SHAWORDS

raabta hai mujhe shishe se na paimaane se — Nihal Sevharvi

HomeNihal SevharviGhazal
"raabta hai mujhe shishe se na paimaane se phir vo kyaa baat hai mansub huun mai-khaane se ahl-e-mai-khaana saliqe se piyein aab-e-hayaat varna phir maut hai chhalkegi jo paimaane se ek aalam se judaa maslihatein hain is ki kaun har baat pe uljhe tire divaane se khirad aashob hai har nukta-e-irfaan-e-hayaat aur baDhtaa hai junun aql ke baDh jaane se"
Urdu

رابطہ ہے مجھے شیشے سے نہ پیمانے سے پھر وہ کیا بات ہے منسوب ہوں مے خانے سے اہل مے خانہ سلیقے سے پئیں آب حیات ورنہ پھر موت ہے چھلکے گی جو پیمانے سے ایک عالم سے جدا مصلحتیں ہیں اس کی کون ہر بات پہ الجھے ترے دیوانے سے خرد آشوب ہے ہر نکتۂ عرفان حیات اور بڑھتا ہے جنوں عقل کے بڑھ جانے سے

Hindi

राब्ता है मुझे शीशे से न पैमाने से फिर वो क्या बात है मंसूब हूँ मय-ख़ाने से अहल-ए-मय-ख़ाना सलीक़े से पिएँ आब-ए-हयात वर्ना फिर मौत है छलकेगी जो पैमाने से एक आलम से जुदा मस्लिहतें हैं इस की कौन हर बात पे उलझे तिरे दीवाने से ख़िरद आशोब है हर नुक्ता-ए-इरफ़ान-ए-हयात और बढ़ता है जुनूँ अक़्ल के बढ़ जाने से

rābta hai mujhe shīshe se na paimāne se
Nihal Sevharvi
Nihal Sevharvi
Nihal Sevharvi
poet11 quotes

More by Nihal Sevharvi

View all →
Quote
"huun kaalbud-e-khaak mein mehmaan koi din aur qismat mein hai paabandi-e-zindaan koi din aur hai daftar-e-aalam ko zarurat abhi meri karni hai mujhe khidmat-e-unvaan koi din aur aane hi ko hai mausam-e-gul khair manaa le daamaan koi din aur garebaan koi din aur ai abr yunhi qatra-fashaan rah abhi kuchh roz mai-khvaaron pe hotaa rahe ehsaan koi din aur aamaada-e-rukhsat hai miraa ahd-e-javaani khaatir kaa lahu chuus le armaan koi din aur kuchh roz Thahar aur bhi ai shama-e-shab-afroz pur-nur rahe meraa shabistaan koi din aur kyuun ru-kash-e-aalam hai nihaal-e-jigar-afgaar rahnaa thaa navaa-sanj-e-ghazal-khvaan koi din aur"
Nihal SevharviNihal Sevharvi
Quote
"bahaar kaa ruup bhi nigaahon mein ik fareb-e-bahaar saa hai hayaat mein dilkashi nahin hai hayaat mein intishaar saa hai zamaana kyaa dekhiye dikhaae na jaane kyaa inqalaab aae falak ke tevar mein khashmagin se zamin ke dil mein ghubaar saa hai kamaal-e-divaangi to jab hai rahe na ehsaas-e-jaib-o-daaman agar hai ehsaas-e-jaib-o-daaman to phir junun hoshiyaar saa hai kuchh aaj aisi hi ji pe guzri dabi hui thi jo choT ubhri jise sambhaale huaa thaa dil mein vo naala be-ikhtiyaar saa hai abhi umid-o-vafaa na toDo siyaasat-e-dilbari na chhoDo kabhi jo firdaus-e-rang-o-bu thaa vo ek ujDaa dayaar saa hai 'nihaal' ko be piye hai masti hai muft ilzaam-e-mai-parasti hai aam is shahr mein rivaayat ye shakhs kuchh baada-khvaar saa hai"
Nihal SevharviNihal Sevharvi
Quote
"dil-e-naa-mutmain andesha-e-barq-e-tapaan mein hai jo be-taabi qafas mein thi vahi ab aashiyaan mein hai miri be-taabi-e-dil ki samajh mein kuchh nahin aataa khudaa jaane tiraa harf-e-tasalli kis zabaan mein hai yahi andaaz hain to gham nahin kuchh buad-e-manzil kaa umangein jaag uThi hain zindagi si kaarvaan mein hai usi ke raag se gunjeinge kal raahein masarrat ki ye maanaa aaj insaan manzil-e-aah-o-fughaan mein hai koi nisbat nahin manzil-rasi ko rah-navardi se vo lazzat kaamyaabi mein kahaan jo imtihaan mein hai ye takhsis-e-chaman kyaa iltijaa-e-baaghbaan kaisi bahut ai himmat-e-parvaaz gunjaaish jahaan mein hai"
Nihal SevharviNihal Sevharvi
Quote
"chaara-farmaai-e-dil rasm-e-butaan hai to sahi abhi kuchh mehr-o-mohabbat kaa nishaan hai to sahi naqsh-e-paa teraa hai gar tu nahin ai hashr-khiraam ik na ik baais-e-aashob-e-jahaan hai to sahi aap se aap to paidaa nahin ye laala-o-gul koi aakhir chaman-aaraa-e-jahaan hai to sahi ye bhi kahte hain ki hai arz-e-tamannaa be-sud ye bhi kahte hain tire munh mein zabaan hai to sahi jalva-e-dost ko samjhaa nahin ye baat hai aur jalva-e-dost muhit-e-dil-o-jaan hai to sahi chaahiye aur tujhe kyaa pae-hangaama-e-husn tere qurbaan ye sab kaun-o-makaan hai to sahi ham ne maanaa ki nahin 'haali' o 'majruh' 'nihaal' 'mir' o 'ghaalib' kaa ye ejaaz-e-bayaan hai to sahi"
Nihal SevharviNihal Sevharvi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb