"lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo bulbul kaa Dhang rang-e-chaman dekhte chalo baankon ko baankpan ko milaao na khaak mein tan tan ke yuun na apnaa badan dekhte chalo jaate agar ho kucha-e-qaatil ki sair ko kapDaa bhi thoDaa bahr-e-kafan dekhte chalo chashm-e-butaan-e-dahr ki aafat hain shokhiyaan sahraa-e-husn ke bhi hiran dekhte chalo kyaa kar rahi hai pesha-e-mashshaatgi bahaar aaraaish-e-urus-e-chaman dekhte chalo karti hai raah-e-shauq mein kis kis ko paaemaal raftaar-e-yaar ke bhi chalan dekhte chalo aae ho said-gaah-e-jahaan mein to ai 'qalaq' tarz-e-shikaar-e-tir-fagan dekhte chalo"
partav-e-rukh kaa tire dil mein guzar rahtaa hai — Asad Ali Khan Qalaq
"partav-e-rukh kaa tire dil mein guzar rahtaa hai saath aaine ke aaine kaa ghar rahtaa hai aaj-kal josh pe ye dida-e-tar rahtaa hai mardum-e-shahr ko tufaan kaa Dar rahtaa hai qatl-e-ushshaaq unhein madd-e-nazar rahtaa hai nimcha aaTh-pahr zeb-e-kamar rahtaa hai soz-e-ulfat kaa hai parvaana dil-e-bazm apnaa ye vo pamba hai nihaan jis mein sharar rahtaa hai bazm-e-ulfat mein qadam rakhte hain jo log apnaa shama ki tarah kaf-e-dast pe sar rahtaa hai chashm-e-maigun se hai saaqi ki mohabbat jis ko nashsha-e-mai mein vo chor aaTh-pahr rahtaa hai qaul-o-iqraar pe kyuun chhoD diyaa dahan-e-yaar is nadaamat se garebaan mein sar rahtaa hai ab to dam-bhar unhein fursat nahin aaraaish se aaina aaTh-pahr pesh-e-nazar rahtaa hai kushta-e-tegh-e-nigah taalib-e-didaar rahein chashm-e-jaanaan ko ye manzur-e-nazar rahtaa hai ye bhi hain us falak-e-husn ke juuyaa miri tarh chaand suraj ko jo din-raat safar rahtaa hai jab bigaDte hain to manne kaa vo lete nahin naam pahron apnaa qadam-e-yaar pe sar rahtaa hai belaa baaTeinge savaari mein kisi gul ke ye kyaa ghunchon ki muTThiyon mein kis liye zar rahtaa hai main vo divaana huun jab fasl-e-bahaar aati hai mere viraane mein pariyon kaa guzar rahtaa hai vasl ki shab bhi nahin chain se kaTne paati har-dam aazurdagi-e-yaar kaa Dar rahtaa hai dekhne vaale samajhte hain abas taar-e-nazar meri aankhon mein tiraa mu-e-kamar rahtaa hai ghair ke bas mein 'qalaq' kyuun na ho vo sim-badan qaabu-e-yaar mein ganjina-e-zar rahtaa hai"
پرتو رخ کا ترے دل میں گزر رہتا ہے ساتھ آئینے کے آئینے کا گھر رہتا ہے آج کل جوش پہ یہ دیدۂ تر رہتا ہے مردم شہر کو طوفان کا ڈر رہتا ہے قتل عشاق انہیں مد نظر رہتا ہے نیمچہ آٹھ پہر زیب کمر رہتا ہے سوز الفت کا ہے پروانہ دل بزم اپنا یہ وہ پنبہ ہے نہاں جس میں شرر رہتا ہے بزم الفت میں قدم رکھتے ہیں جو لوگ اپنا شمع کی طرح کف دست پہ سر رہتا ہے چشم میگوں سے ہے ساقی کی محبت جس کو نشۂ مے میں وہ چور آٹھ پہر رہتا ہے قول و اقرار پہ کیوں چھوڑ دیا دہن یار اس ندامت سے گریبان میں سر رہتا ہے اب تو دم بھر انہیں فرصت نہیں آرائش سے آئنہ آٹھ پہر پیش نظر رہتا ہے کشتۂ تیغ نگہ طالب دیدار رہیں چشم جاناں کو یہ منظور نظر رہتا ہے یہ بھی ہیں اس فلک حسن کے جویا مری طرح چاند سورج کو جو دن رات سفر رہتا ہے جب بگڑتے ہیں تو مننے کا وہ لیتے نہیں نام پہروں اپنا قدم یار پہ سر رہتا ہے بیلا باٹیں گے سواری میں کسی گل کے یہ کیا غنچوں کی مٹھیوں میں کس لیے زر رہتا ہے میں وہ دیوانہ ہوں جب فصل بہار آتی ہے میرے ویرانے میں پریوں کا گزر رہتا ہے وصل کی شب بھی نہیں چین سے کٹنے پاتی ہر دم آرزدگئ یار کا ڈر رہتا ہے دیکھنے والے سمجھتے ہیں عبث تار نظر میری آنکھوں میں ترا موئے کمر رہتا ہے غیر کے بس میں قلقؔ کیوں نہ ہو وہ سیم بدن قابوئے یار میں گنجینۂ زر رہتا ہے
परतव-ए-रुख़ का तिरे दिल में गुज़र रहता है साथ आईने के आईने का घर रहता है आज-कल जोश पे ये दीदा-ए-तर रहता है मर्दुम-ए-शहर को तूफ़ान का डर रहता है क़त्ल-ए-उश्शाक़ उन्हें मद्द-ए-नज़र रहता है नीमचा आठ-पहर ज़ेब-ए-कमर रहता है सोज़-ए-उल्फ़त का है परवाना दिल-ए-बज़्म अपना ये वो पम्बा है निहाँ जिस में शरर रहता है बज़्म-ए-उल्फ़त में क़दम रखते हैं जो लोग अपना शम्अ' की तरह कफ़-ए-दस्त पे सर रहता है चश्म-ए-मयगूँ से है साक़ी की मोहब्बत जिस को नश्शा-ए-मय में वो चोर आठ-पहर रहता है क़ौल-ओ-इक़रार पे क्यूँ छोड़ दिया दहन-ए-यार इस नदामत से गरेबान में सर रहता है अब तो दम-भर उन्हें फ़ुर्सत नहीं आराइश से आइना आठ-पहर पेश-ए-नज़र रहता है कुश्ता-ए-तेग़-ए-निगह तालिब-ए-दीदार रहें चश्म-ए-जानाँ को ये मंज़ूर-ए-नज़र रहता है ये भी हैं उस फ़लक-ए-हुस्न के जूया मिरी तर्ह चाँद सूरज को जो दिन-रात सफ़र रहता है जब बिगड़ते हैं तो मनने का वो लेते नहीं नाम पहरों अपना क़दम-ए-यार पे सर रहता है बेला बाटेंगे सवारी में किसी गुल के ये क्या ग़ुंचों की मुट्ठियों में किस लिए ज़र रहता है मैं वो दीवाना हूँ जब फ़स्ल-ए-बहार आती है मेरे वीराने में परियों का गुज़र रहता है वस्ल की शब भी नहीं चैन से कटने पाती हर-दम आज़ुर्दगी-ए-यार का डर रहता है देखने वाले समझते हैं अबस तार-ए-नज़र मेरी आँखों में तिरा मू-ए-कमर रहता है ग़ैर के बस में 'क़लक़' क्यूँ न हो वो सीम-बदन क़ाबू-ए-यार में गंजीना-ए-ज़र रहता है
More by Asad Ali Khan Qalaq
View all →"partav paDaa jo aariz-e-gulgun-e-yaar kaa uTThaa tanur-e-laala se tufaan bahaar kaa ham-chashm laala hai jo dil-e-daagh-daar kaa nargis ko ham saa aariza hai intizaar kaa likhtaa hai vasf shoala-e-rukhsaar-e-yaar kaa jaa-e-varaq ho haath mein pattaa chinaar kaa bimaar-e-'ishq huun lab-o-dandaan-e-yaar kaa nuskhe mein mere chaahiye sharbat anaar kaa rishte ki tarah se dur-e-dandaan kaa tere zaar saakin hai kucha-e-guhar-e-aab-daar kaa aasaar-e-ishq-e-khaak se bhi apne hain 'ayaan be-vajh rang zard nahin hai ghubaar kaa har zarra apni khaak kaa hai chashm-e-intizaar yaarab idhar bhi ho guzar us shahsavaar kaa ham 'aasiyon ko baad-e-fanaa bhi ye khauf hai takhta ulaT na jaae zamin-e-mazaar kaa kaliyaan talak na nikli thiin jab se asiir huun dekhaa mazaa na kuchh chaman-e-rozgaar kaa chashmaan-e-yaar karne lagin hain dilon ko said in aahuon ko shauq huaa hai shikaar kaa vo dil-jale hain shoala-e-javvaala ban gayaa uTThaa jo gard-e-baad hamaare ghubaar kaa yaad-e-mizha ne baagh-e-dil-e-daagh-daar mein khaTkaa lagaa diyaa khalish-e-nok-e-khaar kaa kushta huun ek tark ke tir-e-nigaah kaa andaaz-e-murgh dil mein hai zakhmi shikaar kaa rakht-e-safed surat-e-minaa-e-mai hai surkh kyaa rang phuuT niklaa hai andaam-e-yaar kaa phulon ki jaa pyaala ho labrez phuul se tiijaa hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-khvaar kaa"
"hain tegh-e-naaz-e-yaar ke bismil alag alag siine mein hain tapaan jigar-o-dil alag alag qaatil to rashk dekh zaraa apne kushton kaa maqtal mein bhi taDapte hain bismil alag alag kyaa intizaam hai mire lailaa-jamaal kaa majnun ravaan hain sab pas-e-mahmil alag alag dekho bashar mein sanat-e-khallaaq-e-rozgaar sab ek hain magar hai shamaail alag alag farmaate hain milaap kaa kartaa huun jab savaal tu baat karne ke nahin qaabil alag alag ik shefta hai zulf kaa ik mubtalaa-e-rukh hain shaikh-o-barhaman tire qaail alag alag mere tumhaare bulbul-o-gul munh chaDheinge kyaa donon ko kar chukaa huun main qaail alag alag makr-o-nifaaq 'ishq se muddat talak rahaa main dil se aur mujh se miraa dil alag alag taa ho tamiz lazzat-e-baadaam-o-shahd mein boson kaa chashm-o-lab ke huun saail alag alag kis kis ko duun main sakht musibat mein jaan hai rukhsaar-o-zulf maangte hain dil alag alag kyaa mehr-o-maah kyaa gul-o-shamshaad aaina sab ho chuke hain tere muqaabil alag alag yaktaa tu vo hai momin-o-kaafir yahud-o-gabr vahdat ke tere sab hain ye qaail alag alag paa-e-nigaah-e-ahl-e-nazar ke paDe hain niil rukhsaar-e-naaznin pe nahin til alag alag aage to saath rahte the ham haala saan par ab rahtaa hai ham se vo mah-e-kaamil alag alag andaaz-o-naaz-o-ghamza-o-shokhi-o-kajravi hain ek mere dam ke ye qaatil alag alag qabze pe haath rakh ke 'qalaq' ne milaai aankh kal har raqib se sar-e-mahfil alag alag"
"ham to hon dil se duur rahein paas aur log sunghein gul-e-ezaar ki bu-baas aur log vaa'iz hamein Daraa na vafur-e-gunaah se us ke karam se hote hain be-aas aur log saudaa-e-ishq yaan to hai sar mein bharaa huaa naam-e-junun se karte hain visvaas aur log aazaad-gaan-e-ishq har ik haal mein hain shaad honge asir-o-ranj-o-gham-o-yaas aur log hain ser boriyaa-e-tavakkul ke faaqa-mast hote hain muztarib dam-e-iflaas aur log yaan hai faqat havas dur-e-dandaan ke diid ki khaate hain us ke daanton pe almaas aur log sanjog ek apnaa tumhaaraa azal se hai puchhein brahmanon se buto raas aur log uTThe fanaa o ek na ik kyaa baiid hai ab baiThne lage hain tire paas aur log us aab-e-laal par kabhi ham bhi muhit the lab chuus kar bujhaae hain ab pyaas aur log ham to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne paaein roz aaein jaaein surat-e-anfaas aur log apne nasib mein to na ho aab-e-khizr-e-lab sairaab hon ba-surat-e-ilyaas aur log divaan mein mire nahin bharti ke aise sher bharte hain jaise safha-e-qirtaas aur log vo bevafaa karegaa miri qadr kyaa 'qalaq' karte hain apne 'aashiqon kaa paas aur log"
"gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-daagh-daar dekh ai jaan khaana-e-baagh ki aa kar bahaar dekh pachhtaaegaa jo haath se tu khoegaa hamein ham tujh se saaf kahte hain o bad-shiaar dekh main kyaa vahaan pe gor tujhe de abhi javaab turbat pe meri aa ke zaraa tu pukaar dekh baahar hon apne jaame se gul bulbulein to kyaa gulshan mein imtihaan ko poshaak utaar dekh ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq mu-e-miyaan milaa ke miraa jism-e-zaar dekh baad-e-fanaa bhi vaa rahin aankhein to aayaa tu vaa'da-khilaafi apni miraa intizaar dekh hai nur-e-husn maane-e-didaar-e-ru-e-yaar aankhein ye kah rahi hain use baar baar dekh tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukaae huun apne sitam ko dekh miraa inkisaar dekh darpai hue hain jaan ke imaan to le chuke but karte hain sitam mire parvardigaar dekh panjon ke bal zamin pe na chal baankpan ko chhoD maanind-e-naqsh-e-paa hai ye naa-paaedaar dekh dikhlaa de miinh barasne mein bijli kaa kaundnaa hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-baar dekh kotaah 'umr ho gai aur ye na kam hui ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizaar dekh bad-vaza ham ko kah ke banaa nek tu che khush atvaar apne dekh hamaaraa shi'aar dekh bijli giraai ghair siyah-ru par ai 'qalaq' taasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qaraar dekh"
"saaf baaton se ho gayaa maalum hote ho matlab-aashnaa maalum kushta tegh-e-nigah se kijiyegaa chashm-o-abru se ho gayaa maalum ibtidaa ne mohabbat-e-dil ki ye na thi ham ko intihaa maalum kuchh dahan hi nahin hai vo naapaid kamar-e-yaar bhi hai naa-maalum dar tak us ke miri rasaai ho tujh se ai bakht-e-naa-rasaa maalum jab kahaa roke tujh pe marte hain hans ke bolaa vo but khudaa-maalum mehrbaan aaj-kal hai vo be-mehr us mein hoti hai kuchh duaa maalum tum sukhan-saaz ho baDe ai jaan tarz-e-taqrir se huaa maalum jab muamme mein zikr-e-vasl kiyaa bolaa matlab na kuchh huaa maalum bad-gumaan dukht-e-raz se vaaiz ho ham ko hoti hai paarsaa maalum le ke dil vo karegaa bedardi ye na Dhang us kaa qabl thaa maalum qaabil-e-ishq ye hasin nahin in daghaa-baazon se vafaa maalum jab kahaa main ne o taghaaful-kesh haal hai mere ishq kaa maalum misl-e-aaina hairati huun qadim bolaa laakhon hain aise kyaa maalum haan magar ham ko dekhaa to hai kahin hote ho surat-aashnaa maalum saabiqa jab tak ai 'qalaq' na paDe haal insaan kaa ho kyaa maalum"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"