SHAWORDS

main is kirdaar ko samjhaa nahin thaa — Ashok Goyal Ashok

"main is kirdaar ko samjhaa nahin thaa miraa chehra miraa apnaa nahin thaa tiri yaadon ke saae se guzar thaa main tanhaa ho ke bhi tanhaa nahin thaa nahin the aaine bhi aainon se samundar bhi samundar saa nahin thaa shajar par muntazir thi maut us ki parinda ab magar uDtaa nahin thaa khabar thi chaar din ki zindagi hai to ham ko maut kaa khaTkaa nahin thaa mohabbat kaa junun thaa sar mein mere koi mujh jaisaa divaana nahin thaa"
Urdu

میں اس کردار کو سمجھا نہیں تھا مرا چہرہ مرا اپنا نہیں تھا تری یادوں کے سائے سے گزر تھا میں تنہا ہو کے بھی تنہا نہیں تھا نہیں تھے آئنے بھی آئنوں سے سمندر بھی سمندر سا نہیں تھا شجر پر منتظر تھی موت اس کی پرندہ اب مگر اڑتا نہیں تھا خبر تھی چار دن کی زندگی ہے تو ہم کو موت کا کھٹکا نہیں تھا محبت کا جنوں تھا سر میں میرے کوئی مجھ جیسا دیوانہ نہیں تھا

Hindi

मैं इस किरदार को समझा नहीं था मिरा चेहरा मिरा अपना नहीं था तिरी यादों के साए से गुज़र था मैं तन्हा हो के भी तन्हा नहीं था नहीं थे आइने भी आइनों से समंदर भी समंदर सा नहीं था शजर पर मुंतज़िर थी मौत उस की परिंदा अब मगर उड़ता नहीं था ख़बर थी चार दिन की ज़िंदगी है तो हम को मौत का खटका नहीं था मोहब्बत का जुनूँ था सर में मेरे कोई मुझ जैसा दीवाना नहीं था

maiñ is kirdār ko samjhā nahīñ thā
Ashok Goyal Ashok
Ashok Goyal Ashok
Ashok Goyal Ashok
poet15 quotes

More by Ashok Goyal Ashok

View all →
Quote
"maut se kab najaat hai pyaare zindagi ko ye maat hai pyaare jis ne samjhaa vo miir ho gayaa hai aaina kaaenaat hai pyaare roz chehre badal ke khush hai tu ye to khud se hi ghaat hai pyaare tu jinhein shurvir samjhe hai buz-dilon ki ye zaat hai pyaare itnaa aasaan nahin ghazal kahnaa 'mir' 'ghaalib' ki zaat hai pyaare teraa kirdaar aaina ho jaae bas yahi to sabaat hai pyaare Duub jaa ishq ke samundar mein dekh phir kaun saath hai pyaare koi maqsad na koi manzil ho zindagi kyaa mamaat hai pyaare"
Ashok Goyal AshokAshok Goyal Ashok

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar