bhi ristaa dekhaa zindagi teraa saraapaa dekhaa qaid thiin dard ki sadiyaan jis mein meri qismat ne vo lamha dekhaa tishnagi hi jaise dariyaa se mili us ne qatre mein bhi dariyaa dekhaa haadse vaqt ke hain jis pe raqam kyaa kisi ne bhi vo chehra dekhaa umr-bhar dhuup mein yunhi taDpo tum ne kyon khvaab sahar kaa dekhaa so gayaa vaqt bhi mahtaab ke saath raat 'shibli' ko bhi tanhaa dekhaa"
"junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi denaa khudi bhi jis pe ho qurbaan vo be-khudi denaa na shor chaahiye dariyaa ki tund maujon kaa mire lahu ko samundar ki khaamushi denaa tu de na de mire lab ko shaguftagi gul ki jo de sake to shagufe ki bekali denaa shanaakht jis se zamaane mein aadmi ki hai ye iltijaa hai ki tu mujh ko vo khudi denaa jhukaa sake na miraa sar koi bhi qadmon par jo ho sake to mujhe tu vo sar-kashi denaa naqaab ulaT de jo baDh kar rukh-e-tamannaa se ye aarzu hai ki mujh ko vo tishnagi denaa nai jihaat se fan ko jo aashnaa kar de mire qalam ko khudaayaa vo kaj-ravi denaa"
"mujh ko auron se koi shikvaa nahin main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa saath apne saaya bhi apnaa nahin shauq-e-manzil hi hai meraa khizr-e-raah naqsh-e-paa har moD par miltaa nahin ho gayaa khun-e-hayaat ab yuun safed jaise meraa is se kuchh rishta nahin hai khayaal-e-khaam vo main ne jise pairahan alfaaz kaa bakhshaa nahin ab hai chehron par naqaab-e-maslahat koi chehra dil kaa aaina nahin kyuun na ho shoala-ba-daaman zindagi kis taraf ab aag kaa dariyaa nahin phuul ki ik pankhuDi kahiye use zindagi ik barg-e-aavaara nahin zehn-e-'shibli' mein hai us ki guunj bhi vaqt ke honTon pe jo naghma nahin"
"ye kyaa ki faqat apni hi tasvir banaao ai naqsh-garo vusat-e-fan kuchh to dikhaao khultaa nahin kyaa laala-o-gul soch rahe hain kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaraan ki havaao chhaa jaae na ehsaas pe zulmat shab-e-gham ki yaaro dil-e-sozaan ki na qindil bujhaao har subh mire khvaab se gul-guna talab hai har shaam ko zid hai ki mujhe ghaaza lagaao rangin hai daamaan-e-sahar kis ke lahu se khaamosh ho kyon daar-o-rasan kuchh to bataao ye farsh-nashin arsh-nashin to nahin 'shibli' sar dil ki bulandi hai na qadmon pe jhukaao"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"