SHAWORDS

mire she'ron mein fankaari nahin hai — Farhat Ehsas

HomeFarhat EhsasGhazal
"mire she'ron mein fankaari nahin hai ki mujh mein itni hushyaari nahin hai davaa-e-maut kyuun lete ho itni agar jiine ki bimaari nahin hai badan phir se ugaa legi ye miTTi ki main ne jaan abhi haari nahin hai mohabbat hai hi itni saaf-o-saada ye meri sahl-angaari nahin hai ise bachchon ke haathon se uThaao ye duniyaa is qadar bhaari nahin hai main us patthar se Takraataa huun be-kaar zaraa bhi us mein chingaari nahin hai na kyuun sajda kare apne buton kaa ye sar masjid kaa darbaari nahin hai gayaa ye kah ke mujh se 'ishq kaa rog ki tujh ko shauq-e-bimaari nahin hai hamaaraa 'ishq karnaa jism ke saath 'ibaadat hai gunahgaari nahin hai ba-raah-e-jism hai saaraa tasavvuf badan suufi hai braham-zhaari nahin hai ye koi aur hogaa 'farhat-ehsaas' nahin ye bhi miri baari nahin hai"
Urdu

مرے شعروں میں فن کاری نہیں ہے کہ مجھ میں اتنی ہشیاری نہیں ہے دوائے موت کیوں لیتے ہو اتنی اگر جینے کی بیماری نہیں ہے بدن پھر سے اگا لے گی یہ مٹی کہ میں نے جاں ابھی ہاری نہیں ہے محبت ہے ہی اتنی صاف و سادہ یہ میری سہل انگاری نہیں ہے اسے بچوں کے ہاتھوں سے اٹھاؤ یہ دنیا اس قدر بھاری نہیں ہے میں اس پتھر سے ٹکراتا ہوں بے کار ذرا بھی اس میں چنگاری نہیں ہے نہ کیوں سجدہ کرے اپنے بتوں کا یہ سر مسجد کا درباری نہیں ہے گیا یہ کہہ کے مجھ سے عشق کا روگ کہ تجھ کو شوق بیماری نہیں ہے ہمارا عشق کرنا جسم کے ساتھ عبادت ہے گنہ گاری نہیں ہے براہ جسم ہے سارا تصوف بدن صوفی ہے برہمچاری نہیں ہے یہ کوئی اور ہوگا فرحتؔ احساس نہیں یہ بھی مری باری نہیں ہے

Hindi

मिरे शे'रों में फ़नकारी नहीं है कि मुझ में इतनी हुश्यारी नहीं है दवा-ए-मौत क्यूँ लेते हो इतनी अगर जीने की बीमारी नहीं है बदन फिर से उगा लेगी ये मिट्टी कि मैं ने जाँ अभी हारी नहीं है मोहब्बत है ही इतनी साफ़-ओ-सादा ये मेरी सहल-अँगारी नहीं है इसे बच्चों के हाथों से उठाओ ये दुनिया इस क़दर भारी नहीं है मैं उस पत्थर से टकराता हूँ बे-कार ज़रा भी उस में चिंगारी नहीं है न क्यूँ सज्दा करे अपने बुतों का ये सर मस्जिद का दरबारी नहीं है गया ये कह के मुझ से 'इश्क़ का रोग कि तुझ को शौक़-ए-बीमारी नहीं है हमारा 'इश्क़ करना जिस्म के साथ 'इबादत है गुनहगारी नहीं है ब-राह-ए-जिस्म है सारा तसव्वुफ़ बदन सूफ़ी है ब्रह्मचारी नहीं है ये कोई और होगा 'फ़रहत-एहसास' नहीं ये भी मिरी बारी नहीं है

mire she'roñ meñ fankārī nahīñ hai
Farhat Ehsas
Farhat Ehsas
Farhat Ehsas
poet286 quotes

More by Farhat Ehsas

View all →
Quote
"badan baandhe hue saanson ki rahdaari mein rahte hain ki ham har dam kahin jaane ki tayyaari mein rahte hain na hon aansu to ye aankhein bhali lagti nahin ham ko so aksar aap apni hi dil-aazaari mein rahte hain hamein maa'lum hai raunaq ye baazaaron ki jhuTi hai magar phir bhi fareb-e-husn-e-baazaari mein rahte hain ham ahl-e-'ishq phir ahl-e-havas se maat khaa baiThe vazifa-khvaar bazm-e-husn-e-darbaari mein rahte hain hamaare dil to hain masruf sarkaarein giraane mein badan taa'mil-e-ahkaamaat-e-sarkaari mein rahte hain dabe hain khaak mein kitne hi suraj chaand aur taare so ham apni zamin ki aasmaan-kaari mein rahte hain hamaari shaa'iri ik mustaqil holi kaa mausam hai hazaaron rang is lafzon ki pichkaari mein rahte hain ‘janaab-e-farhat-ehsaas' ab na shahri hain na sahraai musalsal darmiyaan-e-khvaab-o-be-daari mein rahte hain"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"pahle to zaraa saa haT ke dekhaa us shokh se phir lipaT ke dekhaa itni bhi buri na thi jo main ne duniyaa ko zaraa saa haT ke dekhaa dekhaa use us kaa ho ke aur phir kyaa farq paDegaa kaT ke dekhaa ham jama hue hi jaa rahe the aaraam milaa jo ghaT ke dekhaa bas ek hi khvaab thaa ki jis ko taa-umr ulaT-palaT ke dekhaa vo aur qarib aa gayaa thaa jab main ne zaraa simaT ke dekhaa phir dil ne mire gham aur khushi ko rassi ki tarah se baT ke dekhaa kal Duub rahaa thaa 'farhat-ehsaas' ham ne bhi tamaashaa DaT ke dekhaa"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"dabaa paDaa hai kahin dasht mein khazaana miraa tu kis talaash mein hai shahr mein divaana miraa tamaam raat hai aankhon se aansuon ki kashid tamaam raat khulaa hai sharaab-khaana miraa ye meri ruuh kaa jhagDaa thaa aasmaan ke saath bilaa-qusur badan ban gayaa nishaana miraa falak ke sar pe paDe hain meri zamin ke paanv mire sirhaane se unchaa hai paaitaana miraa main ek zakhm baraabar zamin pe rahtaa huun vo kah rahe hain ye qabza hai ghaasibaana miraa to aao ahl-e-jahaan is pe faisla kar lein makaan saaraa tumhaaraa darun-e-khaana miraa khud apne aap mein hai saari meri aamad-o-raft kahin se aanaa na ab hai kahin bhi jaanaa miraa kahaan kaa 'ishq havas tak bhi ho nahin sakti yahi rahegaa jo andaaz mujrimaana miraa bikherni hai jise zulf us kaa istiqbaal vabaal-e-shahr se khaali hai ek shaana miraa main khuub faaqa na kartaa to mar gayaa hotaa mire khilaaf saf-aaraa thaa aab-o-daana miraa kabhi khudaa kabhi insaan raah mein haail khud apne aap se rishta bhi ghaaebaana miraa kahin mire kisi lamhe se phir hui koi chuuk phir aate aate kahin rah gayaa zamaana miraa tire ghayaab ki khidmat mein saaraa meraa qusur vujud phir bhi vahi ghair-haaziraanaa miraa vo mere lafz ke donon suron se vaaqif hai kabhi bhi kaam na aayaa koi bahaana miraa"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"din ne itnaa jo marizaana banaa rakkhaa hai raat ko ham ne shifaa-khaana banaa rakkhaa hai intiqaam aisaa liyaa hai miri tanhaai ne shahr kaa shahr bayaabaana banaa rakkhaa hai khaak kaa khaana gharibaana-badan hai ki jise raunaq-e-ishq ne shaahaana banaa rakkhaa hai ham ko maalum hai khuub apni haqiqat so use usi unvaan kaa afsaana banaa rakkhaa hai mubtazil hone kaa aap apnaa maza hai varna ham ne bhi khud ko hakimaana banaa rakkhaa hai aadmi ho ki khudaa sab kaa baraabar hai vazn ishq ne ek hi paimaana banaa rakkhaa hai chaak kar kar ke hue tang to divaanon ne chaak ko ab ke garibaana banaa rakkhaa hai 'farhatullah' hai vo aql kaa putlaa jis ne farhat-ehsaas ko divaana banaa rakkhaa hai"
Farhat EhsasFarhat Ehsas
Quote
"ye khubaan shahr ke ham se bahut hushyaari karte hain hamein saada samajh kar khuub khush-guftaari karte hain baDi mushkil se toDe hain ye maa’mulaat-e-hijr aakhir so ik 'arsa huaa din mein hi shab-bedaari karte hain nahin paate dar-o-divaar mein ghar ki koi surat to ham ghar ke tasavvur mein dar-o-divaari karte hain kahaani jo karaati hai vahi to ham ko karnaa hai bhalaa ho yaa buraa ho ham to bas kirdaari karte hain hamein tayyaar hone ki zarurat hi nahin paDti ki saari zindagi marne ki hi tayyaari karte hain to ham qaanun-shikni ki tarah karte hain raat apni sahar se shaam tak har kaam jab sarkaari karte hain sharaabein to kalidein hain lahu ke qaid-khaanon ki so taale toDte hain aur dariyaa jaari karte hain sunaa hai tandurusti 'ishq mein achchhi nahin hoti chalo ji 'farhat-ehsaas' ab zaraa bimaari karte hain"
Farhat EhsasFarhat Ehsas

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri