SHAWORDS

mohabbaton kaa bhi andaaz taajiraana hai — Ejaz Ali Arshad

"mohabbaton kaa bhi andaaz taajiraana hai 'ajib rang mein Duubaa huaa zamaana hai kuchh aur vaqt tire shahr mein ganvaanaa hai aur is ke baa'd mujhe gaanv lauT jaanaa hai kabhi zabaan pe mohabbat kaa naam aayaa thaa bas itni baat pe dushman miraa zamaana hai tumhaaraa pyaar miri zindagi bane na bane magar mire liye jiine kaa ik bahaana hai 'ajib tarh guzaari hai zindagi main ne na dushmani hai kisi se na dostaana hai ham apne jhunD se bichhDe hue parinde hain na koi ghar hai hamaaraa na ab Thikaana hai jahaan fazaaon mein uDti thiin khushbuein 'arshad' vahaan havaaon mein ab khaak-e-aashiyaana hai"
Urdu

محبتوں کا بھی انداز تاجرانہ ہے عجیب رنگ میں ڈوبا ہوا زمانہ ہے کچھ اور وقت ترے شہر میں گنوانا ہے اور اس کے بعد مجھے گاؤں لوٹ جانا ہے کبھی زباں پہ محبت کا نام آیا تھا بس اتنی بات پہ دشمن مرا زمانہ ہے تمہارا پیار مری زندگی بنے نہ بنے مگر مرے لیے جینے کا اک بہانہ ہے عجیب طرح گزاری ہے زندگی میں نے نہ دشمنی ہے کسی سے نہ دوستانہ ہے ہم اپنے جھنڈ سے بچھڑے ہوئے پرندے ہیں نہ کوئی گھر ہے ہمارا نہ اب ٹھکانہ ہے جہاں فضاؤں میں اڑتی تھیں خوشبوئیں ارشدؔ وہاں ہواؤں میں اب خاک آشیانہ ہے

Hindi

मोहब्बतों का भी अंदाज़ ताजिराना है 'अजीब रंग में डूबा हुआ ज़माना है कुछ और वक़्त तिरे शहर में गँवाना है और इस के बा'द मुझे गाँव लौट जाना है कभी ज़बाँ पे मोहब्बत का नाम आया था बस इतनी बात पे दुश्मन मिरा ज़माना है तुम्हारा प्यार मिरी ज़िंदगी बने न बने मगर मिरे लिए जीने का इक बहाना है 'अजीब तरह गुज़ारी है ज़िंदगी मैं ने न दुश्मनी है किसी से न दोस्ताना है हम अपने झुण्ड से बिछड़े हुए परिंदे हैं न कोई घर है हमारा न अब ठिकाना है जहाँ फ़ज़ाओं में उड़ती थीं ख़ुशबुएँ 'अरशद' वहाँ हवाओं में अब ख़ाक-ए-आशियाना है

mohabbatoñ kā bhī andāz tājirāna hai
Ejaz Ali Arshad
Ejaz Ali Arshad
Ejaz Ali Arshad
poet15 quotes

More by Ejaz Ali Arshad

View all →
Quote
"shiddat-e-iztiraab mein aah na lab pe aae kyon zabt bhi ik fareb hai koi fareb khaae kyon 'ishq nahin to gham nahin gham nahin zindagi nahin 'ishq kaa rog paal ke kijiye haae haae kyon un ki vafaa kaa bhi savaal apni khudi kaa bhi khayaal aise mein apnaa dard-e-dil koi bhalaa sunaae kyon dil ko tiri talaash hai aankh ko teri justuju din ko sukun kyon mile raat ko niind aae kyon maanaa ki mujh se hai gila kyon ho raqib ko pata tum hi bataao ghair tak ghar ki ye baat jaae kyon yaas ke baadalon mein gar ho na umiid ki kiran hans ke fareb-e-zindagi dahr mein koi khaae kyon 'arshad'-e-be-navaa kaa ghar aur idhar aap kaa guzar khair to hai bataaiye meri gali mein aae kyon"
Ejaz Ali ArshadEjaz Ali Arshad
Quote
"sho'la-e-'ishq ko khud baDh ke havaa di main ne aag khud daaman-e-hasti mein lagaa di main ne shab-e-furqat ki siyaahi jo zaraa tez hui sham' yaadon ki tiri dil mein jalaa di main ne bas-ki thi kaifiyat-e-zauq-e-mohabbat bhi fareb kab ye samjhaa ki jab ik 'umr ganvaa di main ne mujh se baDh kar koi paaband-e-vafaa kyaa hogaa zer-e-shamshir bhi qaatil ko du'aa di main ne us ne bhule se bhi puchhaa na kabhi haal miraa zindagi jis ke tasavvur mein luTaa di main ne lauT kar aai na aavaaz na aayaa koi is kharaabe mein kai baar sadaa di main ne phir dhaDak kar dil-e-'arshad' ye sadaa detaa hai dekh lo vaqt ki raftaar baDhaa di main ne"
Ejaz Ali ArshadEjaz Ali Arshad
Quote
"laakh mohabbat un se Thahri jaan ke Thokar khaae kaun jin galiyon mein patthar barsein un galiyon mein jaae kaun apne jeb-o-daaman se jab jangal jangal phuul khilein kah de phir insaaf se koi gulshan gulshan jaae kaun 'ishq se baDh kar aur bhi laakhon kaam paDe hain duniyaa mein lekin jo hain 'ishq ke maare un ko ye samjhaae kaun rishte naate is duniyaa mein sab daulat se hote hain ham to hain iflaas ke maare ham se milne aae kaun un ki mahfil mein sab apnaa apnaa qissa kahte hain lekin jo chup-chup rahte hain un kaa haal bataae kaun khel ke do hi rukh hote hain jiit sahi yaa haar sahi ho jaaegaa jo honaa hai dil de kar pachhtaae kaun raat ko din ki aas mein roein din nikle to din bhar soein aise naa-daanon ko 'arshad' bolo ab samjhaae kaun"
Ejaz Ali ArshadEjaz Ali Arshad
Quote
"pahle bachpan le gayaa phir naujavaani le gayaa vaqt apne saath sab yaadein suhaani le gayaa jaane vaalaa ghar se saari shaadmaani le gayaa titliyon ke rang phulon ki javaani le gayaa log us ki baat pe kaise na karte e'tibaar jab gayaa baazaar mein taaza kahaani le gayaa kitne rishton kaa taqaddus kitne jazbon kaa khulus ye nayaa culture kai chizein puraani le gayaa vo miri taaqat to kyaa bantaa khizaan ke daur mein haan mire kamzor lamhon ki kahaani le gayaa raat-bhar vo mere jazbon ko zabaan detaa rahaa subh ko 'arshad' miri sho'la-bayaani le gayaa"
Ejaz Ali ArshadEjaz Ali Arshad
Quote
"bas ek main hi pareshaan huun raushni ke liye nahin to ab ye zarurat nahin kisi ke liye main jaantaa huun ki sab khvaab sach nahin hote magar ye khvaab zaruri hain zindagi ke liye miri nazar mein bahut duur tak andheraa hai tumhaare saath chalungaa main raushni ke liye bane hue hain tamaasha sabhi tamaashaai inhein mili hai sazaa in ki be-hisi ke liye main sochtaa huun akele hi kaaT luun ye safar yahaan 'ajib si shartein hain dosti ke liye siyaah raat bhi aai usi ke hisse mein charaagh jis ne jalaayaa thaa raushni ke liye vahi misaal hain ab khud-numaai ki 'arshad' jo be-misaal the kal apni saadgi ke liye"
Ejaz Ali ArshadEjaz Ali Arshad

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar