"be-laus-o-ravaadaar tumhaari hi tarah ho dushman bhi mire yaar tumhaari hi tarah ho main haath se phir zahr bhi khaa lungaa tumhaare gar vo bhi asar-daar tumhaari hi tarah ho jaan hans ke luTaa dungaa magar mujh mein jo utre khvaahish hai vo talvaar tumhaari hi tarah ho lo phuul miri qabr ki khaatir to rahe dhyaan har phuul ki mahkaar tumhaari hi tarah ho 'afrang' zamaane mein zaruri to nahin hai har shakhs kaa kirdaar tumhaari hi tarah ho"
sabhi dil-shaad manzar chhoD aayaa — Zohheb Farooqui Afrang
"sabhi dil-shaad manzar chhoD aayaa safar mein huun main ghar-var chhoD aayaa taalluq tishnagi se hai puraanaa ye sochaa aur samundar chhoD aayaa miri qurbaaniyaan kyaa puchhte ho parinda huun aur ambar chhoD aayaa bhaTakne kaa thaa aisaa shauq mujh ko ki main daamaan-e-rahbar chhoD aayaa jahaan se zindagi ki ibtidaa ki usi jaa maut kaa Dar chhoD aayaa marammat mein bahut kharcha thaa saahab main apne khvaab jarjar chhoD aayaa mujhe 'afrang' dukh is baat kaa hai main us ki aankhon ko tar chhoD aayaa"
سبھی دل شاد منظر چھوڑ آیا سفر میں ہوں میں گھر ور چھوڑ آیا تعلق تشنگی سے ہے پرانا یہ سوچا اور سمندر چھوڑ آیا مری قربانیاں کیا پوچھتے ہو پرندہ ہوں اور امبر چھوڑ آیا بھٹکنے کا تھا ایسا شوق مجھ کو کہ میں دامان رہبر چھوڑ آیا جہاں سے زندگی کی ابتدا کی اسی جا موت کا ڈر چھوڑ آیا مرمت میں بہت خرچہ تھا صاحب میں اپنے خواب جرجر چھوڑ آیا مجھے افرنگؔ دکھ اس بات کا ہے میں اس کی آنکھوں کو تر چھوڑ آیا
सभी दिल-शाद मंज़र छोड़ आया सफ़र में हूँ मैं घर-वर छोड़ आया तअ'ल्लुक़ तिश्नगी से है पुराना ये सोचा और समुंदर छोड़ आया मिरी क़ुर्बानियाँ क्या पूछते हो परिंदा हूँ और अम्बर छोड़ आया भटकने का था ऐसा शौक़ मुझ को कि मैं दामान-ए-रहबर छोड़ आया जहाँ से ज़िंदगी की इब्तिदा की उसी जा मौत का डर छोड़ आया मरम्मत में बहुत ख़र्चा था साहब मैं अपने ख़्वाब जर्जर छोड़ आया मुझे 'अफ़रंग' दुख इस बात का है मैं उस की आँखों को तर छोड़ आया

More by Zohheb Farooqui Afrang
View all →"maraz lagtaa hai jo mujh ko use meri davaa samjhe divaana ho gayaa huun main divaanon ko vo kyaa samjhe main apne aap mein khush huun mujhe is se gharaz kyaa hai ki ye mujh ko bhalaa samjhe ki vo mujh ko buraa samjhe bichhaDne kaa vo ham se naam tak lene se ghabraae jise ham hijr kahte hain use vo bad-duaa samjhe gunaahon se bachaa jaae kahaan tak is zamaane mein ki har ik moD par milte hain vo jin se khudaa samjhe bharosaa kyaa mohabbat kab tumhein badnaam kar jaae ki aashiq ko hamesha hi zamaana sar-phiraa samjhe hamein vo kis sazaa ke vaaste tayyaar kartaa hai jo apne bhi gunaahon ko hamaari hi khataa samjhe vo ham se niind ke raste sahi par ru-ba-ru to ho kabhi to aankhon mein bhar le hamein bhi khvaab saa samjhe hamein 'afrang' zaalim se shikaayat hai to itni hai ham us ko to samajhte hain vo ham ko bhi zaraa samjhe"
"tegh shamshir yaa khanjar ki zarurat kyaa hai jang jab khud se ho lashkar ki zarurat kyaa hai jis ne samjhaa mujhe baahar se hi samjhaa saahab kis ko maalum ki andar ki zarurat kyaa hai gar tiraa qurb mayassar ho to ai jaan-e-adaa sard raaton mein bhi bistar ki zarurat kyaa hai bevafaai kaa tiri zakhm koi kam to nahin choT deni ho to patthar ki zarurat kyaa hai qaid rakhtaa hai jo tufaan ko apne andar aise qatre ko samundar ki zarurat kyaa hai us ko sajda to zamin arsh sabhi karte hain us ke qadmon ko mire sar ki zarurat kyaa hai"
"itni unchaai se dharti ki khabar kyaa jaane us ko miTTi ne hi paalaa hai shajar kyaa jaane dafn hote na hasin khvaab adhure lekin apne marne ki ghaDi koi bashar kyaa jaane jis musaafir kaa pataa puchh rahe ho us ki umr guzri hai masaafat mein vo ghar kyaa jaane us ne nafrat ke sivaa aur kabhi kuchh na kiyaa phir vo bad-zaat mohabbat kaa asar kyaa jaane aaj mauqa hai to yaaron se nibhaa lo yaari kal phir 'afrang' rahe kaun kidhar kyaa jaane"
"is nae ghar mein bhi har chiiz puraani kyon hai gar ye surat hai to phir naql-e-makaani kyon hai koi khubi bhi nahin naqs bhi laakhon mujh mein tu mire ishq mein is darja divaani kyon hai hijr ki baat karo mujh se kabhi khalvat mein phir ye socho ki miri aankh mein paani kyon hai lucknow shahr miraa shahd saa lahja samjhun aap ke shahr mein ye talkh-zabaani kyon hai jang hai jahl se 'afrang' qalam hi kaafi kyaa zarurat hai ki shamshir uThaani kyon hai"
"palaT kar na dekheinge tum ko dobaara chalo ab ye vaada hai tum se hamaaraa main vo to nahin huun jo hotaa rahaa huun magar ab na hogaa vo honaa gavaaraa kahin faaeda to nazar hi na aae jahaan dekhiye bas khasaara khasaara jo miTTi mein milnaa hai sab ko yahin ki to karte bhi kyon ho hamaaraa tumhaaraa hamein saaf lafzon mein khul kar bataao samajhte nahin ham ishaara-vishaara ye kyaa maajraa hai musibat hai kaisi jahaan jaaein nazrein vahin vo nazaara banaao vo kirdaar apnaa ki duniyaa ye soche zamin par hai koi sitaara hamein apne uupar bharosaa hai puuraa rakho paas apne tum apnaa sahaaraa ki mushkil mein 'afrang' ye yaad rakhnaa yaqinan samundar kaa hogaa kinaara"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"