"ham hain insaan is liye laazim hai ki musalsal kaam karein koi khudaa to nahin hain ham jo saatvein din aaraam karein ham to hain bande jaan-o-badan se aap ke husn ke taabe'daar aap hain aaqaa ham jaise chaahe jitnon ko ghulaam karein ham ko to 'aadat hai raaton mein jaagne rone gaane ki ham ko hamaare haal pe chhoDein niind na apni haraam karein aap ki aankhon se lafzon kaa rizq utartaa hai ham par aap jo chaahein sukhaa rakkhein yaa baarish ilhaam karein"
raat ko darkaar thaa kuchh daastaani rang kaa — Farhat Ehsas
"raat ko darkaar thaa kuchh daastaani rang kaa ham charaagh-e-khaamushi laae zabaani rang kaa us ne peshaani hamein di hai zamini rang ki aur sajda chaahtaa hai aasmaani rang kaa gehuein-pan ne nikalvaayaa thaa jannat se hamein jaan-e-man ab ke kareinge 'ishq dhaani rang kaa 'ishq ne to meraa chehra hi badal kar rakh diyaa aisaa aaina dikhaayaa us ne saani rang kaa ham mohabbat karne vaalon ki zidein bhi hain 'ajib chaahiye ik vaaqi'a lekin kahaani rang kaa shaayad ab uktaa gae sahraa-navardi se ghazaal chaahte hain koi viraana makaani rang kaa 'farhat-ehsaas' us ki miTTi ki samaa'at khil uThi she'r jab main ne sunaayaa teraa paani rang kaa"
رات کو درکار تھا کچھ داستانی رنگ کا ہم چراغ خامشی لائے زبانی رنگ کا اس نے پیشانی ہمیں دی ہے زمینی رنگ کی اور سجدہ چاہتا ہے آسمانی رنگ کا گیہویں پن نے نکلوایا تھا جنت سے ہمیں جان من اب کے کریں گے عشق دھانی رنگ کا عشق نے تو میرا چہرہ ہی بدل کر رکھ دیا ایسا آئینہ دکھایا اس نے سانی رنگ کا ہم محبت کرنے والوں کی ضدیں بھی ہیں عجیب چاہئے اک واقعہ لیکن کہانی رنگ کا شاید اب اکتا گئے صحرا نوردی سے غزال چاہتے ہیں کوئی ویرانہ مکانی رنگ کا فرحت احساسؔ اس کی مٹی کی سماعت کھل اٹھی شعر جب میں نے سنایا تیرا پانی رنگ کا
रात को दरकार था कुछ दास्तानी रंग का हम चराग़-ए-ख़ामुशी लाए ज़बानी रंग का उस ने पेशानी हमें दी है ज़मीनी रंग की और सज्दा चाहता है आसमानी रंग का गेहुँवें-पन ने निकलवाया था जन्नत से हमें जान-ए-मन अब के करेंगे 'इश्क़ धानी रंग का 'इश्क़ ने तो मेरा चेहरा ही बदल कर रख दिया ऐसा आईना दिखाया उस ने सानी रंग का हम मोहब्बत करने वालों की ज़िदें भी हैं 'अजीब चाहिए इक वाक़ि'आ लेकिन कहानी रंग का शायद अब उक्ता गए सहरा-नवर्दी से ग़ज़ाल चाहते हैं कोई वीराना मकानी रंग का 'फ़रहत-एहसास' उस की मिट्टी की समा'अत खिल उठी शे'र जब मैं ने सुनाया तेरा पानी रंग का

More by Farhat Ehsas
View all →"badan baandhe hue saanson ki rahdaari mein rahte hain ki ham har dam kahin jaane ki tayyaari mein rahte hain na hon aansu to ye aankhein bhali lagti nahin ham ko so aksar aap apni hi dil-aazaari mein rahte hain hamein maa'lum hai raunaq ye baazaaron ki jhuTi hai magar phir bhi fareb-e-husn-e-baazaari mein rahte hain ham ahl-e-'ishq phir ahl-e-havas se maat khaa baiThe vazifa-khvaar bazm-e-husn-e-darbaari mein rahte hain hamaare dil to hain masruf sarkaarein giraane mein badan taa'mil-e-ahkaamaat-e-sarkaari mein rahte hain dabe hain khaak mein kitne hi suraj chaand aur taare so ham apni zamin ki aasmaan-kaari mein rahte hain hamaari shaa'iri ik mustaqil holi kaa mausam hai hazaaron rang is lafzon ki pichkaari mein rahte hain ‘janaab-e-farhat-ehsaas' ab na shahri hain na sahraai musalsal darmiyaan-e-khvaab-o-be-daari mein rahte hain"
"pahle to zaraa saa haT ke dekhaa us shokh se phir lipaT ke dekhaa itni bhi buri na thi jo main ne duniyaa ko zaraa saa haT ke dekhaa dekhaa use us kaa ho ke aur phir kyaa farq paDegaa kaT ke dekhaa ham jama hue hi jaa rahe the aaraam milaa jo ghaT ke dekhaa bas ek hi khvaab thaa ki jis ko taa-umr ulaT-palaT ke dekhaa vo aur qarib aa gayaa thaa jab main ne zaraa simaT ke dekhaa phir dil ne mire gham aur khushi ko rassi ki tarah se baT ke dekhaa kal Duub rahaa thaa 'farhat-ehsaas' ham ne bhi tamaashaa DaT ke dekhaa"
"dabaa paDaa hai kahin dasht mein khazaana miraa tu kis talaash mein hai shahr mein divaana miraa tamaam raat hai aankhon se aansuon ki kashid tamaam raat khulaa hai sharaab-khaana miraa ye meri ruuh kaa jhagDaa thaa aasmaan ke saath bilaa-qusur badan ban gayaa nishaana miraa falak ke sar pe paDe hain meri zamin ke paanv mire sirhaane se unchaa hai paaitaana miraa main ek zakhm baraabar zamin pe rahtaa huun vo kah rahe hain ye qabza hai ghaasibaana miraa to aao ahl-e-jahaan is pe faisla kar lein makaan saaraa tumhaaraa darun-e-khaana miraa khud apne aap mein hai saari meri aamad-o-raft kahin se aanaa na ab hai kahin bhi jaanaa miraa kahaan kaa 'ishq havas tak bhi ho nahin sakti yahi rahegaa jo andaaz mujrimaana miraa bikherni hai jise zulf us kaa istiqbaal vabaal-e-shahr se khaali hai ek shaana miraa main khuub faaqa na kartaa to mar gayaa hotaa mire khilaaf saf-aaraa thaa aab-o-daana miraa kabhi khudaa kabhi insaan raah mein haail khud apne aap se rishta bhi ghaaebaana miraa kahin mire kisi lamhe se phir hui koi chuuk phir aate aate kahin rah gayaa zamaana miraa tire ghayaab ki khidmat mein saaraa meraa qusur vujud phir bhi vahi ghair-haaziraanaa miraa vo mere lafz ke donon suron se vaaqif hai kabhi bhi kaam na aayaa koi bahaana miraa"
"din ne itnaa jo marizaana banaa rakkhaa hai raat ko ham ne shifaa-khaana banaa rakkhaa hai intiqaam aisaa liyaa hai miri tanhaai ne shahr kaa shahr bayaabaana banaa rakkhaa hai khaak kaa khaana gharibaana-badan hai ki jise raunaq-e-ishq ne shaahaana banaa rakkhaa hai ham ko maalum hai khuub apni haqiqat so use usi unvaan kaa afsaana banaa rakkhaa hai mubtazil hone kaa aap apnaa maza hai varna ham ne bhi khud ko hakimaana banaa rakkhaa hai aadmi ho ki khudaa sab kaa baraabar hai vazn ishq ne ek hi paimaana banaa rakkhaa hai chaak kar kar ke hue tang to divaanon ne chaak ko ab ke garibaana banaa rakkhaa hai 'farhatullah' hai vo aql kaa putlaa jis ne farhat-ehsaas ko divaana banaa rakkhaa hai"
"ye khubaan shahr ke ham se bahut hushyaari karte hain hamein saada samajh kar khuub khush-guftaari karte hain baDi mushkil se toDe hain ye maa’mulaat-e-hijr aakhir so ik 'arsa huaa din mein hi shab-bedaari karte hain nahin paate dar-o-divaar mein ghar ki koi surat to ham ghar ke tasavvur mein dar-o-divaari karte hain kahaani jo karaati hai vahi to ham ko karnaa hai bhalaa ho yaa buraa ho ham to bas kirdaari karte hain hamein tayyaar hone ki zarurat hi nahin paDti ki saari zindagi marne ki hi tayyaari karte hain to ham qaanun-shikni ki tarah karte hain raat apni sahar se shaam tak har kaam jab sarkaari karte hain sharaabein to kalidein hain lahu ke qaid-khaanon ki so taale toDte hain aur dariyaa jaari karte hain sunaa hai tandurusti 'ishq mein achchhi nahin hoti chalo ji 'farhat-ehsaas' ab zaraa bimaari karte hain"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"