SHAWORDS

qaafila utraa sahraa mein aur pesh vahi manzar aae — Ejaz Gul

HomeEjaz GulGhazal
"qaafila utraa sahraa mein aur pesh vahi manzar aae raakh uDi khema-gaahon ki khuun mein luThDe sar aae galiyon mein ghamsaan kaa ran hai maarka dast-ba-dast hai yaan jise bhi khud par naaz bahut ho aangan se baahar aae ik aaseb saa lahraataa hai basti ki shah-raahon par shaam Dhale jo ghar se nikle lauT ke phir nahin ghar aae dinon mahinon aankhein roiin nai ruton ki khvaahish mein rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae ek diyaa raushan rakhnaa divaar pe chaand sitaaron saa abr uThe baarish barse yaa havaaon kaa lashkar aae varna kis ne paar kiyaa thaa rasta bhari dopahron kaa kuchh ham se divaane the jo tai ye masaafat kar aae"
Urdu

قافلہ اترا صحرا میں اور پیش وہی منظر آئے راکھ اڑی خیمہ گاہوں کی خون میں لتھڑے سر آئے گلیوں میں گھمسان کا رن ہے معرکہ دست بدست ہے یاں جسے بھی خود پر ناز بہت ہو آنگن سے باہر آئے اک آسیب سا لہراتا ہے بستی کی شہ راہوں پر شام ڈھلے جو گھر سے نکلے لوٹ کے پھر نہیں گھر آئے دنوں مہینوں آنکھیں روئیں نئی رتوں کی خواہش میں رت بدلی تو سوکھے پتے دہلیزوں میں در آئے ایک دیا روشن رکھنا دیوار پہ چاند ستاروں سا ابر اٹھے بارش برسے یا ہواؤں کا لشکر آئے ورنہ کس نے پار کیا تھا رستہ بھری دوپہروں کا کچھ ہم سے دیوانے تھے جو طے یہ مسافت کر آئے

Hindi

क़ाफ़िला उतरा सहरा में और पेश वही मंज़र आए राख उड़ी ख़ेमा-गाहों की ख़ून में लुथड़े सर आए गलियों में घमसान का रन है म'अरका दस्त-ब-दस्त है याँ जिसे भी ख़ुद पर नाज़ बहुत हो आँगन से बाहर आए इक आसेब सा लहराता है बस्ती की शह-राहों पर शाम ढले जो घर से निकले लौट के फिर नहीं घर आए दिनों महीनों आँखें रोईं नई रुतों की ख़्वाहिश में रुत बदली तो सूखे पत्ते दहलीज़ों में दर आए एक दिया रौशन रखना दीवार पे चाँद सितारों सा अब्र उठे बारिश बरसे या हवाओं का लश्कर आए वर्ना किस ने पार किया था रस्ता भरी दोपहरों का कुछ हम से दीवाने थे जो तय ये मसाफ़त कर आए

qāfila utrā sahrā meñ aur pesh vahī manzar aa.e
Ejaz Gul
Ejaz Gul
Ejaz Gul
poet53 quotes

More by Ejaz Gul

View all →
Quote
"tham gai vaqt ki raftaar tire kuche mein aise saabit huaa sayyaar tire kuche mein manzar-e-baam sar-e-did nahin khultaa hai kuchh hai naa-dida kaa asraar tire kuche mein har talabgaar ko hai haasil-e-guftaar-e-sukut na hai inkaar na iqraar tire kuche mein aaina shaam kaa raushan rukh-e-mahtaab se kar aks chamke to ho didaar tire kuche mein vaslat-e-kaar baham ho ki hain jama din raat pesha-e-hijr ke be car tire kuche mein nafaa ke khel mein samjhaa gayaa thaa taaq jise vo khasaare mein hai hoshyaar tire kuche mein aakhir-e-umr ne ki raunaq-e-baazaar tamaam na dukaan hai na kharidaar tire kuche mein ek muddat se hai tartib mein be-tartibi na durusti ke hain aasaar tire kuche mein"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"ham tum jab bhi pyaar kareinge jaan-o-dil sadqe honge ruhon ki khushbu mein hongi baahon ke gajre honge peshravo tum biit chuke ab ham logon ki baari hai zindaanon ke dar to vaa hon ham aage aage honge gumnaami ki galiyon mein taarikh kahaan tak pahunchegi ek tumhi suqraat nahin ho aur bahut guzre honge husn agar zanjir kiyaa hai ishq bhi phir zanjir karo varna baat bahut phailegi duur talak charche honge ai chakvaal se aane vaalo kuchh to haal-ahvaal kaho phuul se aariz chaand se chehre tum ne bhi dekhe honge"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"pechaak-e-umr apne sanvaar aaine ke saath baaqi ke chaar din bhi guzaar aaine ke saath haasid bahut hai pal mein huvaidaa kare khizaan itnaa na lag ke baiTh bahaar aaine ke saath pathraa gae hain log tajalli se husn ki thoDaa saa Daal rukh pe ghubaar aaine ke saath kartaa hai aks zer-o-zabar naa-muraad vaqt jab ghumtaa hai ulTe madaar aaine ke saath paayaa na kuchh khalaa ke sivaa aks-e-hairati guzraa thaa aar-paar hazaar aaine ke saath maadum ho rahe hain khad-o-khaal kis sabab guft-o-shunid kar mire yaar aaine ke saath viraan saa khanDar hai magar sair ke liye lagti hai ik tavil qataar aaine ke saath maakus o aks kaise hain paivast dekh tu aaina kar rahaa hai singhaar aaine ke saath"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"istaada hai jab saamne divaar kahun kyaa haasil bhi nahin rauzan-e-darkaar kahun kyaa lagtaa to hai kuchh diid ko naa-did ke pichhe khultaa nahin manzar koi us paar kahun kyaa huun tang zaraa jeb se ai hasrat-e-ashyaa shaamil to hai fahrist mein baazaar kahun kyaa jis baat ke inkaar kaa had-darja gumaan hai vo baat yaqin ke liye sau baar kahun kyaa main un ke javaabaat se aur ahl-e-zamaana hain mere savaalaat se bezaar kahun kyaa jis baat pe thi bahs hui bahs se khaarij ab rah gai aapas mein hai takraar kahun kyaa ham-saae ki ham-saae se pahchaan nahin hai paivast hai divaar mein divaar kahun kyaa ghaafil nahin aisaa bhi main ab apni rasad se is dil mein talab kaa hai jo ambaar kahun kyaa gulzaar saa khil uThtaa hai khushbu-e-sukhan se jaadu hai vo is kaa dam-e-guftaar kahun kyaa hai rang badan kaa lughat-e-rang mein naapaid laa-saani hai qaamat mein qad-e-yaar kahun kyaa"
Ejaz GulEjaz Gul

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud