SHAWORDS

pilaa saaqiyaa arghavaani sharaab — Ameer Minai

HomeAmeer MinaiGhazal
"pilaa saaqiyaa arghavaani sharaab ki piiri mein de naujavaani sharaab vo shoala hai saaqi ki ranjak ki tarah uDaa deti hai naa-tavaani sharaab kahaan baada-e-aish taqdir mein piyun main to ho jaae paani sharaab na laayaa hai shisha na jaam-o-subu pilaataa hai saaqi zabaani sharaab kahaan aql-e-barnaa kahaan aql-e-pir nae se hai behtar puraani sharaab mire chehra-e-zard ke aks se hui saaqiyaa zaafraani sharaab hue mast dekhaa jo phulon kaa rang piyaalon mein thi arghavaani sharaab kahaan chashma-e-khizr kaise khizar khizar hai miri zindagaani sharaab khizar huun agar main to jaa kar piyun sar-e-chashma-e-zindagaani sharaab gulistaan hai phulon se kyaa laal laal chale saaqiyaa arghavaani sharaab ajab saaqiyaa gandumi rang hai ki partav se banti hai dhaani sharaab rahe taaq par paarsaai 'amir' pilaae jo vo yaar-e-jaani sharaab"
Urdu

پلا ساقیا ارغوانی شراب کہ پیری میں دے نوجوانی شراب وہ شعلہ ہے ساقی کہ رنجک کی طرح اڑا دیتی ہے ناتوانی شراب کہاں بادۂ عیش تقدیر میں پیوں میں تو ہو جائے پانی شراب نہ لایا ہے شیشہ نہ جام و سبو پلاتا ہے ساقی زبانی شراب کہاں عقل برنا کہاں عقل پیر نئے سے ہے بہتر پرانی شراب مرے چہرۂ زرد کے عکس سے ہوئی ساقیا زعفرانی شراب ہوئے مست دیکھا جو پھولوں کا رنگ پیالوں میں تھی ارغوانی شراب کہاں چشمۂ خضر کیسے خضر خضر ہے مری زندگانی شراب خضر ہوں اگر میں تو جا کر پیوں سر چشمۂ زندگانی شراب گلستاں ہے پھولوں سے کیا لال لال چلے ساقیا ارغوانی شراب عجب ساقیا گندمی رنگ ہے کہ پرتو سے بنتی ہے دھانی شراب رہے طاق پر پارسائی امیرؔ پلائے جو وہ یار جانی شراب

Hindi

पिला साक़िया अर्ग़वानी शराब कि पीरी में दे नौजवानी शराब वो शोला है साक़ी कि रंजक की तरह उड़ा देती है ना-तवानी शराब कहाँ बादा-ए-ऐश तक़दीर में पियूँ मैं तो हो जाए पानी शराब न लाया है शीशा न जाम-ओ-सुबू पिलाता है साक़ी ज़बानी शराब कहाँ अक़्ल-ए-बर्ना कहाँ अक़्ल-ए-पीर नए से है बेहतर पुरानी शराब मिरे चेहरा-ए-ज़र्द के अक्स से हुई साक़िया ज़ाफ़रानी शराब हुए मस्त देखा जो फूलों का रंग पियालों में थी अर्ग़वानी शराब कहाँ चश्मा-ए-ख़िज़्र कैसे ख़िज़र ख़िज़र है मिरी ज़िंदगानी शराब ख़िज़र हूँ अगर मैं तो जा कर पियूँ सर-ए-चश्मा-ए-ज़िंदगानी शराब गुलिस्ताँ है फूलों से क्या लाल लाल चले साक़िया अर्ग़वानी शराब अजब साक़िया गंदुमी रंग है कि परतव से बनती है धानी शराब रहे ताक़ पर पारसाई 'अमीर' पिलाए जो वो यार-ए-जानी शराब

pilā sāqiyā arġhavānī sharāb
Ameer Minai
Ameer Minai
Ameer Minai
poet169 quotes

More by Ameer Minai

View all →
Quote
"firaaq-e-yaar ne bechain mujh ko raat bhar rakkhaa kabhi takiya idhar rakkhaa kabhi takiya idhar rakkhaa shikast-e-dil kaa baaqi ham ne ghurbat mein asar rakhaa likhaa ahl-e-vatan ko khat to ik gosha katar rakkhaa baraabar aaine ke bhi na samjhe qadr vo dil ki ise zer-e-qadam rakkhaa use pesh-e-nazar rakkhaa miTaae dida-o-dil donon mere ashk-e-khunin ne 'ajab ye tifl abtar thaa na ghar rakkhaa na dar rakkhaa tumhaare sang-e-dar kaa ek TukDaa bhi jo haath aayaa aziiz aisaa kiyaa mar kar use chhaati pe dhar rakkhaa jinaan mein saath apne kyuun na le jaaungaa naaseh ko suluk aisaa hi mere saath hai hazrat ne kar rakkhaa na ki kis ne sifaarish meri vaqt-e-qatl qaatil se kamaan ne haath joDe tegh ne qadmon pe sar rakkhaa ghazab barse vo mere aate hi maa'lum hotaa hai jagah khaali jo paai yaar ko ghairon ne bhar rakkhaa baDaa ehsaan hai mere sar pe us ki laghzish-e-paa kaa ki is ne be-tahaashaa haath mere dosh par rakkhaa zamin mein daana-e-gandum sadaf mein ham hue gauhar hamaare ijz ne har maarka mein ham ko dar rakkhaa tire har naqsh-e-paa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe jahaan tu ne qadam rakkhaa vahaan main ne bhi sar rakkhaa amiir achchhaa shagun-e-mai kiyaa saaqi ki furqat mein jo barsaa abr-e-rahmat jaa-e-mai shishon mein bhar rakkhaa"
Ameer MinaiAmeer Minai
Quote
"ham loTte hain vo so rahe hain kyaa naaz-o-niyaaz ho rahe hain kyaa rang jahaan mein ho rahe hain do hanste hain chaar ro rahe hain duniyaa se alag jo ho rahe hain takiyon mein maze se so rahe hain pahunchi hai hamaari ab ye haalat jo hanste the vo bhi ro rahe hain tanhaa tah-e-khaak bhi nahin ham hasrat ke saath so rahe hain sote hain lahad mein sone vaale jo jaagte hain vo ro rahe hain arbaab-e-kamaal chal base sab sau mein kahin ek do rahe hain palkon ki jhapak dikhaa ke ye but dil mein nashtar chubho rahe hain mujh daagh-nasib ki lahad par laale kaa vo biij bo rahe hain piiri mein bhi ham hazaar afsos bachpan ki niind sau rahe hain daaman se ham apne daagh-e-hasti aab-e-khanjar se do rahe hain mein jaag rahaa huun a shab-e-gham par mere nasib sau rahe hain roeinge hamein rulaane vaale Dubeinge vo jo Dubo rahe hain ai hashr madine mein na kar shor chup chup sarkaar sau rahe hain aaine pe bhi kaDi nigaahein kis par ye itaab ho rahe hain bhaari hai jo motiyon kaa maalaa aaTh aaTh aansu vo ro rahe hain dil chhin ke ho gae hain ghaafil fitne vo jagaa ke sau rahe hain hai ghair ke ghar jo in ki daavat ham jaan se haath dho rahe hain sad shukr khayaal hai usi kaa ham jis se lipaT ke sau rahe hain ho jaaein na khushk daagh ke phuul aansu un ko bhigo rahe hain aaegi na phir ke umr-e-rafta ham muft mein jaan kho rahe hain kyaa girya-e-be-asar se haasil is rone pe ham to ro rahe hain fariyaad ki naakhudaa-e-kashti kashti ko miri Dubo rahe hain kyon karte hain gham-gusaar taklif aansu mire munh ko dho rahe hain mahfil barkhaast hai patange rukhsat shamon se ho rahe hain hai kuuch kaa vaqt aasmaan par taare kahin naam ko rahe hain un ki bhi numud hai koi dam vo bhi na raheinge jo rahe hain duniyaa kaa ye rang aur ham ko kuchh hosh nahin hai so rahe hain Thahro dam-e-nazaa do ghaDi aur do chaar nafas hi to rahe hain phuul un ko pinhaa pinhaa ke aghyaar kaanTe mire haq mein bo rahe hain zaanu pe 'amir' sar ko rakkhe pahron guzre ki ro rahe hain"
Ameer MinaiAmeer Minai
Quote
"haTaao aaina ummid-vaar ham bhi hain tumhaare dekhne vaalon mein yaar ham bhi hain taDap ke ruuh ye kahti hai hijr-e-jaanaan mein ki tere saath dil-e-be-qaraar ham bhi hain rahe dimaagh agar aasmaan pe duur nahin ki tere kuche mein mast-e-ghubaar ham bhi hain kaho ki nakhl-e-chaman ham se sar-kashi na karein unhin ki tarah se baagh-o-bahaar ham bhi hain hamaare aage zaraa ho samajh ke zamzama-sanj ki ek naghma-saraa ai hazaar ham bhi hain kahaan tak aaine mein dekh-bhaal idhar dekho ki ik nigaah ke ummid-vaar ham bhi hain sharaab munh se lagaate nahin hain ai zaahid firaaq-e-yaar mein parhez-gaar ham bhi hain hamaaraa naam bhi likh lo jo hai qalam jaari qadim aap ke khidmat-guzaar ham bhi hain humaa hain gird miri haDDiyon ke aaTh pahr sag aa ke kahte hain ummid-vaar ham bhi hain jo laDkhaDaa ke gire tu qadam pe saaqi ke 'amir' mast nahin hoshyaar ham bhi hain"
Ameer MinaiAmeer Minai
Quote
"hai khamoshi zulm-charkh-e-dev-paikar kaa javaab aadmi hotaa to ham dete baraabar kaa javaab jo bagulaa dasht-e-ghurbat mein uThaa samjhaa ye main karti hai taa'mir divaani mire ghar kaa javaab saath khanjar ke chalegi vaqt-e-zabh apni zabaan jaan dene vaale dete hain baraabar kaa javaab sajda kartaa huun jo main Thokar lagaataa hai vo but paanv us kaa baDh ke detaa hai mire sar kaa javaab abr ke TukDe na uljhein meri mauj-e-ashk se khushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar kaa javaab vo khinchaa thaa main bhi khinch rahtaa to banti kis tarah sar jhukaa detaa thaa qaatil tere khanjar kaa javaab jite-ji mumkin nahin us shokh kaa khat dekhnaa baa'd mere aaegaa mere muqaddar kaa javaab shaikh kahtaa hai brahman ko brahman us ko sakht kaa'ba o but-khaana mein patthar hai patthar kaa javaab roz dikhlaataa hai gardun kaisi kaisi suratein but-taraashi mein hai ye kaafir bhi aazar kaa javaab har jagah qabr-e-gadaa takiye mein har jaa gor-e-shaah ek ghar is shahr mein hai dusre ghar kaa javaab jalva-gar hai nur-e-haq hone se yaktaai 'amir' saaya bhi hotaa agar hotaa payambar kaa javaab"
Ameer MinaiAmeer Minai
Quote
"gale mein haath the shab us pari se raahein thiin sahar hui to vo aankhein na vo nigaahein thiin nikal ke chehre pe maidaan saaf khat ne kiyaa kabhi ye shahr thaa aisaa ki band raahein thiin firaaq mein tire aashiq ko jaa ke kal dekhaa ki vo to hech thaa kuchh ashk the kuchh aahein thiin bagule ab hain ki ghurbat hai gor-e-shaahan par saron pe chatr jilau mein kabhi sipaahein thiin hazaaron loT gae kal uThi jo vo chilman khadang mu-e-mizha barchhiyaan nigaahein thiin kiyaa ye shauq ne andhaa mujhe na sujhaa kuchh vagarna rabt ki us se hazaar raahein thiin ye zoaf hai ki nikalti nahin hain ab dil se kabhi falak se bhi unchi hamaari aahein thiin jigar mein hijr ki kal chubh rahi thiin kuchh faansein magar jo ghaur se dekhaa tiri nigaahein thiin pahunch gae sar-e-manzil chale jo chaal nai unhin mein pher thaa dekhi hui jo raahein thiin falak ke daur se duniyaa badal gai varna jahaan bane hain ye mai-khaane khaan-qaahein thiin ye zoaf ab hai ki hilnaa giraan hai qadmon ko subuk-ravi mein kabhi in ko dastgaahein thiin mushaaere se hasin kyuun na chhin le jaate rubaaiyaan miri chaugoshiya kulaahein thiin hasin zar ke hain taalib ki ab hain gird-e-'amir' gharib ham the to ye pyaar thaa na chaahein thiin"
Ameer MinaiAmeer Minai
Quote
"jab se bulbul tu ne do tinke liye TuTti hain bijliyaan in ke liye hai javaani khud javaani kaa singaar saadgi gahna hai is sin ke liye kaun viraane mein dekhegaa bahaar phuul jangal mein khile kin ke liye saari duniyaa ke hain vo mere sivaa main ne duniyaa chhoD di jin ke liye baaghbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke liye sab hasin hain zaahidon ko naa-pasand ab koi huur aaegi in ke liye vasl kaa din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke liye subh kaa sonaa jo haath aataa 'amir' bhejte tohfa moazzin ke liye"
Ameer MinaiAmeer Minai

More on Gul

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar